He said, "O Adam, inform them of their names." And when he had informed them of their names, He said, "Did I not tell you that I know the unseen [aspects] of the heavens and the earth? And I know what you reveal and what you have concealed."
Allah Taalaa ney ( hazrat ) aadam ( alh-e-salam ) say farmaya tum inn kay naam bata do. Jab unhon ney bata diye to to farmaya kay kiya mein ney tumhen ( pehlay hi ) na kaha tha kay zamin aur aasmanon ka ghaib mein hi janta hun aur meray ilm mein hai jo tum zahir ker rahey ho aur jo tum chupatay thay.
अल्लाह ने कहाः ऐ आदम! इनको बताओ उन चीज़ों के नाम, तो जब आदम ने बताए उनको उन चीज़ों के नाम तो अल्लाह ने कहाः क्या मैंने तुमसे नहीं कहा था कि आसमानों और ज़मीन के भेद को मैं ही जानता हूँ और मुझको मालूम है जो तुम ज़ाहिर करते हो और जो तुम छुपाते हो।
Do you not know that to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth and [that] you have not besides Allah any protector or any helper?
Kiya tujhay nahi maloom kay zamin-o-aasman ka mulk Allah hi kay liye hai aur Allah kay siwa tumhara koi wali aur madadgar nahi.
क्या तुम नहीं जानते कि अल्लाह ही के लिए आसमानों और ज़मीन की बादशाही है, और तुम्हारे लिए अल्लाह के सिवा न कोई दोस्त है और न कोई मददगार।
They say, " Allah has taken a son." Exalted is He! Rather, to Him belongs whatever is in the heavens and the earth. All are devoutly obedient to Him,
Yeh kehtay hain kay Allah Taalaa ki aulad hai ( nahi bulkay ) woh pak hai zamin-o-aasman ki tamam makhlooq uss ki milkiyat mein hai aur her aik uss ka farmanbardar hai.
और वे कहते हैं कि अल्लाह ने बेटा बनाया है, वह इससे पाक है; बल्कि आसमानों और ज़मीन में जो कुछ है सब उसी का है, उसी के (हुक्म के) ताबे हैं सारे।
Originator of the heavens and the earth. When He decrees a matter, He only says to it, "Be," and it is.
Woh zamin aur aasmanon ka ibtida’an peda kerney wala hai woh jiss kaam ko kerna chahye keh deta hai kay hoja bus woh wahin hojata hai.
वह आसमानों और ज़मीन को वजूद में लाने वाला है, वह जब किसी काम का करना ठहरा लेता है तो बस उसके लिए फ़रमा देता है कि हो जा, तो वह हो जाता है।
Indeed, in the creation of the heavens and earth, and the alternation of the night and the day, and the [great] ships which sail through the sea with that which benefits people, and what Allah has sent down from the heavens of rain, giving life thereby to the earth after its lifelessness and dispersing therein every [kind of] moving creature, and [His] directing of the winds and the clouds controlled between the heaven and the earth are signs for a people who use reason.
Aasmanon aur zamin ki pedaeesh raat din ka hair pher kashtiyon ka logon ko nafa denay wali cheezon ko liye huye samandar mein chalna aasman say pani utaar ker murda zamin ko zinda ker dena iss mein her qisam kay janwaron ko phela dena hawaon kay rukh badalna aur badal jo aasmana ur zamin kay darmiyan musakhhar hain unn mein aqal mandon kay liye qudrat-e-elahee ki nishaniyan hain.
बेशक आसमानों और ज़मीन की बनावट में और रात-दिन के आने-जाने में और उन कश्तियों में जो इंसानों के काम आने वाली चीज़ें लेकर समुंदर में चलती हैं, और उस पानी में जिसको अल्लाह ने आसमान से उतारा, फिर उससे मुर्दा ज़मीन को ज़िंदगी बख़्शी, और उस (ज़मीन) में सब क़िस्म के जानवर फैला दिए, और हवाओं की गर्दिश में और बादलों में जो आसमान व ज़मीन के दरमियान हुक्म के ताबे हैं, उन लोगों के लिए निशानियाँ हैं जो अक़्ल से काम लेते हैं।
Indeed, in the creation of the heavens and earth, and the alternation of the night and the day, and the [great] ships which sail through the sea with that which benefits people, and what Allah has sent down from the heavens of rain, giving life thereby to the earth after its lifelessness and dispersing therein every [kind of] moving creature, and [His] directing of the winds and the clouds controlled between the heaven and the earth are signs for a people who use reason.
Aasmanon aur zamin ki pedaeesh raat din ka hair pher kashtiyon ka logon ko nafa denay wali cheezon ko liye huye samandar mein chalna aasman say pani utaar ker murda zamin ko zinda ker dena iss mein her qisam kay janwaron ko phela dena hawaon kay rukh badalna aur badal jo aasmana ur zamin kay darmiyan musakhhar hain unn mein aqal mandon kay liye qudrat-e-elahee ki nishaniyan hain.
