And who believe in what has been revealed to you, [O Muhammad], and what was revealed before you, and of the Hereafter they are certain [in faith].
Aur jo log eman latay hain uss per jo aap ki taraf utara gaya aur jo aap say pehlay utara gaya aur woh aakhirat per bhi yaqeen rakhtay hain.
और जो उस (वह्य) पर भी ईमान लाते हैं जो आप पर उतारी गई और उस पर भी जो आपसे पहले उतारी गई और आख़िरत पर वे मुकम्मल यक़ीन रखते हैं।
They [think to] deceive Allah and those who believe, but they deceive not except themselves and perceive [it] not.
Woh Allah Taalaa ko aur eman walon ko dhoka detay hain lekin dar-asal woh khud apney aap ko dhoka dey rahey hain magar samajhtay nahi.
वे अल्लाह को और मोमिनीन को धोखा देना चाहते हैं मगर वे सिर्फ़ अपने आपको धोखा दे रहे हैं और वे इसका एहसास नहीं रखते।
O mankind, worship your Lord, who created you and those before you, that you may become righteous -
Aey logo! apney uss rab ki ibadat kero jiss ney tumhen aur tum say pehlay kay logon ko peda kiya yehi tumhara bachao hai.
ऐ लोगो! अपने रब की इबादत करो जिसने तुमको पैदा किया, और उन लोगों को भी जो तुमसे पहले गुज़र चुके हैं; ताकि तुम दोज़ख़ से बच जाओ।
And those who disbelieve and deny Our signs - those will be companions of the Fire; they will abide therein eternally."
Aur jo inkar keren aur meri aayaton ko jhutlayen woh jahannumi hain aur hamesha ussi mein rahey gay.
और जो लोग इनकार करेंगे और हमारी निशानियों को झुटलाएंगे तो वही लोग दोज़ख़ वाले हैं, वे उसमें हमेशा-हमेश रहेंगे।
Indeed, those who believed and those who were Jews or Christians or Sabeans [before Prophet Muhammad] - those [among them] who believed in Allah and the Last Day and did righteousness - will have their reward with their Lord, and no fear will there be concerning them, nor will they grieve.
Musalman hon yahudi hon nasaara hon ya saabi hon jo koi bhi Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman laye aur nek amal keray unn kay ajar un kay rab kay pass hain aur unn per na o koi khof hai na udasi.
हक़ तो यह है कि जो लोग भी ख़्वाह वे मुसलमान हों या यहूदी या नसरानी या साबी, अल्लाह और आख़िरत के दिन पर ईमान ले आएंगे और नेक अमल करेंगे, वे अपने अल्लाह के पास अपने अज्र के मुस्तहिक़ होंगे, और उनको न कोई ख़ौफ़ होगा ना वे किसी ग़म में मुब्तला होंगे।
But they who believe and do righteous deeds - those are the companions of Paradise; they will abide therein eternally.
Aur jo log eman laye aur nek kaam keren woh jannati hain jo jannat mein hamesha rahen gay.
और जो ईमान लाए और जिन्होंने नेक अमल किए वे जन्नत वाले लोग हैं, वे उसमें हमेशा रहेंगे।
And [yet], among the people are those who take other than Allah as equals [to Him]. They love them as they [should] love Allah . But those who believe are stronger in love for Allah . And if only they who have wronged would consider [that] when they see the punishment, [they will be certain] that all power belongs to Allah and that Allah is severe in punishment.
Baaz log aisay bhi hain jo Allah kay shareek auron ko thehra ker uss say aisi mohabbat rakhtay hain jaisi mohabbat Allah say honi chahaiye aur eman walay Allah ki mohabbat mein boht sakht hotay hain kaash kay mushrik log jantay jab kay Allah kay azab ko dekh ker ( jaan len gay ) kay tamam taqat Allah hi ko hai aur Allah Taalaa sakht azab denay wala hai ( to hergiz shirk na kertay ) .
और कुछ लोग ऐसे हैं जो अल्लाह के सिवा दूसरों को उसका बराबर ठहराते हैं, उनसे ऐसी मुहब्बत रखते हैं जैसी मुहब्बत अल्लाह से रखना चाहिए, और जो ईमान वाले हैं वे सब से ज़्यादा अल्लाह से मुहब्बत रखने वाले हैं, और अगर ये ज़ालिम उस वक़्त को देख लें जबकि वे अज़ाब को देखेंगे कि ज़ोर सारा का सारा अल्लाह का है, और अल्लाह बड़ा सख़्त अज़ाब देने वाला है।
Beautified for those who disbelieve is the life of this world, and they ridicule those who believe. But those who fear Allah are above them on the Day of Resurrection. And Allah gives provision to whom He wills without account.
