Say, "My Lord has only forbidden immoralities - what is apparent of them and what is concealed - and sin, and oppression without right, and that you associate with Allah that for which He has not sent down authority, and that you say about Allah that which you do not know."
Aap farmaiye kay albatta meray rab ney sirf haram kiya hai inn tamam fahash baaton ko jo ailaaniya hain aur jo posheeda hain aur her gunah ki baat ko aur na haq kissi per zulm kerney ko aur iss baat ko kay tum Allah kay sath kissi aisi cheez ko shareek thehrao jiss ki Allah ney koi sanad nazil nahi ki aur iss baat ko kay tum log Allah kay zimmay aisi baat laga do jiss ko tum jantay nahi.
कह दीजिए कि मेरे रब ने तो बस फ़हश बातों को हराम ठहराया है वे खुली हों या छुपी और गुनाह को और नाहक़ की ज़्यादती को और इस बात को कि तुम अल्लाह के साथ किसी को शरीक करो जिसकी उसने कोई दलील नहीं उतारी और यह कि तुम अल्लाह के ज़िम्मे ऐसी बात लगाओ जिसका तुम इल्म नहीं रखते।
Say, "My Lord has only forbidden immoralities - what is apparent of them and what is concealed - and sin, and oppression without right, and that you associate with Allah that for which He has not sent down authority, and that you say about Allah that which you do not know."
Aap farmaiye kay albatta meray rab ney sirf haram kiya hai inn tamam fahash baaton ko jo ailaaniya hain aur jo posheeda hain aur her gunah ki baat ko aur na haq kissi per zulm kerney ko aur iss baat ko kay tum Allah kay sath kissi aisi cheez ko shareek thehrao jiss ki Allah ney koi sanad nazil nahi ki aur iss baat ko kay tum log Allah kay zimmay aisi baat laga do jiss ko tum jantay nahi.
कह दीजिए कि मेरे रब ने तो बस फ़हश बातों को हराम ठहराया है वे खुली हों या छुपी और गुनाह को और नाहक़ की ज़्यादती को और इस बात को कि तुम अल्लाह के साथ किसी को शरीक करो जिसकी उसने कोई दलील नहीं उतारी और यह कि तुम अल्लाह के ज़िम्मे ऐसी बात लगाओ जिसका तुम इल्म नहीं रखते।
Say, "My Lord has only forbidden immoralities - what is apparent of them and what is concealed - and sin, and oppression without right, and that you associate with Allah that for which He has not sent down authority, and that you say about Allah that which you do not know."
Aap farmaiye kay albatta meray rab ney sirf haram kiya hai inn tamam fahash baaton ko jo ailaaniya hain aur jo posheeda hain aur her gunah ki baat ko aur na haq kissi per zulm kerney ko aur iss baat ko kay tum Allah kay sath kissi aisi cheez ko shareek thehrao jiss ki Allah ney koi sanad nazil nahi ki aur iss baat ko kay tum log Allah kay zimmay aisi baat laga do jiss ko tum jantay nahi.
कह दीजिए कि मेरे रब ने तो बस फ़हश बातों को हराम ठहराया है वे खुली हों या छुपी और गुनाह को और नाहक़ की ज़्यादती को और इस बात को कि तुम अल्लाह के साथ किसी को शरीक करो जिसकी उसने कोई दलील नहीं उतारी और यह कि तुम अल्लाह के ज़िम्मे ऐसी बात लगाओ जिसका तुम इल्म नहीं रखते।
And who is more unjust than one who invents about Allah a lie or denies His verses? Those will attain their portion of the decree until when Our messengers come to them to take them in death, they will say, "Where are those you used to invoke besides Allah ?" They will say, "They have departed from us," and will bear witness against themselves that they were disbelievers.
So uss shaks say ziyada zalim kaun hoga jo Allah Taalaa per jhoot banadhay ya uss ki aayaton ko jhoota bataye inn logon kay naseeb ka jo kuch kitab say hai woh inn ko mill jayega yahan tak kay jab inn kay pass humaray bhejay huye farishtay inn ki jaan qabz kerney aayen gay to kahen gay woh kahan gaye jin ki tum Allah ko chor ker ibadat kertay thay woh kahen gay kay hum say sab ghaeeb hogaye aur apney kafir honey ka iqrar keren gay.
फिर उससे ज़्यादा ज़ालिम कौन होगा जो अल्लाह पर बोहतान बाँधे या उसकी निशानियों को झुठलाए, उनके नसीब का जो हिस्सा लिखा हुआ है वह उन्हें मिल कर रहेगा, यहाँ तक कि जब हमारे भेजे हुए फ़रिश्ते उनकी जान लेने के लिए उनके पास पहुँचेंगे तो उनसे पूछेंगे कि अल्लाह के सिवा जिनको तुम पुकारते थे कहाँ हैं, वे कहेंगे कि वे सब हमसे खो गए और वे अपने ऊपर इक़रार करेंगे कि बेशक वे इनकार करने वाले थे।
And We will have removed whatever is within their breasts of resentment, [while] flowing beneath them are rivers. And they will say, "Praise to Allah , who has guided us to this; and we would never have been guided if Allah had not guided us. Certainly the messengers of our Lord had come with the truth." And they will be called, "This is Paradise, which you have been made to inherit for what you used to do."
Aur jo kuch inn kay dilon mein ( keena ) tha hum uss ko door ker den gay. Inn kay neechay nehren jari hongi. Aur woh log kahen gay kay Allah ka ( lakh lakh ) shukar hai jiss ney hum ko iss moqam tak phonchaya aur humari kabhi rasaee na hoti agar Allah Taalaa hum ko na pehchanta. Waqaee humaray rab kay payghumbar sachi baaten ley ker aaye thay. Aur inn say pukar ker kaha jayega iss jannata kay tum waris banaye gaye ho apney aemaal kay badlay.