बेशक आसमानों और ज़मीन की बनावट में और रात-दिन के आने-जाने में और उन कश्तियों में जो इंसानों के काम आने वाली चीज़ें लेकर समुंदर में चलती हैं, और उस पानी में जिसको अल्लाह ने आसमान से उतारा, फिर उससे मुर्दा ज़मीन को ज़िंदगी बख़्शी, और उस (ज़मीन) में सब क़िस्म के जानवर फैला दिए, और हवाओं की गर्दिश में और बादलों में जो आसमान व ज़मीन के दरमियान हुक्म के ताबे हैं, उन लोगों के लिए निशानियाँ हैं जो अक़्ल से काम लेते हैं।
So is it other than the religion of Allah they desire, while to Him have submitted [all] those within the heavens and earth, willingly or by compulsion, and to Him they will be returned?
Kiya woh Allah Taalaa kay deen kay siwa aur deen ki talash mein hain? Halankay tamam aasmanon walay aur sab zamin walay Allah Taalaa hi kay farmanbardar hain khushi say hon ya na khushi say sab ussi ki taraf lotaye jayen gay.
क्या ये लोग अल्लाह के दीन के सिवा कोई और दीन चाहते हैं; हालाँकि उसी के हुक्म में है जो कुछ आसमान और ज़मीन में है, ख़ुशी से या नाख़ुशी से, और सब उसी की तरफ़ लौटाए जाएंगे।
And let not those who [greedily] withhold what Allah has given them of His bounty ever think that it is better for them. Rather, it is worse for them. Their necks will be encircled by what they withheld on the Day of Resurrection. And to Allah belongs the heritage of the heavens and the earth. And Allah , with what you do, is [fully] Acquainted.
Jinhen Allah Taalaa ney apney fazal say kuch dey rakha hai woh iss mein apni kanjoosi ko apney liye behtar khayal na keren bulkay woh inn kay liye nihayat bad tar hai un-qarib qayamat walay din yeh apni kanjoosi ki cheez kay toq daalay jayen gay aasmanon aur zamin ki meeras Allah Taalaa hi kay liye aur jo kuch tum ker rahey ho uss say Allah Taalaa aagah hai.
और जो लोग कंजूसी करते हैं उस चीज़ में जो अल्लाह ने उनको अपने फ़ज़्ल में से दिया है वे हरगिज़ यह न समझें कि यह उनके हक़ में अच्छा है; बल्कि ये उनके हक़ में बहुत बुरा है, जिस चीज़ में वे कंजूसी कर रहे हैं उसका क़यामत के दिन उनको तौक़ पहनाया जाएगा, और अल्लाह ही की है मीरास ज़मीन व आसमान की, और जो कुछ तुम करते हो अल्लाह उससे बाख़बर है।
And to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth, and Allah is over all things competent.
Aasmanon aur zamin ki badshahi Allah hi kay liye hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
और अल्लाह ही के लिए है आसमानों और ज़मीनों की बादशाहत, और अल्लाह हर चीज़ पर क़ादिर है।
Indeed, in the creation of the heavens and the earth and the alternation of the night and the day are signs for those of understanding.
Aasmanon aur zamin ki pedaish mein aur raat din kay hair pher mein yaqeenan aqal mandon kay liye nishaniyan hain.
आसमानों और ज़मीन की पैदाइश में और रात-दिन के बारी-बारी आने में अक़्ल वालों के लिए बहुत निशानियाँ हैं।
Who remember Allah while standing or sitting or [lying] on their sides and give thought to the creation of the heavens and the earth, [saying], "Our Lord, You did not create this aimlessly; exalted are You [above such a thing]; then protect us from the punishment of the Fire.
Jo Allah Taalaa ka zikar kharay aur bethay aur apni kerwaton per letay huye kertay hain aur aasmanon-o-zamin ki pedaish mein ghor-o-fiker kertay hain aur kehtay hain aey humaray perwerdigar! Tu ney yeh bey faeeda nahi banaya tu pak hai pus humen aag kay azab say bacha ley.
जो अल्लाह को याद करते हैं खड़े और बैठे और अपनी करवटों पर, और आसमानों और ज़मीन की पैदाइश में ग़ौर करते रहते हैं, (वे कह उठते हैं कि) ऐ हमारे रब! आपने ये सब बिला-वजह नहीं बनाया, आप पाक हैं, पस हमको आग के अज़ाब से बचा लीजिए।
O Mankind, the Messenger has come to you with the truth from your Lord, so believe; it is better for you. But if you disbelieve - then indeed, to Allah belongs whatever is in the heavens and earth. And ever is Allah Knowing and Wise.
Aey logo! Tumharay pass tumharya rab ki taraf say haq ley ker rasool aagaya hai pus tum eman lao takay tumharay liye behtri ho aur agar tum kafir hogaye to Allah hi ki hai her woh cheez jo aasmanon aur zamin mein hai aur Allah daana hai hikmat wala hai.
ऐ लोगो! तुम्हारे पास रसूल आ चुका है तुम्हारे रब की तरफ़ से हक़ बात लेकर, पस (उसको) मान लो ताकि तुम्हारा भला हो, और अगर न मानोगे तब भी अल्लाह ही का है जो कुछ आसमानों में और ज़मीन में है, और अल्लाह जानने वाला, हिकमत वाला है।
They have certainly disbelieved who say that Allah is Christ, the son of Mary. Say, "Then who could prevent Allah at all if He had intended to destroy Christ, the son of Mary, or his mother or everyone on the earth?" And to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth and whatever is between them. He creates what He wills, and Allah is over all things competent.