Kafiron kay liye duniya ki zindagi khoob zeenat daar ki gaee hai woh eman walon say hansi mazaq kertay hain halankay perhezgar log qayamat kay din unn say aala hongay Allah Taalaa jisay chahata hai bey hisab rozi deta hai.
ख़ुशनुमा कर दी गई है दुनिया की ज़िंदगी उन लोगों की नज़र में जो मुनकिर हैं और वे हँसते हैं ईमान वालों पर; हालाँकि जो परहेज़गार हैं वे क़यामत के दिन उनके मुक़ाबले में ऊँचे होंगे, और अल्लाह जिसको चाहता है बेहिसाब रोज़ी दे देता है।
Or do you think that you will enter Paradise while such [trial] has not yet come to you as came to those who passed on before you? They were touched by poverty and hardship and were shaken until [even their] messenger and those who believed with him said,"When is the help of Allah ?" Unquestionably, the help of Allah is near.
Kiya tum yeh guman kiye bethay ho kay jannat mein chalay jao gay halankay abb tak tum per woh halaat nahi aaye jo tum say aglay logon per aaye thay. Unehn beemariyan aur musibaten phonchi aur woh yahan tak jhanjoray gaye kay rasool aur uss kay sath kay eman walay kehney lagay kay Allah ki madad kab aaye gi? Sun rakho kay Allah ki madad qarib hi hai.
क्या तुमने समझ रखा है कि तुम जन्नत में दाख़िल हो जाओगे; हालाँकि तुम पर अभी वे हालात गुज़रे ही नहीं जो तुम्हारे अगलों पर गुज़रे थे, उनको सख़्ती और तकलीफ़ पहुँची और वे हिला दिए गए; यहाँ तक कि रसूल और उनके साथ ईमान लाने वाले पुकार उठे कि अल्लाह की मदद कब आएगी? याद रखो! अल्लाह की मदद क़रीब है।
Indeed, those who have believed and those who have emigrated and fought in the cause of Allah - those expect the mercy of Allah . And Allah is Forgiving and Merciful.
Alabatta eman laney walay hijrat kerney walay Allah ki raah mein jihad kerney walay hi rehmat-e-elahee kay umeedwar hain Allah Taalaa boht bakshney wala aur boht meharbani kerney wala hai.
बेशक वे लोग जो ईमान लाए, और जिन्होंने हिजरत की, और अल्लाह की राह में जिहाद किया, वे अल्लाह की रहमत के उम्मीदवार हैं, और अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And those who are taken in death among you and leave wives behind - they, [the wives, shall] wait four months and ten [days]. And when they have fulfilled their term, then there is no blame upon you for what they do with themselves in an acceptable manner. And Allah is [fully] Acquainted with what you do.
Tum mein say jo log fot ho jayen aur biwiyan chor jayen woh aurten apney aap ko chaar maheeney aur das ( din ) iddat mein rakhen phir jab muddat khatam ker len to jo achai kay sath woh apney liye keren uss mein tum per koi gunah nahi aur Allah Taalaa tumharay her amal say khabardar hai.
और तुम में से जो लोग मर जाएं और बीवियाँ छोड़ जाएं वे बीवियाँ अपने आपको चार महीने दस दिन तक इंतिज़ार में रखें, फिर जब वे अपनी मुद्दत को पहुँचें तो तुम पर कोई गुनाह नहीं इस बात का कि वे अपनी ज़ात के बारे में क़ायदे के मुवाफ़िक़ कुछ करें, और अल्लाह तुम्हारे कामों से पूरी तरह बाख़बर है।
And those who are taken in death among you and leave wives behind - for their wives is a bequest: maintenance for one year without turning [them] out. But if they leave [of their own accord], then there is no blame upon you for what they do with themselves in an acceptable way. And Allah is Exalted in Might and Wise.