और उनके सीने की हर रंजिश को हम निकाल देंगे, उनके नीचे नहरें बह रही होंगी, और वे कहेंगे कि सारी तारीफ़ अल्लाह के लिए है जिसने हमको यहाँ तक पहुँचाया और हम राह पाने वाले न थे अगर अल्लाह हमको हिदायत न देता, हमारे रब के रसूल सच्ची बात लेकर आए थे, और आवाज़ आएगी कि यह जन्नत है जिसके तुम वारिस ठहराए गए हो अपने आमाल के बदले।
And the companions of Paradise will call out to the companions of the Fire, "We have already found what our Lord promised us to be true. Have you found what your Lord promised to be true?" They will say, "Yes." Then an announcer will announce among them, "The curse of Allah shall be upon the wrongdoers."
Aue ehal-e-jannat ehal-e-dozakh ko pukaren gay kay hum say jo humaray rab ney wada farmaya tha hum ney to uss ko waqiyey kay mutabiq paya so tum say jo tumharay rab ney wada kiya tha tum ney bhi uss ko waqiyey kay mutabiq paya? Woh kahen gay haan phir aik pukarney wala dono kay darmiyan mein pukaray ga kay Allah ki maar ho inn zalimon per.
और जन्नत वाले दोज़ख़ वालों को पुकारेंगे कि हमसे हमारे रब ने जो वादा किया था हमने उसको सच्चा पाया, क्या तुमने भी अपने रब के वादे को सच्चा पाया, वे कहेंगेः हाँ, फिर एक पुकारने वाला दोनों के दरमियान पुकारेगा कि अल्लाह की लानत हो ज़ालिमों पर।
We had certainly sent Noah to his people, and he said, "O my people, worship Allah ; you have no deity other than Him. Indeed, I fear for you the punishment of a tremendous Day.
Hum ney nooh ( alh-e-salam ) ko unn ki qom ki taraf bheja to unhon ney farmaya aey meri qom! Tum Allah ki ibadat kero uss kay siwa koi mabood honey kay qabil nahi mujh ko tumharay liye aik baray din kay azab ka andesha hai.
हमने नूह (अलै॰) को उनकी क़ौम की तरफ़ भेजा, नूह ने कहाः ऐ मेरी क़ौम! अल्लाह की इबादत करो कि उसके सिवा तुम्हारा कोई माबूद नहीं, मैं तुम पर एक बड़े दिन के अज़ाब से डरता हूँ।
I convey to you the messages of my Lord and advise you; and I know from Allah what you do not know.
Tum ko apney perwerdigar ka payghaam phonchata hun aur tumhari khair khuwaee kerta hun aur mein Allah ki taraf say unn umoor ki khabar rakhta hun jin ki tum ko khabar nahi.
तुमको अपने रब के पैग़ामात पहुँचा रहा हूँ और तुम्हारी भलाई चाह रहा हूँ, और मैं अल्लाह की तरफ़ से वह बात जानता हूँ जो तुम नहीं जानते।
And to the 'Aad [We sent] their brother Hud. He said, "O my people, worship Allah ; you have no deity other than Him. Then will you not fear Him?"
Aur hum ney qom-e-aad ki taraf unn kay bhai hood ( alh-e-salam ) ko bheja. Unhon ney farmaya aey meri qom! Tum Allah ki ibadat kero uss kay siwa tumhara koi mabood nahi so kiya tum nahi dartay.
और आद की तरफ़ हमने उनके भाई हूद (अलै॰) को भेजा, उन्होंने कहा कि ऐ मेरी क़ौम! अल्लाह की इबादत करो, उसके सिवा तुम्हारा कोई माबूद नहीं, पस क्या तुम डरते नहीं।
They said, "Have you come to us that we should worship Allah alone and leave what our fathers have worshipped? Then bring us what you promise us, if you should be of the truthful."
Unhon ney kaha kiya aap humaray pass iss wastay aaye hain kay hum sirf Allah hi ki ibadat keren aur jin ko humaray baap dada poojtay thay unn ko chor den pus hum ko jiss azab ki dhamki detay ho uss ko humaray pass mangwa do agar tum sachay ho.
हूद (अलै॰) की क़ौम ने कहाः क्या तुम हमारे पास इसलिए आए हो कि हम तन्हा अल्लाह की इबादत करें और उनको छोड़ दें जिनकी इबादत हमारे बाप-दादा करते आए हैं, पस तुम जिस अज़ाब की धमकी हमको देते हो उसको ले आओ अगर तुम सच्चे हो।
And to the Thamud [We sent] their brother Salih. He said, "O my people, worship Allah ; you have no deity other than Him. There has come to you clear evidence from your Lord. This is the she-camel of Allah [sent] to you as a sign. So leave her to eat within Allah 's land and do not touch her with harm, lest there seize you a painful punishment.
Aur hum ney samood ki taraf unn kay bhai saleh ( alh-e-salam ) ko bheja. Unhon ney farmaya aey meri qom! Tum Allah ki ibadat kero uss kay siwa koi tumhara mabood nahi. Tumharay pass tumharay perwerdigar ki taraf say aik wazeh daleel aa chuki hai. Yeh oontni hai Allah ki jo tumharay liye daleel hai so iss ko chor do kay Allah Taalaa ki zamin mein khati phiray aur issko buraee kay sath haath bhi na lagana kay kahin tum ko dard naak azab aa pakray.
और समूद की तरफ़ हमने उनके भाई सालेह (अलै॰) को भेजा, उन्होंने कहाः ऐ मेरी क़ौम! अल्लाह की इबादत करो, उसके सिवा तुम्हारा कोई माबूद नहीं, तुम्हारे पास तुम्हारे रब की तरफ़ से एक खुली हुई निशानी आ चुकी है, यह अल्लाह की ऊँटनी तुम्हारे लिए एक निशानी के तौर पर है पस उसको छोड़ दो कि वह खाए अल्लाह की ज़मीन में और उसे किसी बुराई के इरादे से छूना भी नहीं वर्ना तुमको उनका एक दर्दनाक अज़ाब पकड़ लेगा।
And [We had sent] Lot when he said to his people, "Do you commit such immorality as no one has preceded you with from among the worlds?
Aur hum ney loot ( alh-e-salam ) ko bheja jabkay unhon ney apni qom say farmaya tum aisa fahash kaam kertay ho jiss ko tum say pehlay kissi ney duniya jahaan walon mein say nahi kiya.
और हमने लूत (अलै॰) को भेजा, जब उन्होंने अपनी क़ौम से कहा कि क्या तुम खुली बेहयाई का काम करते हो जो तुमसे पहले दुनिया में किसी ने नहीं किया?