Yaqeenan woh log kafir hogaye jinhon ney kaha kay Allah hi maseeh ibn-e-mariyum hai aap inn say keh dijiye kay agar Allah maseeh ibn-e-marium aur uss ki walida aur ruy-e-zamin kay sab logon ko halak ker dena chahaye to kaun hai jo Allah Taalaa per kuch bhi ikhtiyar rakhta ho? Aasmanon-o-zamin aur dono kay darmiyan ka kul mulk Allah Taalaa hi ka hai woh jo chahata hai peda kerta hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
बेशक उन लोगों ने कुफ़्र किया जिन्होंने कहा कि अल्लाह ही तो मसीह बिन मरियम है, आप कह दीजिए कि फिर कौन इख़्तियार रखता है अल्लाह के आगे किसी भी चीज़ का अगर वह चाहे कि हलाक कर दे मसीह बिन मरियम को और उनकी माँ को और जितने लोग ज़मीन में हैं सबको, और अल्लाह ही के लिए है बादशाही आसमानों और ज़मीन की और जो कुछ उनके दरमियान है, वह पैदा करता है जो कुछ चाहता है, और अल्लाह हर चीज़ पर क़ादिर है।
But the Jews and the Christians say, "We are the children of Allah and His beloved." Say, "Then why does He punish you for your sins?" Rather, you are human beings from among those He has created. He forgives whom He wills, and He punishes whom He wills. And to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth and whatever is between them, and to Him is the [final] destination.
Yahud-o-nasaara kehtay hain kay hum Allah kay betay aur uss kay dost hain aap keh dijiye kay phir tumhen tumharay gunahon kay baees Allah kiyon saza deta hai? Nahi bulkay tum bhi uss ki makhlooq mein say aik insan ho woh jisay chahata hai bakhsh deta hai aur jisay chahata hai azab kerta hai zamin-o-aasman aur inn kay darmiyan ki her cheez Allah Taalaa ki milkiyat hai aur ussi ki taraf lotna hai.
और यहूद व नसारा कहते हैं कि हम ही अल्लाह के बेटे और उसके महबूब हैं, आप कह दीजिए कि फिर वह तुम्हारे गुनाहों पर तुमको सज़ा क्यों देता है, नहीं बल्कि तुम भी उसकी पैदा की हुई मख़लूक़ में से एक आदमी हो, वह जिसको चाहेगा बख़्शेगा और जिसको चाहेगा अज़ाब देगा, और अल्लाह ही के लिए है बादशाहत आसमानों की और ज़मीन की और जो कुछ उनके दरमियान है, और उसी की तरफ़ लौट कर जाना है।
Do you not know that to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth? He punishes whom He wills and forgives whom He wills, and Allah is over all things competent.
Kiya tujhay maloom nahi kay Allah Taalaa hi kay liye zamin-o-aasman ki badshahat hai? Jissay chahaye saza dey aur jissay chahaye moad ker dey Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
क्या आप नहीं जानते कि अल्लाह आसमानों और ज़मीन की सल्तनत का मालिक है, वह जिसको चाहे सज़ा दे और जिसको चाहे माफ़ कर दे, और अल्लाह हर चीज़ पर क़ादिर है।
To Allah belongs the dominion of the heavens and the earth and whatever is within them. And He is over all things competent.
Allah hi ki hai saltanat aasmanon ki aur zamin ki aur unn cheezon ki jo inn mein mojood hain aur woh her sheh per poori qudrat rakhta hai.
आसमानों और ज़मीन में और जो कुछ उन में है सबकी बादशाहत अल्लाह ही के लिए है, और वह हर चीज़ पर क़ादिर है।
Say, "To whom belongs whatever is in the heavens and earth?" Say, "To Allah ." He has decreed upon Himself mercy. He will surely assemble you for the Day of Resurrection, about which there is no doubt. Those who will lose themselves [that Day] do not believe.
Aap kahiye kay jo kuch aasmano aur zamin mein mojood hai yeh sab kiss ki milkiyat hai aap keh dijiye kay sab Allah hi ki milkiyat hai Allah ney meharbani farmana apney upper laazim farma liya hai tum ko Allah qayamat kay roz jama keray ga iss mein koi shak nahi jin logon ney apney aap ko ghatay mein daala hai so woh eman nahi layen gay.
(उनसे) पूछिए कि किसका है जो कुछ आसमानों और ज़मीन में है, आप कह दीजिए कि सब कुछ अल्लाह का है, उसने अपने ऊपर रहमत लिख ली है, वह ज़रूर तुमको जमा करेगा क़यामत के दिन जिसमें कोई शक नहीं, जिन लोगों ने अपने आपको घाटे में डाला वही हैं जो उस पर ईमान नहीं लाते।
Say, "Is it other than Allah I should take as a protector, Creator of the heavens and the earth, while it is He who feeds and is not fed?" Say, [O Muhammad], "Indeed, I have been commanded to be the first [among you] who submit [to Allah ] and [was commanded], 'Do not ever be of the polytheists.' "
Aap kahiye kay kiya Allah kay siwa jo kay aasmanon aur zamin ka peda kerney wala hai aur jo kay khaney ko deta hai aur uss ko koi khaney ko nahi deta aur kissi ko mabood qarar doon aap farma dijiye kay mujh ko yeh hukum hua hai kay sab say pehlay mein islam qabool keroon aur tu mushrikeen mein say hergiz na hona.