Jo log tum mein say fot hojayen aur biwiyan chor jayen woh waseeyat ker jayen kay unn ki biwiyan saal bhar tak faeeda uthayen unhen koi na nikalay haan agar woh khud nikal jayen to tum per iss mein koi gunah nahi jo woh apney liye achai say keren Allah Taalaa ghalib aur hakeem hai.
और तुम में से जो लोग वफ़ात पा जाएं और बीवियाँ छोड़ रहे हों, वे अपनी बीवियों के बारे में वसीयत कर दें कि एक साल तक उनको ख़र्च दिया जाए उन्हें घर से निकाले बग़ैर, फिर अगर वे ख़ुद से छोड़ दें तो उस बारे में जो कुछ वे अपनी ज़ात के मामले में दस्तूर के मुताबिक़ करें उसका तुम पर कोई इल्ज़ाम नहीं, और अल्लाह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
And when Saul went forth with the soldiers, he said, "Indeed, Allah will be testing you with a river. So whoever drinks from it is not of me, and whoever does not taste it is indeed of me, excepting one who takes [from it] in the hollow of his hand." But they drank from it, except a [very] few of them. Then when he had crossed it along with those who believed with him, they said, "There is no power for us today against Goliath and his soldiers." But those who were certain that they would meet Allah said, "How many a small company has overcome a large company by permission of Allah . And Allah is with the patient."
Jab ( hazrat ) taloot lashkaron ko ley ker niklay to kaha suno Allah Taalaa tumhen aik nehar say aazmaney wala hai jiss ney uss mein say pani pi liya woh mera nahi aur jo ussay na chakhay woh mera hai haan yeh aur baat hai kay apney haath say aik chillo bhar ley. Lekin siwaye chand kay baqi sab ney woh pani pi liya ( hazrat ) taloot momineen samet jab nehar say guzar gaye to woh kehney lagay aaj to hum mein taqat nahi kay jaloot aur uss kay lashkaron say laren. Lekin Allah Taalaa ki mulaqat ka yaqeen rakhney walon ney kaha basa oqat choti aur thori si jamaten bari aur boht si jamaton per Allah kay hukum say ghalba paa leti hain Allah Taalaa sabar kerney walon kay sath hai.
फिर जब निकले तालूत फ़ौजों को लेकर तो उन्होंने कहाः अल्लाह तुमको एक नदी के ज़रिए आज़माने वाला है, पस जिसने उसका पानी पिया वह मेरा साथी नहीं रहेगा, और जिसने उसको न चखा वह मेरा साथी होगा, मगर यह कि कोई एक-आध चुल्लू भर ले अपने हाथ से, तो उन्होंने उसमें से ख़ूब पी लिया सिवाए थोड़े आदमियों के, फिर जब तालूत और जो उसके साथ ईमान पर क़ायम रहे थे दरिया पार कर चुके तो उन लोगों ने कहा कि आज हमको “जालूत” और उसकी फ़ौजों से लड़ने की ताक़त नहीं, जो लोग यह जानते थे कि वे अल्लाह से मिलने वाले हैं उन्होंने कहाः कितनी ही बार छोटी जमातें अल्लाह के हुक्म से बड़ी जमातों पर ग़ालिब आई हैं, और अल्लाह तो सब्र करने वालों के साथ है।
Allah is the ally of those who believe. He brings them out from darknesses into the light. And those who disbelieve - their allies are Taghut. They take them out of the light into darknesses. Those are the companions of the Fire; they will abide eternally therein.
Eman laney walon ka kaar saaz Allah Taalaa khud hai woh eunhen andheron say roshni ki taraf nikal ley jata hai aur kafiron kay auliya shayateen hain. Woh enhen roshni say nikal ker andheron ki taraf ley jatay hain yeh log jahannumi hain jo hamesha issi mein paray rahen gay.
अल्लाह दोस्त है ईमान वालों का, वह उनको अंधेरों से निकाल कर उजाले की तरफ़ लाता है, और जिन लोगों ने इनकार किया उनके दोस्त शैतान हैं जो उनको उजाले से निकाल कर अंधेरों की तरफ़ ले जाते हैं, ये आग में जाने वाले लोग हैं, वे उसमें हमेशा रहेंगे।
[Theirs is] like the custom of the people of Pharaoh and those before them. They denied Our signs, so Allah seized them for their sins. And Allah is severe in penalty.