And to [the people of] Madyan [We sent] their brother Shu'ayb. He said, "O my people, worship Allah ; you have no deity other than Him. There has come to you clear evidence from your Lord. So fulfill the measure and weight and do not deprive people of their due and cause not corruption upon the earth after its reformation. That is better for you, if you should be believers.
Aur hum ney madiyan ki taraf unn kay bhai shoaib ( alh-e-salam ) ko bheja. Unhon ney farmaya aey meri qom! Tum Allah ki ibadat kero iss kay siwa koi tumhara mabood nahi tumharay pass tumharay perwerdigar ki taraf say wazeh daleel aa chuki hai. Pus tum naap aur tol poora poora kiya kero aur logon ko unn ki cheezen kum kerkay mat do aur ruy-e-zamin mein iss kay baad kay iss ki durusti ker di gaee fasaad mat phelao yeh tumharay liye naafay hai agar tum tasdeeq kero.
और मदयन की तरफ़ हमने उनके भाई शुऐब को भेजा, उन्होंने कहा कि ऐ मेरी क़ौम! अल्लाह की इबादत करो जिसके सिवा तुम्हारा कोई माबूद नहीं, तुम्हारे पास तुम्हारे रब की तरफ़ से दलील पहुँच चुकी है पस नाप-तौल पूरा करो और मत घटाकर दो लोगों को उनकी चीज़ें, और फ़साद न मचाओ ज़मीन में उसकी इस्लाह के बाद, यह तुम्हारे हक़ में बेहतर है अगर तुम मोमिन हो।
And We inspired to Moses, "Throw your staff," and at once it devoured what they were falsifying.
Aur hum ney ( alh-e-salam ) ko hukum diya kay apna asa daal dijiye! So asa ka daalna tha kay uss ney unn kay saray banay banaye khel ko nigalna shuroo kiya.
और हमने मूसा की तरफ़ हुक्म भेजा कि अपना असा डाल दो तो वह अचानक निगलने लगा उसको जो उन्होंने घड़ा था।
So the truth was established, and abolished was what they were doing.
Pus haq zahir hogaya aur unhon ney jo kuch banaya tha sab jata raah.
पस हक़ ज़ाहिर हो गया और जो कुछ उन्होंने बनाया था बातिल होकर रह गया।
They said, "We have been harmed before you came to us and after you have come to us." He said, "Perhaps your Lord will destroy your enemy and grant you succession in the land and see how you will do."
Qom kay log kehney lagay kay hum to hamesha museebat hi mein rahey aap ki tashreef aawari say qabal bhi aur aap ki tashreef aawari kay baad bhi. Musa ( alh-e-salam ) ney farmaya kay boht jald Allah tumharay dushman ko halak ker dey ga aur bajaye unn kay tum ko iss sir zamin ka khalifa bana dey ga phir tumhara tarz-e-amal dekhay ga.
मूसा की क़ौम ने कहाः हम तुम्हारे आने से पहले भी सताए गए और तुम्हारे आने के बाद भी, मूसा (अलै॰) ने कहाः क़रीब है कि तुम्हारा रब तुम्हारे दुश्मन को हलाक कर दे और उनकी जगह तुमको इस सरज़मीन का मालिक बना दे फिर देखे कि तुम कैसा अमल करते हो।
And We caused the people who had been oppressed to inherit the eastern regions of the land and the western ones, which We had blessed. And the good word of your Lord was fulfilled for the Children of Israel because of what they had patiently endured. And We destroyed [all] that Pharaoh and his people were producing and what they had been building.
Aur hum ney unn logon ko jo kay bilkul kamzor shumat kiye jatay thay uss sir zamin kay poorab pachim ka maalik bana diya jiss mein hum ney barkat rakhi hai aur aap kay rab kay nek wada bani israeel kay haq mein unn kay sabar ki waja say poora hogaya aur hum ney firaon kay aur uss ki qom kay saakhita per daakhita kaar khanon ko aur jo kuch woh oonchi oonchi emarten banwatay thay sab ko darhum barhum ker diya.
और जो लोग कमज़ोर समझे जाते थे उनको हमने ज़मीन के मशरिक़ और मग़रिब का वारिस बना दिया जिसमें हमने बरकत रखी थी, और बनी-इस्राईल पर आपके रब का नेक वादा पूरा हो गया इस वजह से कि उन्होंने सब्र किया, और हमने फ़िरऔन और उसकी क़ौम का वह सब कुछ बरबाद कर दिया जो वे बनाते थे और जो वे चढ़ाते थे।
Those who denied Our signs and the meeting of the Hereafter - their deeds have become worthless. Are they recompensed except for what they used to do?
Aur yeh log jinon ney humari aayaton ko aur qayamat kay paish aaney ko jhutlaya unn kay sab kaam ghaarat gaye. Inn ko wohi saza di jayegi jo kuch yeh kertay thay.
और जिन्होंने हमारी निशानियों को और आख़िरत की मुलाक़ात को झुठलाया उनके आमाल ग़ारत हो गए और वे बदले में वही पाएंगे जो वे करते थे।
And We divided them into twelve descendant tribes [as distinct] nations. And We inspired to Moses when his people implored him for water, "Strike with your staff the stone," and there gushed forth from it twelve springs. Every people knew its watering place. And We shaded them with clouds and sent down upon them manna and quails, [saying], "Eat from the good things with which We have provided you." And they wronged Us not, but they were [only] wronging themselves.
Aur hum ney unn ko baara khaandanon mein taqseem ker kay sab ki alag alag jamat muqarrar ker di aur hum ney musa ( alh-e-salam ) ko hukum diya jabkay unn ki qom ney unn say pani maanga kay apney asa ko falan pathar per maaro pus foran uss say baara chashmay phoot niklay. Her her shaks ney apney pani peenay ka moqa maloom ker liya aur hum ney unn per abar ko saya figan kiya aur unn ko mann-o-salwa ( taran jabeen aur bateren ) phonchaen khao nafees cheezon say jo hum ney tum ko di hain aur unhon ney humara koi nuksan nahi kiya lekin apna hi nuksan kertay thay.