कह दीजिए कि क्या में अल्लाह के सिवा किसी और को मददगार बनाऊँ जो बनाने वाला है आसमानों का और ज़मीन का और वह सबको खिलाता है और उसको नहीं खिलाया जा सकता, कहिए कि मुझको हुक्म मिला है कि मैं सबसे पहले इस्लाम लाने वाला बनूँ और तुम हरगिज़ मुशरिकों में से न बनो।
And thus did We show Abraham the realm of the heavens and the earth that he would be among the certain [in faith]
Aur hum ney aisay hi tor per ibrahim ( alh-e-salam ) ko aasmanon aur zamin ki makhlooqaat dikhlaeen aur takay kaamil yaqeen kerney walon say hojayen.
और इसी तरह हमने इब्राहीम (अलै॰) को दिखा दी आसमानों और ज़मीन की हुकूमत और ताकि वे यक़ीन करने वालों में से बन जाएं।
[He is] Originator of the heavens and the earth. How could He have a son when He does not have a companion and He created all things? And He is, of all things, Knowing.
Woh aasmanon aur zamin ka mojid hai Allah Taalaa ki aulad kahan ho sakti hai halankay uss ki koi biwi to hai nahi aur Allah Taalaa ney her cheez ko peda kiya aur woh her cheez ko khoob janta hai.
वह आसमानों और ज़मीन का बनाने वाला है, उसका कोई बेटा कैसे हो सकता है जबकि उसकी कोई बीवी नहीं, और उसने हर चीज़ को पैदा किया है और वह हर चीज़ से बाख़बर है।
And if only the people of the cities had believed and feared Allah , We would have opened upon them blessings from the heaven and the earth; but they denied [the messengers], so We seized them for what they were earning."
Aur agar unn bastiyon kay rehney walay eman ley aatay aur perhezgari ikhtiyar kertay to hum unn per aasman aur zamin ki barkaten khol detay lekin unhon ney takzeeb ki to hum ney unn kay aemaal ki waja say unn ko pakar liya.
और अगर बस्तियों वाले ईमान लाते और डरते तो हम उन पर आसमान और ज़मीन की नेमतें खोल देते, मगर उन्होंने झुठलाया तो हमने उनको पकड़ लिया उनके आमाल के बदले।
Say, [O Muhammad], "O mankind, indeed I am the Messenger of Allah to you all, [from Him] to whom belongs the dominion of the heavens and the earth. There is no deity except Him; He gives life and causes death." So believe in Allah and His Messenger, the unlettered prophet, who believes in Allah and His words, and follow him that you may be guided.
Aap keh dijiye kay aey logo! Mein tum sab ki taraf uss Allah Taalaa ka bheja hua hun jiss ki badshahi tamam aasmanon aur zamin mein hai uss kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi wohi zindagi deta hai aur wohi mot deta hai so Allah Taalaa per eman lao aur uss kay nabi ummi per jo kay Allah Taalaa per aur uss kay ehkaam per eman rakhtay hain aur inn ka ittabaa kero takay tum raah per aajao.
(ऐ नबी) कह दीजिए कि ऐ लोगो! बेशक मैं उस अल्लाह का रसूल हूँ तुम सब की तरफ़ जिसकी हुकूमत है आसमानों और ज़मीन में, उसके सिवा कोई माबूद नहीं, वही ज़िंदगी देता है और वही मारता है, पस ईमान लाओ अल्लाह पर और उसके उम्मी रसूल व नबी पर जो ईमान रखता है अल्लाह और उसके कलिमात पर और उसकी पैरवी करो; ताकि तुम हिदायत पाओ।
Do they not look into the realm of the heavens and the earth and everything that Allah has created and [think] that perhaps their appointed time has come near? So in what statement hereafter will they believe?
Aur kiya inn logon ney ghor nahi kiya aasamanon aur zamin kay aalam mein aur doosri cheezon mein jo Allah ney peda ki hain aur iss baat mein kay mumkin hai kay unn ki ajal qarib hi aa phonchi ho. Phir quran kay baad konsi baat per yeh log eman layen gay?
क्या उन्होंने आसमानों और ज़मीन के निज़ाम पर नज़र नहीं की और जो कुछ अल्लाह ने पैदा किया है हर चीज़ से और इस बात पर कि शायद उनकी मुद्दत क़रीब आ गई हो, पस इसके बाद वे किस बात पर ईमान लाएंगे।
They ask you, [O Muhammad], about the Hour: when is its arrival? Say, "Its knowledge is only with my Lord. None will reveal its time except Him. It lays heavily upon the heavens and the earth. It will not come upon you except unexpectedly." They ask you as if you are familiar with it. Say, "Its knowledge is only with Allah , but most of the people do not know."
Yeh log aap say qayamat kay mutalliq sawal kertay hain kay iss ka waqoo kabb hoga? Aap farma dijiye kay iss ka ilm sirf meray rab hi kay pass hai uss kay waqt per uss ko siwa Allah kay koi aur zahir na keray ga. Woh aasmanon aur zamin mein bara bhari ( haadsa ) hoga woh tum per mehaz achanak aa paray gi. Woh aap say iss tarah poochtay hain jaisay goya aap iss ki tehqiqaat ker chukay hain. Aap farma dijiye kay iss ka ilm khaas Allah hi kay pass hai lekin aksar log nahi jantay.