Jaisa aal-e-firaon ka haal hua aur unn ka jo inn say pehlay thay unhon ney humari aayaton ko jhutlaya phir Allah Taalaa ney bhi unhen unn kay gunahon per pakar liya aur Allah Taalaa sakht azab wala hai.
उनका अंजाम वैसा ही होगा जैसा फ़िरऔन वालों का और उनसे पहले वालों का हुआ, उन्होंने हमारी निशानियों को झुठलाया, उस पर अल्लाह ने उनके गुनाहों के बाइस उनको पकड़ लिया, और अल्लाह सख़्त सज़ा देने वाला है।
Indeed, the most worthy of Abraham among the people are those who followed him [in submission to Allah ] and this prophet, and those who believe [in his message]. And Allah is the ally of the believers.
Sab logon say ziyada ibrahim say nazdeek tar woh log hain jinhon ney unn ka kaha maana aur yeh nabi aur jo log eman laye mominon ka wali aur shahara Allah hi hai.
बेशक लोगों में ज़्यादा मुनासिबत इब्राहीम (अलै॰) से उन लोगों को है जिन्होंने उनकी पैरवी की और यह पैग़म्बर और जो (उन पर) ईमान लाए, और अल्लाह ईमान वालों का साथी है।
And those who, when they commit an immorality or wrong themselves [by transgression], remember Allah and seek forgiveness for their sins - and who can forgive sins except Allah ? - and [who] do not persist in what they have done while they know.
Jab unn say koi na shaista kaam hojaye ya koi gunah ker bethen to foran Allah ka zikar aur apney gunahon kay liye istaghfaar kertay hain fil waqey Allah Taalaa kay siwa aur kaun gunahon ko baksh sakta hai? Aur woh log ba wajood ilm kay kissi buray kaam per arr nahi jatay.
और ऐसे लोग कि जब वह कोई खुली बुराई कर बैठें या अपनी जान पर कोई ज़ुल्म कर डालें तो वे अल्लाह को याद करके अपने गुनाहों की माफ़ी मांगें, और अल्लाह के सिवा कौन है जो गुनाहों को माफ़ करे, और वे जानते-बूझते अपने किए पर इसरार नहीं करते।
And for all, We have made heirs to what is left by parents and relatives. And to those whom your oaths have bound [to you] - give them their share. Indeed Allah is ever, over all things, a Witness.
Maa baap ya qarabat daar jo chor maren uss kay waris hum ney her shaks kay muqarrar ker diye hain aur jin say tum ney apney haathon mohaeeda kiya hai unhen unn ka hissa do haqeeqatan Allah Taalaa her cheez per hazir hai.
और हमने वालिदैन और रिश्तेदारों के छोड़े हुए माल में हर एक के लिए वारिस ठहरा दिए हैं, और जिन से तुमने अहद बांध् रखा हो तो उनको उनका हिस्सा देदो, बेशक अल्लाह के सामने है हर चीज़।
And [also] those who spend of their wealth to be seen by the people and believe not in Allah nor in the Last Day. And he to whom Satan is a companion - then evil is he as a companion.
Aur jo log apna maal logon kay dikhaway kay liye kharach kertay hain aur Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman nahi rakhtay aur jiss ka humnasheen aur sathi shetan ho woh bad tareen sathi hai.
और जो लोग अपना माल लोगों को दिखाने के लिए ख़र्च करते हैं और न अल्लाह पर ईमान रखते हैं और न आख़िरत के दिन पर, और जिसका साथी शैतान बन जाए तो वह बहुत बुरा साथी है।
But those who believe and do righteous deeds - We will admit them to gardens beneath which rivers flow, wherein they abide forever. For them therein are purified spouses, and We will admit them to deepening shade.
Aur jo log eman laye aur shaista aemaal kiye hum un qarib unhen unn jannaton mein ley jayen gay jin kay neechay nehren beh rahi hain jin mein woh hamesha hamesha rahen gay unn kay liye wahan saaf suthri biwiyan hongi aur hum unhen ghani chahaon ( aur poori rahat ) mein ley jayen gay.
और जो लोग ईमान लाए और नेक काम किए उनको हम ऐसे बाग़ात में दाख़िल करेंगे जिनके नीचे से नहरें बहती होंगी, उसमें वे हमेशा रहेंगे, वहाँ उनके लिए पाकीज़ा बीवियाँ होंगी और उनको हम घनी छाँऊ में रखेंगे।
Those who believe fight in the cause of Allah , and those who disbelieve fight in the cause of Taghut. So fight against the allies of Satan. Indeed, the plot of Satan has ever been weak.