और हमने उनको बारह घरानों में तक़सीम करके उन्हें अलग-अलग गिरोह बना दिया, और हमने मूसा को हुक्म भेजा उस वक़्त जब उसकी क़ौम ने पानी माँगा कि फ़लाँ पत्थर पर अपनी लाठी मारो तो उससे बारह चश्मे फूट पड़े, हर गिरोह ने अपना पानी पीने का ठिकाना मालूम कर लिया, और हमने उन पर बदलियों का साया किया और हमने उन पर मन्न व सलवा उतारा, खाओ पाकीज़ा चीज़ों में से जो हमने तुमको दी हैं, और उन्होंने हमारा कुछ नहीं बिगाड़ा बल्कि वे ख़ुद अपना ही नुक़सान करते रहे।
And when they forgot that by which they had been reminded, We saved those who had forbidden evil and seized those who wronged, with a wretched punishment, because they were defiantly disobeying.
So jab woh iss ko bhool gaye jo inn ko samjhaya jata tha to hum ney unn logon ko to bacha liya jo iss buri aadat say mana kiya kertay thay aur unn logon ko jo kay ziyadti kertay thay aik sakht azab mein pakar liya iss waja say kay woh bey hukmi kiya kertay thay.
फिर जब ये लोग वह बात भुला बैठे जिसकी उन्हें नसीहत की गई थी तो बुराई से रोकने वालों को तो हमने बचा लिया और जिन्होंने ज़्यादती की थी उनकी मुसलसल नाफ़रमानी की वजह से हमने उन्हें एक सख़्त अज़ाब में पकड़ लिया।
And there followed them successors who inherited the Scripture [while] taking the commodities of this lower life and saying, "It will be forgiven for us." And if an offer like it comes to them, they will [again] take it. Was not the covenant of the Scripture taken from them that they would not say about Allah except the truth, and they studied what was in it? And the home of the Hereafter is better for those who fear Allah , so will you not use reason?
Phir inn kay baad aisay log inn kay janasheen huye kay kitab ko inn say hasil kiya woh iss duniya-e-faani ka maal mataa ley letay hain aur kehtay hain kay humari zaroor maghfirat hojaye gi halankay agar inn kay pass wesa hi maal mataa aaney lagay to iss ko bhi ley len gay. Kiya inn say iss kitab kay iss mazmoon ka ehad nahi liya gaya kay Allah ki taraf ba-juz haq baat kay aur kissi baat ki nisbat na keren aur enhon ney iss kitab mein jo kuch tha uss ko parh liya aur aakhirat wala ghar unn logon kay liye behtar hai jo taqwa rakhtay hain phri kiya tum nahi samajhtay.
फिर उनके पीछे ना-अहल लोग आए जो किताब के वारिस बने, वे इसी दुनिया के सामान लेते हैं और कहते हैं कि हम यक़ीनन बख़्श दिए जाएंगे, और अगर ऐसा ही सामान उनके सामने फिर आए तो वे उसको ले लेंगे, क्या उनसे किताब में इसका अहद नहीं लिया गया है कि अल्लाह के नाम पर हक़ के सिवा कोई और बात न कहें, और उन्होंने पढ़ा है जो कुछ उसमें लिखा है, और आख़िरत का घर बेहतर है डरने वालों के लिए, क्या तुम समझते नहीं?
And [mention] when We raised the mountain above them as if it was a dark cloud and they were certain that it would fall upon them, [and Allah said], "Take what We have given you with determination and remember what is in it that you might fear Allah ."
Aur woh waqt bhi qabil-e-zikar hai jab hum ney pahar ko utha ker sayebaan ki tarah unn per moalliq ker diya aur inn ko yaqeen hogaya kay abb inn per gira aur kaha kay jo kitab hum ney tum ko di hai ussay mazbooti kay sath qabool kero aur yaad rakho jo ehkaam iss mein hain uss say tawaqqa hai kay tum mutaqqi bann jao.
और जब हमने पहाड़ को उनके ऊपर उठाया गोया कि वह सायबान है, और उन्होंने गुमान किया कि वह उन पर आ पड़ेगा, पकड़ो उस चीज़ को जो हमने तुमको दी है मज़बूती से, और याद रखो जो उसमें है ताकि तुम बचो।
And to Allah belong the best names, so invoke Him by them. And leave [the company of] those who practice deviation concerning His names. They will be recompensed for what they have been doing.
Aur achay achay naam Allah hi kay liye hain so unn naamon say Allah hi ko mossom kiya kero aur aisay logon say talluq bhi na rakho jo uss kay naamon mein kuj ravi kertay hain unn logon ko unn kay kiye ki zaroor saza milay gi.
और अस्मा-ए-हुस्ना (अच्छे-अच्छे नाम) अल्लाह ही के हैं लिहाज़ा उसको उन्हीं नामों से पुकारो, और उन लोगों को छोड़ दो जो उसके नामों में टेढ़ा रास्ता इख़्तियार करते हैं, वे जो कुछ कर रहे हैं उसका बदला उन्हें दिया जाएगा।
Then do they not give thought? There is in their companion [Muhammad] no madness. He is not but a clear warner.
Kiya inn logon ney iss baat per ghor nahi kiya kay inn kay sathi ko zara bhi junoon nahi woh to sirf aik saaf saaf daraney walay hain.
क्या उन लोगों ने ग़ौर नहीं किया कि उनके साथी को कोई पागलपन नहीं है, वह तो एक साफ़ डराने वाला है।
Say, "I hold not for myself [the power of] benefit or harm, except what Allah has willed. And if I knew the unseen, I could have acquired much wealth, and no harm would have touched me. I am not except a warner and a bringer of good tidings to a people who believe."
Aap farma dijiye kay mein khud apni zaat-e-khaas kay liye kissi nafay ka ikhtiyar nahi rakhta aur na kissi zarar ka magar utna hi jitna Allah ney chaha ho aur agar mein ghaib ki baaten janta hota to mein boht say munafay hasil ker leta aur koi nuksan mujh ko na phonchta mein to mehaz daraney wala aur bisharat denay wala hun unn logon ko jo eman rakhtay hain.