वे आपसे क़यामत के बारे में पूछते हैं कि वे कब वाक़े होगी, आप कह दीजिए कि उसका इल्म तो मेरे रब ही के पास है, वही उसके वक़्त पर उसको ज़ाहिर करेगा, वह भारी हो रही है आसमानों और ज़मीन में, वह जब तुम पर आएगी तो अचानक आ जाएगी, वे आपसे (इस तरह) पूछते हैं गोया आप उसकी तहक़ीक़ कर चुके हों, कह दीजिए उसका इल्म तो बस अल्लाह ही के पास है लेकिन अकसर लोग नहीं जानते।
Indeed, to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth; He gives life and causes death. And you have not besides Allah any protector or any helper.
Bila shuba Allah hi ki saltanat hai aasmanon aur zamin mein. Wohi jilata aur maarta hai aur tumhara Allah kay siwa na koi yaar hai aur na koi madadgar hai.
बेशक अल्लाह ही की सल्तनत है आसमानों में और ज़मीन में, वही ज़िंदा करता है और वही मारता है, और अल्लाह के सिवा न तुम्हारा कोई दोस्त है और न कोई मददगार।
Indeed, in the alternation of the night and the day and [in] what Allah has created in the heavens and the earth are signs for a people who fear Allah
Bila shuna raat aur din kay yakay baad deegray aaney mein aur Allah Taalaa ney jo kuch aasmanon aur zamin mein peda kiya hai inn sab mein unn logon kay liye dalaeel hain jo Allah ka darr rakhtay hain.
यक़ीनन रात और दिन के उलट-फेर में और अल्लाह ने जो कुछ आसमानों और ज़मीन में पैदा किया उनमें उन लोगों के लिए निशानियाँ हैं जो डरते हैं।
Say, "Who provides for you from the heaven and the earth? Or who controls hearing and sight and who brings the living out of the dead and brings the dead out of the living and who arranges [every] matter?" They will say, " Allah ," so say, "Then will you not fear Him?"
Aap kahiye kay woh kaun hai jo tum ko aasman aur zamin say rizq phonchata hai ya woh kaun hai jo kanon aur aankhon per poora ikhtiyar rakhta hai aur woh kaun hai jo zinda ko murda say nikalta hai aur murda ko zinda say nikalta hai aur woh kaun hai jo tamam kaamon ki tadbeeren kerta hai? Zaroor woh yehi kahen gay kay “Allah” to unn say kahiye phir kiyon nahi dartay.
कह दीजिए कि कौन तुमको आसमान और ज़मीन से रोज़ी देता है या कौन है जो कान पर और आँखों पर इख़्तियार रखता है और कौन बेजान में से जानदार को और जानदार में से बेजान को निकालता है और कौन मामलात का इंतिज़ाम कर रहा है, वे कहेंगे कि अल्लाह, कह दीजिए कि फिर क्या तुम डरते नहीं।
Unquestionably, to Allah belongs whatever is in the heavens and the earth. Unquestionably, the promise of Allah is truth, but most of them do not know
Yaad rakho kay jitni cheezen aasmanon aur zamin mein hain sab Allah hi kay mulk mein hain. Yaad rakho kay Allah Taalaa ka wada sacha hai lekin boht say aadmi ilm nahi rakhtay.
याद रखो! जो कुछ आसमानों और ज़मीन में है सब अल्लाह का है, याद रखो! अल्लाह का वादा सच्चा है मगर अकसर लोग नहीं जानते।
Say, "Observe what is in the heavens and earth." But of no avail will be signs or warners to a people who do not believe
Aap keh dijiye kay tum ghor kero kay kiya kiya cheezen aasmanon mein aur zamin mein hain aur jo log eman nahi latay unn ko nishaniyan aur dhamkiyan kuch faeeda nahi phonchatin.
कह दीजिए कि आसमानों और ज़मीन में जो कुछ है उसे देखो, और निशानियाँ और डरावे उन लोगों को फ़ायदा नहीं पहुँचाते जो ईमान नहीं लाते।
And to Allah belong the unseen [aspects] of the heavens and the earth and to Him will be returned the matter, all of it, so worship Him and rely upon Him. And your Lord is not unaware of that which you do.
Zaminon aur aasmanon ka ilm-e-ghaib Allah Taalaa hi ko hai tamam moamlaat ka rujoo bhi ussi ki janib hai pus tujhay ussi ki ibadat kerni chahaiye aur ussi per bharosa rakhan chahaiye aur tum jo kuch kertay ho uss say Allah Taalaa bey khabar nahi.
और आसमानों और ज़मीन की छुपी बात अल्लाह के पास है और तमाम उमूर उसी की तरफ़ लौटाए जाते हैं, पस आप उसी की इबादत करें और उसी पर भरोसा रखें, और आपका रब उससे बेख़बर नहीं जो तुम कर रहे हो।
My Lord, You have given me [something] of sovereignty and taught me of the interpretation of dreams. Creator of the heavens and earth, You are my protector in this world and in the Hereafter. Cause me to die a Muslim and join me with the righteous."
Aey meray perwerdigar! Tu ney mujhay mulk ata farmaya aur tu ney mujhay khuwab ki tabeer sikhlaee. Aey aasman-o-zamin kay peda kerney walay! Tu hi duniya aur aakhirat mein mera wali ( dost ) aur kaar saaz hai tu mujhay islam ki halat mein fot ker aur neko mein mila dey.