Jo log eman laye hain woh to Allah Taalaa ki raah mein jihad kertay hain aur jin logon ney kufur kiya hai woh Allah Taalaa kay siwa auron ki raah mein lartay hain. Pus tum shetan kay doston say jang kero! Yaqeen maano kay shetani heela ( bilkul boda aur ) sakht kamzor hai.
जो लोग ईमान वाले हैं वे अल्लाह की राह में लड़ते हैं, और जो मुनकिर हैं वे शैतान की राह में लड़ते हैं, पस तुम शैतान के साथियों से लड़ो, बेशक शैतान की चाल बहुत कमज़ोर है।
But the ones who believe and do righteous deeds - We will admit them to gardens beneath which rivers flow, wherein they will abide forever. [It is] the promise of Allah , [which is] truth, and who is more truthful than Allah in statement.
Aur jo eman laye aur bhalay kaam keren humen unhen unn jannaton mein ley jayen gay jin kay neechay chashmay jari hain jahan yeh abad-al-abad rahen gay yeh hai Allah ka wada jo siasir sacha hai aur kaun hai jo apni baat mein Allah say ziyada sacha ho?
और जो लोग ईमान लाए और उन्होंने नेक काम किए उनको हम ऐसे बाग़ात में दाख़िल करेंगे जिनके नीचे नहरें बहती होंगी उनमें वे हमेशा रहेंगे, अल्लाह का वादा सच्चा है और अल्लाह से बढ़ कर कौन अपनी बात में सच्चा होगा।
But they who believe in Allah and His messengers and do not discriminate between any of them - to those He is going to give their rewards. And ever is Allah Forgiving and Merciful.
Aur jo log Allah per aur uss kay tamam payghumbaron per eman latay hain aur inn mein say kissi mein farq nahi kertay yeh hain jinhen Allah unn kay poora sawab dey ga aur Allah bari maghfirat wala bari rehmat wala hai.
और जो लोग अल्लाह और उसके रसूलों पर ईमान लाए और उनमें से किसी को जुदा न किया उनको अल्लाह उनका अज्र देगा, और अल्लाह बख़्शने वाला, रहम करने वाला है।
But those who disbelieve and deny Our signs - those are the companions of Hellfire.
Aur jin logon ney kufur kiya aur humaray ehkaam ko jhutlaya woh dozakhi hain.
और जिन्होंने इनकार किया और हमारी निशानियों को झुठलाया ऐसे लोग दोज़ख़ वाले हैं।
Your ally is none but Allah and [therefore] His Messenger and those who have believed - those who establish prayer and give zakah, and they bow [in worship].
( musalmano ) ! Tumhara dosat khud Allah hai aur uss ka rasool hai aur eman walay hain jo namazon ki pabandi kertay hain aur zakat ada kertay hain aur woh rukoo ( khushoo-o-khuzoo ) kerney walay hain.
तुम्हारे दोस्त तो बस अल्लाह और उसका रसूल और वे ईमान वाले हैं जो नमाज़ क़ायम करते हैं और ज़कात अदा करते हैं और वे (अल्लाह के आगे) झुकने वाले हैं।
And whoever is an ally of Allah and His Messenger and those who have believed - indeed, the party of Allah - they will be the predominant.
Aur jo shaks Allah Taalaa say aur uss kay rasool say aur musalmanon say dosti keray woh yaqeen manay kay Allah Taalaa ki jamat hi ghalib rahey gi.
और जो शख़्स अल्लाह और उसके रसूल और ईमान वालों को दोस्त बनाए तो बेशक अल्लाह की जमात ही ग़ालिब रहने वाली है।
Indeed, those who have believed [in Prophet Muhammad] and those [before Him] who were Jews or Sabeans or Christians - those [among them] who believed in Allah and the Last Day and did righteousness - no fear will there be concerning them, nor will they grieve.
Musalman yahudi sitara parast aur nasrani koi ho jo bhi Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman laye aur nek amal keray woh mehaz bey khof rahey ga aur bilkul bey ghum hojaye ga.