(ऐ नबी) आप कह दीजिए कि मैं मालिक नहीं अपनी जान के भले का और न बुरे का मगर जो अल्लाह चाहे, और अगर मैं ग़ैब को जानता तो बहुत-से फ़ायदे अपने लिए हासिल कर लेता और मुझे कोई नुक़सान न पहुँचता, मैं तो महज़ एक डराने वाला और ख़ुश-ख़बरी सुनाने वाला हूँ उन लोगों के लिए जो मेरी बात मानें।
Do they associate with Him those who create nothing and they are [themselves] created?
Kiya aison ko shareek thehratay hain jo kissi cheez ko peda na ker saken aur woh khud hi peda kiye gaye hon.
क्या वे शरीक बनाते हैं ऐसों को जो किसी चीज़ को पैदा नहीं करते बल्कि वे ख़ुद मख़लूक़ हैं।
And when you, [O Muhammad], do not bring them a sign, they say, "Why have you not contrived it?" Say, "I only follow what is revealed to me from my Lord. This [Qur'an] is enlightenment from your Lord and guidance and mercy for a people who believe."
Aur jab aap koi moajza inn kay samney zahir nahi kertay to woh log kehtay hain kay aap yeh moajza kiyon na laye? Aap farma dijiye! Kay mein uss ka ittabaa kerta hun jo mujh per meray rab ki taraf say hukum bheja gaya hai yeh goya bohr si daleelen hain tumharay rab ki taraf say aur hodayat aur rehmat hai unn logon kay liye jo eman rakhtay hain.
और जब आप उनके सामने (मुँह-माँगा) मोजिज़ा पेश नहीं करते तो ये कहते हैं कि तुमने यह मोजिज़ा ख़ुद अपनी पसंद से क्यों पेश न किया? कह दें कि मैं तो उसी बात की इत्तिबा करता हूँ जो मेरे रब की तरफ़ से वह्य के ज़रिए मुझ तक पहुँचाई जाती है, यह (क़ुरआन) तुम्हारे रब की तरफ़ से बसीरतों का मजमूआ है, और जो लोग ईमान लाएं उनके लिए हिदायत और रहमत है।
And [remember] when Satan made their deeds pleasing to them and said, "No one can overcome you today from among the people, and indeed, I am your protector." But when the two armies sighted each other, he turned on his heels and said, "Indeed, I am disassociated from you. Indeed, I see what you do not see; indeed I fear Allah . And Allah is severe in penalty."
Jabkay unn kay aemaal ko shetan zeenat daar dikha raha tha aur keh raha tha kay logon mein say koi bhi aaj tum per ghalib nahi aa sakta mein khud bhi tumhara himayati hun lekin jab donon jamaten namoo daar huen to apni aeriyon kay ball peechay hatt gaya aur kehnay laga mein tum say bari hun. Mein woh dekh raha hun jo tum nahi dekh rahey. Mein Allah say darta hun aur Allah Taalaa sakhta azab wala hai.
और जब शैतान ने उन्हें उनके आमाल ख़ुशनुमा बनाकर दिखाए और कहा कि आज लोगों में से कोई तुम पर ग़ालिब आने वाला नहीं और मैं तुम्हारे साथ हूँ, मगर जब दोनों गिरोह आमने-सामने हुए तो वह उलटे पाँव भागा और कहा कि मैं तुम से बरी हूँ, मैं वह सब देख रहा हूँ जो तुम लोग नहीं देखते, मैं अल्लाह से डरता हूँ, और अल्लाह सख़्त अज़ाब देने वाला है।
That is because Allah would not change a favor which He had bestowed upon a people until they change what is within themselves. And indeed, Allah is Hearing and Knowing.
Yeh iss liye kay Allah aisa nahi kay kissi qom per koi nemat inam farma ker phir badal dey jab tak kay woh khud apni uss halat ko na badal den jo kay unn ki apni thi aur yeh kay Allah sunnay wala hai.
यह इस वजह से हुआ कि अल्लाह उस ईनाम को जो वह किसी क़ौम पर करता है उस वक़्त तक नहीं बदलता जब तक कि उसको ख़ुद न बदल दें जो उनके दिलों में है, और बेशक अल्लाह सुनने वाला, जानने वाला है।
And brought together their hearts. If you had spent all that is in the earth, you could not have brought their hearts together; but Allah brought them together. Indeed, He is Exalted in Might and Wise.
Inn kay dilon mein bahumi ulfat bhi ussi ney dali hai. Zamin mein jo kuch hai agar sara ka sara bhi kharch ker dalta to bhi inn kay dil aapas mein na mila sakta. Yeh to Allah hi ney inn mein ulfat daal di hai woh ghalib hikmaton wala hai.
और उनके दिलों में इत्तिफ़ाक़ पैदा कर दिया, अगर आप ज़मीन में जो कुछ है सब ख़र्च कर डालते तब भी उनके दिलों में इत्तिफ़ाक़ पैदा न कर सकते, लेकिन अल्लाह ने उनमें इत्तिफ़ाक़ पैदा कर दिया, बेशक वह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
It is not for a prophet to have captives [of war] until he inflicts a massacre [upon Allah 's enemies] in the land. Some Muslims desire the commodities of this world, but Allah desires [for you] the Hereafter. And Allah is Exalted in Might and Wise.
Nabi kay haath mein qaidi nahi chahaiye jabtak kay mulk mein achi khoonrezi ki jang na hojaye. Tum to duniya kay maal chahatay ho aur Allah ka irada aakhirat ka hai aur Allah zor aawar ba hikmat hai.
किसी नबी के लिए लायक़ नहीं कि उसके पास क़ैदी हों जब तक वह ज़मीन में अच्छी तरह ख़ूंरेज़ी न कर ले, तुम दुनिया के असबाब चाहते हो और अल्लाह आख़िरत को चाहता है, और अल्लाह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
Indeed, those who have believed and emigrated and fought with their wealth and lives in the cause of Allah and those who gave shelter and aided - they are allies of one another. But those who believed and did not emigrate - for you there is no guardianship of them until they emigrate. And if they seek help of you for the religion, then you must help, except against a people between yourselves and whom is a treaty. And Allah is Seeing of what you do.