ऐ मेरे रब! आपने मुझको हुकूमत में से हिस्सा दिया और मुझको ख़्वाबों की ताबीर करना सिखाया, ऐ आसमानों और ज़मीन के पैदा करने वाले! आप ही मेरा काम बनाने वाले हैं दुनिया में भी और आख़िरत में भी मुझको फ़रमाँबरदारी की हालत में वफ़ात दीजिए और मुझको नेक बंदों में शामिल फ़रमाईए।
And how many a sign within the heavens and earth do they pass over while they, therefrom, are turning away.
Aasmanon aur zamin mein bhot si nishaniyan hain. Jin say yeh mun moray guzr rahey jatay hain.
और आसमानों और ज़मीन में कितनी ही निशानियाँ हैं जिन पर से उनका गुज़र होता रहता है और वे उन पर ध्यान नहीं करते।
And to Allah prostrates whoever is within the heavens and the earth, willingly or by compulsion, and their shadows [as well] in the mornings and the afternoons.
Allah hi kay liye zamin aur aasmanon ki sab makhlooq khushi aur na aur na khushi say sajda kerti hai aur unn kay saye bhi subha-o-shaam.
और आसमानों और ज़मीन में जो भी हैं सब अल्लाह ही को सज्दा करते हैं ख़ुशी से या मजबूरी से और उनके साए भी सुबह और शाम।
Say, "Who is Lord of the heavens and earth?" Say, " Allah ." Say, "Have you then taken besides Him allies not possessing [even] for themselves any benefit or any harm?" Say, "Is the blind equivalent to the seeing? Or is darkness equivalent to light? Or have they attributed to Allah partners who created like His creation so that the creation [of each] seemed similar to them?" Say, " Allah is the Creator of all things, and He is the One, the Prevailing."
Aap poochiye kay asmanon aur zamin ka perwerdigar kaun hai? Keh dijiye! Allah . Keh dijiye! Kiya tum phir bhi iss kay siwa auron ko himayati bana rahey ho jo khud apni jaan kay bhi bhalay buray ka ikhtiyar nahi rakhtay. Keh dijiye kay kiya andha aur beena barabar hosakta hai? Ya kiya andheriyan aur roshni barabar hosakti hai. Kiya jinhen yeh Allah kay shareek thehra rahey hain unhon ney bhi Allah ki tarah makhlooq peda ki hai kay inn ki nazar mein pedaeesh mushtaba hogaee ho keh dijiye kay sirf Allah hi tamam cheezon ka khaliq hai who akela hai aur zabardast ghalib hai.
कह दीजिए कि आसमानों और ज़मीन का रब कौन है? कह दीजिए कि अल्लाह है, कहिए कि क्या फिर भी तुमने उसके सिवा ऐसे मददगार बना रखे हैं जो ख़ुद अपनी ज़ात के नफ़ा और नुक़सान का भी इख़्तियार नहीं रखते, कहिए कि क्या अंधा और आँखों वाला दोनों बराबर हो सकते हैं, या क्या अंधेरा और उजाला दोनों बराबर हो जाएंगे, क्या उन्होंने अल्लाह के साथ ऐसे शरीक ठहराए हैं जिन्होंने भी पैदा किया जैसा कि अल्लाह ने पैदा किया फिर पैदाइश उनकी नज़र मैं मुश्तबह हो गई, कह दीजिए कि अल्लाह हर चीज़ का पैदा करने वाला है और वही है अकेला, ज़बरदस्त।
Their messengers said, "Can there be doubt about Allah , Creator of the heavens and earth? He invites you that He may forgive you of your sins, and He delays your death for a specified term." They said, "You are not but men like us who wish to avert us from what our fathers were worshipping. So bring us a clear authority."
Unn kay rasoolon ney unhen kaha kay kiya haq taalaa kay baray mein tumhen shak hai jo aasmano aur zamin ka bananey wala hai woh to tumhen iss liye bula raha hai kay tumharay tamam gunah moaf farma dey aur aik muqarrara waqt tak tumhen mohlat ata farmaye unhon ney kaha kay tum to hum jaisay hi insan ho tum chahatay ho kay humen unn khudaon ki ibadat say rok do jin ki ibadat humaray baap dada kertay rahey acha to humaray samney koi khulli daleel paish kero.
उनके पैग़म्बरों ने कहाः क्या अल्लाह के बारे में शक है जो आसमानों और ज़मीन को वजूद में लाने वाला है, वह तुमको बुला रहा है कि तुम्हारे गुनाहों को माफ़ कर दे और तुमको एक मुक़र्रर मुद्दत तक मोहलत दे, उन्होंने कहा कि तुम इसके सिवा कुछ नहीं कि हमारे जैसे ही एक आदमी हो, तुम चाहते हो कि हमको उन चीज़ों की इबादत से रोक दो जिनकी इबादत हमारे बाप-दादा करते थे, तुम हमारे सामने कोई खुली सनद ले आओ।
And to Him belongs whatever is in the heavens and the earth, and to Him is [due] worship constantly. Then is it other than Allah that you fear?
Aasmanon mein aur zamin mein jo kuch hai sab ussi ka hai aur ussi ki ibadat lazim hai kiya phir tum uss kay siwa auron say dartay ho?