बेशक जो लोग ईमान लाए और जो लोग यहूदी हुए और साबी और नसरानी (उनमें से) जो शख़्स भी ईमान लाए अल्लाह पर और आख़िरत के दिन पर और नेक अमल करे तो उनके लिए न कोई अंदेशा है और न वे ग़मगीन होंगे।
You will surely find the most intense of the people in animosity toward the believers [to be] the Jews and those who associate others with Allah ; and you will find the nearest of them in affection to the believers those who say, "We are Christians." That is because among them are priests and monks and because they are not arrogant.
Yaqeenan aap eman walon ka sab say ziyada dushman yahudiyon aur mushrikon ko payen gay aur eman walon say sab say ziyada dosti kay qareeb aap yaqeenan unhen payen gay jo apney aap ko nasaara kehtay hain yeh iss liye kay inn mein ulama aur ibadat kay liye gosha nasheen afraad paye jatay hain aur iss waja say kay woh takabbur nahi kertay.
ईमान वालों के साथ दुश्मनी में आप सबसे बढ़कर यहूद और मुशरिकीन को पाओगे, और ईमान वालों के साथ दोस्ती में आप सबसे ज़्यादा उन लोगों को पाओगे जो अपने आपको नसारा कहते हैं, यह इसलिए कि उनमें आलिम और राहिब हैं और इसलिए कि वे तकब्बुर नहीं करते।
But those who disbelieved and denied Our signs - they are the companions of Hellfire.
Aur jin logon ney kufur kiya aur humari aayaat ko jhutlatay rahey woh log dozakh walay hain.
और जिन्होंने इनकार किया और हमारी निशानियों को झुठलाया तो वही लोग दोज़ख़ वाले हैं।
But those who deny Our verses are deaf and dumb within darknesses. Whomever Allah wills - He leaves astray; and whomever He wills - He puts him on a straight path.
Aur jo log humari aayaton ki takzeeb kertay hain woh to tarah tarah ki zulmaton mein behray goongay ho rahey hain Allah jiss ko chahaye bey raah ker dey aur woh jiss ko chahaye seedhi raah laga dey.
और जिन्होंने हमारी निशानियों को झुठलाया वे बहरे और गूंगे हैं जो अंधरों में पड़े हुए हैं, अल्लाह जिसको चाहता है भटका देता है और जिसको चाहता है सीधी राह पर लगा देता है।
But those who deny Our verses - the punishment will touch them for their defiant disobedience.
Aur jo log humari aayaton ko jhoota batlayen unn ko azab phonchay ga ba-waja iss kay, kay woh na farmani kertay hain.
और जिन्होंने हमारी निशानियों को झुठलाया तो उनको अज़ाब पकड़ लेगा इस वजह से कि वे नाफ़रमानी करते थे।
And this is a Book which We have sent down, blessed and confirming what was before it, that you may warn the Mother of Cities and those around it. Those who believe in the Hereafter believe in it, and they are maintaining their prayers.
Aur yeh bhi aisi hi kitab hai jiss ko hum ney nazil kiya hai jo bari barkat wali hai apney say pehlay kitabon ki tasdeeq kerney wali hai aur takay aap makkay walon ko aur aas pass walon ko darayen. Aur jo log aakhirat ka yaqeen rakhtay hain aisay log iss per eman ley aatay hain aur woh apni namaz per madawmat rakhtay hain.
और यह एक किताब है जो हमने उतारी है बरकत वाली, तस्दीक़ करने वाली उनकी जो इससे पहले हैं और ताकि आप डराएं मक्का वालों को और उसके आसपास वालों को, और जो आख़िरत पर यक़ीन रखते हैं वही उस पर ईमान लाएंगे और वे अपनी नमाज़ की पाबंदी करने वाले हैं।
[Say], "Then is it other than Allah I should seek as judge while it is He who has revealed to you the Book explained in detail?" And those to whom We [previously] gave the Scripture know that it is sent down from your Lord in truth, so never be among the doubters.
To kiya Allah kay siwa kissi aur faisla kerney walay ko talash keroon halankay woh aisa hai kay uss ney aik kitab-e-kaamil tumharay pass bhej di hai iss kay mazmeen khoob saaf saaf biyan kiye gaye hain aur jin logon ko hum ney kitab di hai woh iss baat ko yaqeen kay sath jantay hain kay yeh aap kay rab ki taraf say haq kay sath bheji gaee hai so aap shuba kerney walon mein say na hon.