Jo log eman laye aur hijrat ki aur apney maalon aur janon say Allah ki raah mein jihad kiya aur jin logon ney inn ko panah di aur madad ki yeh sab aapas mein aik doosray kay rafiq hain aur jo eman to layen hain lekin hijrat nahi ki tumharay liye inn ki kuch bhi rafaqat nahi jabtak kay woh hijrat na keren. Haan agar woh tum say deen kay baray mein madad talab keren to tum per madad kerna zaroori hai siwaye inn logon kay kay tum mein aur inn mein ehad-o-payman hai tum jo kuch ker rahey ho Allah khoob dekhta hai.
जो लोग ईमान लाए और जिन्होंने हिजरत की और अल्लाह की राह में अपने माल व जान से जिहाद किया और वे लोग जिन्होंने पनाह दी और मदद की, वे लोग आपस में एक-दूसरे के दोस्त हैं, और जो लोग ईमान लाए मगर उन्होंने हिजरत नहीं की तो उनसे तुम्हारा दोस्ती का कोई तअल्लुक़ नहीं जब तक कि वे हिजरत करके न आ जाएं, और वे तुमसे दीन के मामले में मदद माँगें तो तुम पर उनकी मदद करना वाजिब है सिवाए उसके कि यह मदद ऐसी क़ौम के ख़िलाफ़ हो जिसके साथ तुम्हारा मुआहिदा है, और जो कुछ तुम करते हो अल्लाह उसको देख रहा है।
They have exchanged the signs of Allah for a small price and averted [people] from His way. Indeed, it was evil that they were doing.
Enhon ney Allah ki aayaton ko boht kam qeematon mein baich diya aur uss ki raah say roka. Boht bura hai jo yeh ker rahey hain.
उन्होंने अल्लाह की आयतों को थोड़ी क़ीमत पर बेच दिया फिर उन्होंने अल्लाह के रास्ते से रोका, बहुत बुरा है जो वे कर रहे हैं।
It is not for the polytheists to maintain the mosques of Allah [while] witnessing against themselves with disbelief. [For] those, their deeds have become worthless, and in the Fire they will abide eternally.
Laeeq nahi kay mushrik Allah Taalaa ki masjidon ko abad keren. Daran halanakay woh khud apney kufur kay aap hi gawah hain inn kay aemaal gharat-o-ikarat hain aur woh daeemi tor per jahannumi hain.
मुशरिकों का काम नहीं कि वे अल्लाह की मस्जिदों को आबाद करें हालाँकि वे ख़ुद अपने ऊपर कुफ़्र के गवाह हैं, उन लोगों के तो आमाल ही ग़ारत हो चुके हैं, और दोज़ख़ ही में हमेशा उनको रहना है।
Fight those who do not believe in Allah or in the Last Day and who do not consider unlawful what Allah and His Messenger have made unlawful and who do not adopt the religion of truth from those who were given the Scripture - [fight] until they give the jizyah willingly while they are humbled.
Unn logon say laro jo Allah per aur qayamat kay din per eman nahi latay jo Allah aur uss kay rasool ki haram kerda shey ko haram nahi jantay na deen-e-haq ko qabool kertay hain unn logon mein say jinhen kitab di gaee hai yahan tak kay woh zaleel-o-khuwar hoker apney hath say jizya ada keren.
उन अहले-किताब से लड़ो जो न अल्लाह पर ईमान रखते हैं और न आख़िरत के दिन पर और न अल्लाह और उसके रसूल के हराम ठहराए हुए को हराम ठहराते हैं और न दीने-हक़ को अपना दीन बनाते हैं, यहाँ तक कि वे अपने हाथ से जिज़्या दें और छोटे बनकर रहें।
The Day when it will be heated in the fire of Hell and seared therewith will be their foreheads, their flanks, and their backs, [it will be said], "This is what you hoarded for yourselves, so taste what you used to hoard."
Jiss din iss khazaney ko aatish-e-dozakh mein tapaya jaye ga phir iss say unn ki payshaniyan aur pehloo aur peethen daaghi jayengi ( unn say kaha jayega ) yeh hai jisay tum ney apney liye khazana bana rakha tha. Pus apney khazanon ka maza chakho.
उस दिन उस माल पर दोज़ख़ की आग दहकाई जाएगी फिर उससे उनकी पेशानियाँ और उनके पहलू और उनकी पीठें दाग़ी जाएंगी, यही है वह जिसको तुमने अपने वास्ते जमा किया था, पस अब चखो जो तुम जमा करते रहे।
The Day when it will be heated in the fire of Hell and seared therewith will be their foreheads, their flanks, and their backs, [it will be said], "This is what you hoarded for yourselves, so taste what you used to hoard."
Jiss din iss khazaney ko aatish-e-dozakh mein tapaya jaye ga phir iss say unn ki payshaniyan aur pehloo aur peethen daaghi jayengi ( unn say kaha jayega ) yeh hai jisay tum ney apney liye khazana bana rakha tha. Pus apney khazanon ka maza chakho.
उस दिन उस माल पर दोज़ख़ की आग दहकाई जाएगी फिर उससे उनकी पेशानियाँ और उनके पहलू और उनकी पीठें दाग़ी जाएंगी, यही है वह जिसको तुमने अपने वास्ते जमा किया था, पस अब चखो जो तुम जमा करते रहे।
Indeed, the postponing [of restriction within sacred months] is an increase in disbelief by which those who have disbelieved are led [further] astray. They make it lawful one year and unlawful another year to correspond to the number made unlawful by Allah and [thus] make lawful what Allah has made unlawful. Made pleasing to them is the evil of their deeds; and Allah does not guide the disbelieving people.
Meheenon ka aagey peechay ker dena kufur ki ziyadti hai iss say woh log gumrahi mein dalay jatay hain jo kafir hain. Aik saal to issay halal ker letay hain aur aik saal issi ko hurmat wala ker letay hain kay Allah ney jo hurmat rakhi hai uss kay shumar mein to moafiqat ker len phir ussay halal bana len jissay Allah ney haram kiya hai enhen inn kay buray kaam bhalay dikha diye gaye hain aur qom-e-kuffaar ki Allah rehnumaee nahi farmata.