और उसी का है जो कुछ आसमानों और ज़मीन में है, और उसी की इताअत है हमेशा, तो क्या तुम अल्लाह के सिवा औरों से डरते हो।
And they worship besides Allah that which does not possess for them [the power of] provision from the heavens and the earth at all, and [in fact], they are unable.
Aur woh Allah Taalaa kay siwa unn ki ibadat kertay hain jo aasmanon aur zamin say unhen kuch bhi to rozi nahi dey saktay aur na kuch qudrat rakhtay hain.
और वे अल्लाह के सिवा उन चीज़ों की इबादत करते हैं जो न उनके लिए आसमान से किसी रोज़ी पर इख़्तियार रखती हैं और न ज़मीन से और न वे क़ुदरत रखती हैं।
And to Allah belongs the unseen [aspects] of the heavens and the earth. And the command for the Hour is not but as a glance of the eye or even nearer. Indeed, Allah is over all things competent.
Aasmanon aur zamin ka ghaib sirf Allah Taalaa hi ko maloom hai aur qayamat ka amar to aisa hi hai jaisay aankh ka jhapakna bulkay iss say bhi ziyada qarib. Be-shak Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
और अल्लाह ही के लिए हैं आसमानों और ज़मीन की पोशीदा बातें, और क़यामत का मामला बस ऐसा होगा जैसे आँख झपकना बल्कि उससे भी जल्द, बेशक अल्लाह हर चीज़ पर क़ादिर है।
And your Lord is most knowing of whoever is in the heavens and the earth. And We have made some of the prophets exceed others [in various ways], and to David We gave the book [of Psalms].
Aasamno-o-zamin mein jo bhi hai aap ka rab sab ko bakhoobi janta hai. Hum ney baaz payghumbaron ko baaz per behtari aur bartari di hai aur dawood ko zaboor hum ney ata farmaee hai.
और आपका रब ख़ूब जानता है उनको जो आसमानों और ज़मीन में हैं, और हमने बअज़ नबियों को बअज़ पर फ़ज़ीलत दी और हमने दाऊद (अलै॰) को ज़बूर दी।
[Moses] said, "You have already known that none has sent down these [signs] except the Lord of the heavens and the earth as evidence, and indeed I think, O Pharaoh, that you are destroyed."
Musa ney jawab diya kay yeh to tujhay ilm ho chuka hai kay aasman-o-zamin kay perwerdigar hi ney yeh moajzzay dikhaney samjhaney ko nazil farmaye hain aey firaon! Mein to samajh raha hun kay tu yaqeenan barbad-o-halak kiya gaya hai.
उस ने कहा, "तू भली-भाँति जानता है कि आकाशों और धऱती के रब के सिवा किसी और ने इन (निशानियों) को स्पष्ट प्रमाण बनाकर नहीं उतारा है। और ऐ फ़िरऔन! मैं तो समझता हूँ कि तू विनष्ट होने को है।"
And We made firm their hearts when they stood up and said, "Our Lord is the Lord of the heavens and the earth. Never will we invoke besides Him any deity. We would have certainly spoken, then, an excessive transgression.
Hum ney unn kay dil mazboot ker diye thay jabkay yeh uth kharay huye aur kehney lagay kay humara perwerdigar to wohi hai jo aasman-o-zamin ka perwerdigar hai na mumkin hai kay hum uss kay siwa kissi aur mabood ko pukaren agar aisa kiya to hum ney nihayat hi ghalat baat kahi.
और हम ने उन के दिलों को सुदृढ़ कर दिया। जब वे उठे तो उन्होंने कहा, "हमारा रब तो वही है जो आकाशों और धरती का रब है। हम उस से इतर किसी अन्य पूज्य को कदापि न पुकारेंगे। यदि हम ने ऐसा किया तब तो हमारी बात हक़ से बहुत हटी हुई होगी
Say, " Allah is most knowing of how long they remained. He has [knowledge of] the unseen [aspects] of the heavens and the earth. How Seeing is He and how Hearing! They have not besides Him any protector, and He shares not His legislation with anyone."
Aap keh den Allah hi ko unn kay thehray rehney ki muddat ka ba-khoobi ilm hai aasmanon aur zaminon ka ghaib sirf ussi ko hasil hai woh kiya hi acha dekhney aur sunnay wala hai. Siwaye Allah kay unn ka koi madadgaar nahi Allah Taalaa apney hukum mein kissi ko shareeq nahi kerta.
कह दो, "अल्लाह भली-भाँति जानता है जितना वे ठहरे।" आकाशों और धरती की छिपी बात का सम्बन्ध उसी से है। वह क्या ही देखने वाला और सुनने वाला है! उस से इतर न तो उन का कोई संरक्षक है और न वह अपने प्रभुत्व और सत्ता में किसी को साझीदार बनाता है
I did not make them witness to the creation of the heavens and the earth or to the creation of themselves, and I would not have taken the misguiders as assistants.
Mein ney enhen aasmanon-o-zamin ki pedaeesh kay waqt mojood nahi rakha tha aur na khud inn ki apni pedaeesh mein aur mein gumraah kerney walon ko apna madadgaar bananey wala bhi nahi.