क्या मैं अल्लाह के सिवा किसी और को फ़ैसला करने वाला बनाऊँ; हालाँकि उसने तुम्हारी तरफ़ वाज़ेह किताब उतारी है, और जिन लोगों को हमने पहले किताब दी थी वे जानते हैं कि यह आपके रब की तरफ़ से उतारी गई है हक़ के साथ, पस आप शक करने वालों में से न बनें।
Say, [O Muhammad], "Bring forward your witnesses who will testify that Allah has prohibited this." And if they testify, do not testify with them. And do not follow the desires of those who deny Our verses and those who do not believe in the Hereafter, while they equate [others] with their Lord.
Aap kahiye kay apney gawahon ko lao jo iss baat per shahadat den kay Allah ney inn cheezon ko haram ker diya hai phir agar woh gawahi dey den to aap iss ki shahadat na dijiye aur aisay logon kay baatil khayalaat ka ittabaa mat kijiye! Jo humari aayaton ki takzeeb kertay hain aur woh jo aakhirat per eman nahi rakhtay aur woh apney rab kay barabar doosron ko thehratay hain.
कह दीजिए कि अपने गवाहों को लाओ जो इस पर गवाही दें कि अल्लाह ने उन चीज़ों को हराम ठहराया है, अगर वे झूठी गवाही दे भी दें तो आप उनके साथ गवाही न देना, और आप उन लोगों की ख़्वाहिशों की पैरवी न करें जिन्होंने हमारी निशानियों को झुठलाया और जो आख़िरत पर ईमान नहीं रखते और दूसरों को अपने रब का हमसर ठहराते हैं।
But the ones who deny Our verses and are arrogant toward them - those are the companions of the Fire; they will abide therein eternally.
Aur jo log humaray inn ehkaam ko jhutlayen aur inn say takabbur keren woh log dozakh walay hongay woh iss mein hamesha hamesha rahen gay.
और जो लोग मेरी आयात को झुठलाएं और उनसे तकब्बुर करें वही लोग दोज़ख़ वाले हैं, वे उसमें हमेशा रहेंगे।
But those who believed and did righteous deeds - We charge no soul except [within] its capacity. Those are the companions of Paradise; they will abide therein eternally.
Aur jo log eman laye aur nek kaam kiye hum kissi shaks ko uss ki qudrat say ziyada kissi ka mukallaf nahi banatay wohi log jannat walay hain aur woh iss mein hamesha hamesha rahen gay.
और जो लोग ईमान लाए और उन्होंने नेक काम किए हम किसी शख़्स पर उसकी ताक़त के मुताबिक़ ही बोझ डालते हैं, यही लोग जन्नत वाले हैं, वे उसमें हमेशा रहेंगे।
But they denied him, so We saved him and those who were with him in the ship. And We drowned those who denied Our signs. Indeed, they were a blind people.
So woh log unn ki takzeeb hi kertay rahey to hum ney nooh ( alh-e-salam ) ko aur unn ko jo unn kay sath kashti mein thay bacha liya aur jin logon ney humari aayaton ko jhutlaya tha unn ko hum ney gharq ker diya. Be-shal woh log andhay horahey thay.
पस उन्होंने उनको झुठला दिया, फिर हमने नूह को बचा लिया और उन लोगों को भी जो उसके साथ कश्ती में थे और हमने उन लोगों को डुबो दिया जिन्होंने हमारी निशानियों को झुठलाया था, बेशक वे लोग अंधे थे।
So We saved him and those with him by mercy from Us. And We eliminated those who denied Our signs, and they were not [at all] believers.
Gharz hum ney unn ko aur unn kay sathiyon ko apni rehmat say bacha liya aur unn logon ki jarr kaat di jinhon ney humari aayaton ko jhutlaya tha aur woh eman laney walay na thay.
फिर हमने बचा लिया उसको और जो उसके साथ थे अपनी रहमत से और हमने उन लोगों की जड़ काट दी जो हमारी निशानियों को झुठलाते थे और मानने वाले न थे।
Said the eminent ones who were arrogant among his people, "We will surely evict you, O Shu'ayb, and those who have believed with you from our city, or you must return to our religion." He said, "Even if we were unwilling?"