महीनों को आगे-पीछे करना कुफ़्र में एक इज़ाफ़ा है उससे कुफ़्र करने वाले गुमराही में पड़ते हैं, वे किसी साल हराम महीने को हलाल कर लेते हैं और किसी साल उसको हराम कर देते हैं; ताकि अल्लाह के हराम किए हुए की गिनती पूरी करके उसके हराम किए हुए को हलाल कर लें, उनके बुरे आमाल उनके लिए ख़ुशनुमा बना दिए गए हैं, और अल्लाह इनकार करने वालों को रास्ता नहीं दिखाता।
Indeed, the postponing [of restriction within sacred months] is an increase in disbelief by which those who have disbelieved are led [further] astray. They make it lawful one year and unlawful another year to correspond to the number made unlawful by Allah and [thus] make lawful what Allah has made unlawful. Made pleasing to them is the evil of their deeds; and Allah does not guide the disbelieving people.
Meheenon ka aagey peechay ker dena kufur ki ziyadti hai iss say woh log gumrahi mein dalay jatay hain jo kafir hain. Aik saal to issay halal ker letay hain aur aik saal issi ko hurmat wala ker letay hain kay Allah ney jo hurmat rakhi hai uss kay shumar mein to moafiqat ker len phir ussay halal bana len jissay Allah ney haram kiya hai enhen inn kay buray kaam bhalay dikha diye gaye hain aur qom-e-kuffaar ki Allah rehnumaee nahi farmata.
महीनों को आगे-पीछे करना कुफ़्र में एक इज़ाफ़ा है उससे कुफ़्र करने वाले गुमराही में पड़ते हैं, वे किसी साल हराम महीने को हलाल कर लेते हैं और किसी साल उसको हराम कर देते हैं; ताकि अल्लाह के हराम किए हुए की गिनती पूरी करके उसके हराम किए हुए को हलाल कर लें, उनके बुरे आमाल उनके लिए ख़ुशनुमा बना दिए गए हैं, और अल्लाह इनकार करने वालों को रास्ता नहीं दिखाता।
O you who have believed, what is [the matter] with you that, when you are told to go forth in the cause of Allah , you adhere heavily to the earth? Are you satisfied with the life of this world rather than the Hereafter? But what is the enjoyment of worldly life compared to the Hereafter except a [very] little.
Aey eman walon tumhen kiya hogaya hai kay jab tum say kaha jata hai kay chalo Allah kay raastay mein kooch kero to tum zamin say lagay jatay ho. Kiya tum aakhirat kay ewaz duniya ki zindagani per hi reejh gaye ho. Suno! Duniya ki zindagi to aakhirat kay muqablay mein kuch yun hi si hai.
ऐ ईमान वालो! तुमको क्या हो गया है कि जब तुमसे कहा जाता है कि अल्लाह की राह में निकलो तो तुम ज़मीन से लगे जाते हो, क्या तुम आख़िरत के मुक़ाबले में दुनिया की ज़िंदगी पर राज़ी हो गए, आख़िरत के मुक़ाबले में दुनिया की ज़िंदगी का सामान तो बहुत थोड़ा है।
Say, "Never will we be struck except by what Allah has decreed for us; He is our protector." And upon Allah let the believers rely.
Aap keh dijiye kay humen siwaye Allah kay humaray haq mein likhay huye kay koi cheez phonch hi nahi sakti woh humara kaar saaz aur mola hai. Mominon ko to Allah ki zaat pak per hi bharosa kerna chahaiye.
कह दीजिए कि हमें सिर्फ़ वही चीज़ पहुँचेगी जो अल्लाह ने हमारे लिए लिख दी है, वह हमारा कारसाज़ है और अहले-ईमान को अल्लाह ही पर भरोसा करना चाहिए।
They swear by Allah that they did not say [anything against the Prophet] while they had said the word of disbelief and disbelieved after their [pretense of] Islam and planned that which they were not to attain. And they were not resentful except [for the fact] that Allah and His Messenger had enriched them of His bounty. So if they repent, it is better for them; but if they turn away, Allah will punish them with a painful punishment in this world and the Hereafter. And there will not be for them on earth any protector or helper.
Yeh Allah ki qasmen kha ker kehtay hain kay enhon ney nahi kaha halankay yaqeenan kufur ka kalma inn ki zaban say nikal chuka aur yeh apney islam kay baad kafir hogaye hain aur enhon ney iss kaam ka qasad bhi kiya jo poora na ker sakay. Yeh sirf issi baat ka intiqam ley rahey hain kay enhen Allah ney apney fazal say aur uss kay rasool ney dolat mand ker diya agar yeh abb bhi toba ker len to yeh inn kay haq mein behtar hai aur agar mun moray rahen to Allah Taalaa enhen duniya-o-aakhirat mein dard naak azab dey ga aur zamin bhar mein inn ka koi himayati aur madadgar na khara hoga.
वे अल्लाह की क़सम खाते हैं कि उन्होंने नहीं कहा; हालाँकि उन्होंने कुफ़्र की बात कही और वे इस्लाम लाने के बाद काफ़िर हो गए और उन्होंने वह चाहा जो उन्हें हासिल न हो सका, और यह सिर्फ़ उसका बदला था कि उनको अल्लाह और उसके रसूल ने अपने फ़ज़्ल से ग़नी कर दिया, अगर वे तौबा करें तो यह उनके हक़ में बेहतर है और अगर वे मुँह फेर लें तो अल्लाह उनको दर्दनाक अज़ाब देगा दुनिया में भी और आख़िरत में भी, और ज़मीन में उनका न कोई हिमायती होगा और न मददगार।
So He penalized them with hypocrisy in their hearts until the Day they will meet Him - because they failed Allah in what they promised Him and because they [habitually] used to lie.
Pus iss ki saza mein Allah ney inn kay dilon mein nafaq daal diya Allah say milney kay dinon tak kiyon kay enhon ney Allah say kiye huye waday ka khilaf kiya aur kiyon kay jhoot boltay rahey.
पस अल्लाह ने उनके दिलों में निफ़ाक़ बिठा दिया उस दिन तक के लिए जबकि वे उससे मिलेंगे इस वजह से कि उन्होंने अल्लाह से किए हुए वादे की ख़िलाफ़वर्ज़ी की और इस वजह से कि वे झूठ बोलते रहे।
There is not upon the weak or upon the ill or upon those who do not find anything to spend any discomfort when they are sincere to Allah and His Messenger. There is not upon the doers of good any cause [for blame]. And Allah is Forgiving and Merciful.