मैंने न तो आकाशों और धरती को उन्हें दिखाकर पैदा किया और न स्वयं उन को बनाने और पैदा करने के समय ही उन्हें बुलाया। मैं ऐसा नहीं हूँ कि गुमराह करने वालों को अपनी बाहु-भुजा बनाऊँ
Lord of the heavens and the earth and whatever is between them - so worship Him and have patience for His worship. Do you know of any similarity to Him?"
Aasmano ka zamin ka aur jo kuch inn kay darmiyan hai sab ka rab wohi hai tu ussi ki bandagi ker aur uss ki ibadat per jamm ja. Kiya teray ilm mein uss ka hum naam hum palla koi aur bhi hai?
आकाशों और धरती का रब है और उस का भी जो इन दोनों के मध्य है। अतः तुम उसी की बन्दगी पर जमे रहो। क्या तुम्हारे ज्ञान में उस जैसा कोई है?
There is no one in the heavens and earth but that he comes to the Most Merciful as a servant.
Aasman-o-zamin mein jo bhi hain sab kay sab Allah kay ghulam bann ker hi aaney walay hain.
आकाशों और धरती में जो कोई भी है एक बन्दें के रूप में रहमान के पास आने वाला है
The Prophet said, "My Lord knows whatever is said throughout the heaven and earth, and He is the Hearing, the Knowing."
Payghumber ney kaha mera perwerdigar her uss baat ko jo zamin-o-aasman mein hai ba-khoobi janta hai woh boht hi sunnay wala aur jannay wala hai.
उस ने कहा, "मेरा रब जानता है उस बात को जो आकाश और धरती में हो। और वह भली-भाँति सब कुछ सुनने, जानने वाला है।"
To Him belongs whoever is in the heavens and the earth. And those near Him are not prevented by arrogance from His worship, nor do they tire.
Aasmano aur zamin mein jo hai ussi Allah ka hai aur jo uss kay pass hain woh uss ki ibadat say na sirkashi kertay hain aur na thaktay hain.
और आकाशों और धरती में जो कोई है उसी का है। और जो (फ़रिश्ते) उस के पास है वे न तो अपने को बड़ा समझकर उस की बन्दगी से मुँह मोड़ते हैं और न वे थकते हैं
He said, "[No], rather, your Lord is the Lord of the heavens and the earth who created them, and I, to that, am of those who testify.
Aap ney farmaya nahi dar-haqeeqat tum sab ka perwerdigar to woh hai jo aasmano aur zamin ka malik hai jiss ney unehn peda kiya hai mein to issi baat ka gawah aur qaeel hun.
उस ने कहा, "नहीं, बल्कि बात यह है कि तुम्हारा रब आकाशों और धरती का रब है, जिस ने उन को पैदा किया है और मैं इस पर तुम्हारे सामने गवाही देता हूँ
Do you not know that Allah knows what is in the heaven and earth? Indeed, that is in a Record. Indeed that, for Allah , is easy.
Kiya aap ney nahi jana kay aasman-o-zamin ki her cheez Allah kay ilm mein hai. Yeh sab likhi hui kitab mein mehfooz hai. Allah Taalaa per to yeh amar bilkul aasan hai.
क्या तुम्हें नहीं मालूम कि अल्लाह जानता है जो कुछ आकाश और धरती मैं है? निश्चय ही वह (लोगों का कर्म) एक किताब में अंकित है। निस्संदेह वह (फ़ैसला करना) अल्लाह के लिए अत्यन्त सरल है
Allah is the Light of the heavens and the earth. The example of His light is like a niche within which is a lamp, the lamp is within glass, the glass as if it were a pearly [white] star lit from [the oil of] a blessed olive tree, neither of the east nor of the west, whose oil would almost glow even if untouched by fire. Light upon light. Allah guides to His light whom He wills. And Allah presents examples for the people, and Allah is Knowing of all things.
Allah noor hai aasmanon ka aur zamin ka uss kay noor ki misal misil aik taaq kay hai jiss mein chiragh ho aur chiragh seeshay ki qandeel mein ho aur seesha misil chamaktay huye roshan sitaray kay ho woh chiragh aik ba-barkat darakht zaitoon kay tel say jalaya jata ho jo darakht na mashriqi hai na maghribi khud woh tel qareeb hai kay aap hi roshni denay lagay agarcheh ussay aag na bhi chuye noor per noor hai Allah Taalaa apnay noor ki taraf rehnumaee kerta hai jissay chahaye logon ( kay samjhaney ) ko yeh misalen Allah Taalaa biyan farma raha hai aur Allah Taalaa her cheez kay haal say bakhoobi waqif hai.
अल्लाह आकाशों और धरती का प्रकाश है। (मोमिन के दिल में) उस के प्रकाश की मिसाल ऐसी है जैसे एक ताक़ है, जिस में एक चिराग़ है - वह चिराग़ एक फ़ानूस में है। वह फ़ानूस ऐसा है मानो चमकता हुआ कोई तारा है। - वह चिराग़ ज़ैतून के एक बरकत वाले वृक्ष के तेल से जलाया जाता है, जो न पूर्वी है न पश्चिमी। उस का तेल आप ही आप भड़का पड़ता है, यद्यपि आग उसे न भी छुए। प्रकाश पर प्रकाश! - अल्लाह जिसे चाहता है अपने प्रकाश के प्राप्त होने का मार्ग दिखा देता है। अल्लाह लोगों के लिए मिसालें प्रस्तुत करता है। अल्लाह तो हर चीज़ जानता है।