Zaeefon aur beemaron per aur unn per jin kay pass kharach kerney ko kuch bhi nahi koi haraj nahi ba-shart-e-kay woh Allah aur uss kay rasool ki khair khuwaee kertay rahen aisay nek kaaron per ilzam ki koi raah nahi Allah Taalaa bari maghfirat-o-rehmat wala hai.
कोई गुनाह नहीं है कमज़ोरों पर और न बीमारों पर और न उन पर जो ख़र्च करने को कुछ नहीं पाते जबकि वे अल्लाह और उसके रसूल के साथ ख़ैर-ख़्वाही करें, नेकी करने वालों पर कोई इल्ज़ाम नहीं, और अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
There is not upon the weak or upon the ill or upon those who do not find anything to spend any discomfort when they are sincere to Allah and His Messenger. There is not upon the doers of good any cause [for blame]. And Allah is Forgiving and Merciful.
Zaeefon aur beemaron per aur unn per jin kay pass kharach kerney ko kuch bhi nahi koi haraj nahi ba-shart-e-kay woh Allah aur uss kay rasool ki khair khuwaee kertay rahen aisay nek kaaron per ilzam ki koi raah nahi Allah Taalaa bari maghfirat-o-rehmat wala hai.
कोई गुनाह नहीं है कमज़ोरों पर और न बीमारों पर और न उन पर जो ख़र्च करने को कुछ नहीं पाते जबकि वे अल्लाह और उसके रसूल के साथ ख़ैर-ख़्वाही करें, नेकी करने वालों पर कोई इल्ज़ाम नहीं, और अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
Nor [is there blame] upon those who, when they came to you that you might give them mounts, you said, "I can find nothing for you to ride upon." They turned back while their eyes overflowed with tears out of grief that they could not find something to spend [for the cause of Allah ].
Haan unn per bhi koi haraj nahi jo aap kay pass aatay hain kay aap unhen sawari mohiyya ker den to aap jawab detay hain kay mein to tumahri sawari kay liye kuch bhi nahi pata to woh ranj-o-ghum say apni aakhon say aansoo bahatay huye lot jatay hain kay enhen kharach kerney kay liye kuch bhi mayyasar nahi.
और न उन लोगों पर कोई इल्ज़ाम है कि जब वे आपके पास आए कि आप उनको सवारी दे दें, आपने कहा कि मेरे पास कोई चीज़ नहीं कि तुम को उस पर सवार करूँ तो वे इस हाल में वापस हुए कि उनकी आँखों से आँसू जारी थे इस ग़म में कि उन्हें कुछ मयस्सर नहीं जो वे ख़र्च करें।
And among the bedouins are some who consider what they spend as a loss and await for you turns of misfortune. Upon them will be a misfortune of evil. And Allah is Hearing and Knowing.
Aur inn dehatiyon mein baaz aisay hain kay jo kuch kharach kertay hain uss ko jurmana samajhtay hain aur tum musalmanon kay wastay buray waqt kay muntazir rehtay hain bura waqt inn hi per parney wala hai aur Allah sunnay wala aur jannay wala hai.
और उन देहातियों में से बअज़ ऐसे हैं कि जो कुछ ख़र्च करते हैं उसको जुर्माना समझते हैं और तुम मुसलमानों के वास्ते बुरे वक़्त के मुंतज़िर रहते हैं, बुरा वक़्त उन्हीं पर पड़ने वाला है और अल्लाह सुनने वाला, जानने वाला है।
But among the bedouins are some who believe in Allah and the Last Day and consider what they spend as means of nearness to Allah and of [obtaining] invocations of the Messenger. Unquestionably, it is a means of nearness for them. Allah will admit them to His mercy. Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Aur baaz ehal-e-dehaat mein aisay bhi hain jo Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhtay hain aur jo kuch kharach kertay hain inn ko indallah qurb hasil honey ka zariya aur rasool ki dua ka zariya banatay hain yaad rakho kay inn kay yeh kharach kerna be-shak inn kay liye mojib-e-qurbat hai inn ko Allah Taalaa zaroor apni remat mein dakhil keray ga Allah Taalaa bari maghfirat wala bari rehmat wala hai.
और देहातियों में से कुछ वे भी हैं जो अल्लाह पर और आख़िरत के दिन पर ईमान रखते हैं और जो कुछ ख़र्च करते हैं उसको अल्लाह के यहाँ क़ुर्ब का और रसूल की दुआएं लेने का ज़रिया बनाते हैं, हाँ बेशक वह उनके लिए क़ुर्ब का ज़रिया है। अल्लाह उनको अपनी रहमत में दाख़िल करेगा, यक़ीनन अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
It is not for the Prophet and those who have believed to ask forgiveness for the polytheists, even if they were relatives, after it has become clear to them that they are companions of Hellfire.
Payghumbar ko aur doosray musalmanon ko jaaez nahi kay mushrikeen kay liye maghfirat ki dua maangen agar cheh woh rishtay daar hi hon iss amar kay zahir ho janey kay baad kay yeh log dozakhi hain.
नबी के लिए और उन लोगों के लिए जो ईमान लाए हैं मुनासिब नहीं कि मुशरिकों के लिए मग़फ़िरत की दुआ करें, चाहे वे उनके रिश्तेदार ही हों जबकि उन पर खुल चुका कि ये जहन्नम में जाने वाले लोग हैं।
It is not for the Prophet and those who have believed to ask forgiveness for the polytheists, even if they were relatives, after it has become clear to them that they are companions of Hellfire.
Payghumbar ko aur doosray musalmanon ko jaaez nahi kay mushrikeen kay liye maghfirat ki dua maangen agar cheh woh rishtay daar hi hon iss amar kay zahir ho janey kay baad kay yeh log dozakhi hain.
नबी के लिए और उन लोगों के लिए जो ईमान लाए हैं मुनासिब नहीं कि मुशरिकों के लिए मग़फ़िरत की दुआ करें, चाहे वे उनके रिश्तेदार ही हों जबकि उन पर खुल चुका कि ये जहन्नम में जाने वाले लोग हैं।