Unn ki qom kay mutakabbir sardaron ney kaha aey shoaib! Hum aap ko aur jo aap kay humrah eman laye hain unn ko apni basti say nikal den gay illa yeh kay tum humaray mazhab mein phir aajao. Shoaib ( alh-e-salam ) ney jawab diya kay kiya hum tumharay mazhab mein aajayen go hum iss ko makrooh hi samajhtay hon.
क़ौम के बड़े लोग जो मुतकब्बिर थे उन्होंने कहा कि ऐ शुऐब! हम तुमको और उन लोगों को जो तुम्हारे साथ ईमान लाए हैं अपनी बस्ती से निकाल देंगे या तुम वापस हमारी मिल्लत में आ जाओ, शुऐब (अलै॰) ने कहाः क्या हम बेज़ार हों तब भी।
Those who denied Our signs and the meeting of the Hereafter - their deeds have become worthless. Are they recompensed except for what they used to do?
Aur yeh log jinon ney humari aayaton ko aur qayamat kay paish aaney ko jhutlaya unn kay sab kaam ghaarat gaye. Inn ko wohi saza di jayegi jo kuch yeh kertay thay.
और जिन्होंने हमारी निशानियों को और आख़िरत की मुलाक़ात को झुठलाया उनके आमाल ग़ारत हो गए और वे बदले में वही पाएंगे जो वे करते थे।
But those who committed misdeeds and then repented after them and believed - indeed your Lord, thereafter, is Forgiving and Merciful.
Aur jin logon ney gunah kay kaam kiye phir woh inn kay baad tauba ker len aur eman ley aayen to tumhara rab iss tauba kay baad gunah moaf ker denay wala rehmat kerney wala hai.
और जिन लोगों ने बुरे काम किए फिर उसके बाद तौबा की और ईमान लाए तो बेशक उसके बाद आपका रब बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And decree for us in this world [that which is] good and [also] in the Hereafter; indeed, we have turned back to You." [ Allah ] said, "My punishment - I afflict with it whom I will, but My mercy encompasses all things." So I will decree it [especially] for those who fear Me and give zakah and those who believe in Our verses -
Aur hum logon kay naam duniya mein bhi nek haali likh dey aur aakhirat mein bhi hum teri taraf rujoo kertay hain. Allah Taalaa ney farmaya kay mein apna azab ussi per waqey kerta hun aur meri rehmat tamam ashiya per moheet hai. To woh rehmat unn logon kay naam zaroor likhon ga jo Allah say dartay hain aur zakat detay hain aur jo humari aayaton per eman latay hain.
और आप हमारे लिए इस दुनिया में भी भलाई लिख दीजिए और आख़िरत में भी, हमने आपकी तरफ़ रुजूअ़ किया, अल्लाह ने कहाः मैं अपने अज़ाब में मुब्तला करता हूँ जिसको चाहता हूँ और मेरी रहमत शामिल है हर चीज़ को, पस मैं उसको लिख दूँगा उनके लिए जो डर रखते हैं और ज़कात अदा करते हैं और जो हमारी निशानियों पर ईमान लाते हैं।
But those who hold fast to the Book and establish prayer - indeed, We will not allow to be lost the reward of the reformers.
Aur jo log kitab kay paband hain aur namaz ki pabandi kertay hain hum aisay logon ko jo apni islah keren sawab zaya na keren gay.
और जो लोग अल्लाह की किताब को मज़बूती से पकड़ते हैं और नमाज़ क़ायम करते हैं, बेशक हम ऐसे नेक काम करने वालों का अज्र ज़ाया नहीं करेंगे।
But those who deny Our signs - We will progressively lead them [to destruction] from where they do not know.
Aur jo log humari aayaat ko jhutlatay hain hum unn ko ba-tadreej ( girift mein ) liye jarahey hain iss tor per kay unn ko khabar bhi nahi.
और जिन लोगों ने हमारी निशानियों को झुठलाया हम उनको आहिस्ता-आहिस्ता पकड़ेंगे ऐसी जगह से जहाँ से उनको ख़बर भी नहीं होगी।
And those you call upon besides Him are unable to help you, nor can they help themselves."
Aur tum jin logon ki Allah ko chor ker ibadat kertay ho woh tumhari kuch madad nahi ker saktay aur na woh apni madad ker saktay hain.
और जिनको तुम पुकारते हो उसके सिवा वे न तुम्हारी मदद कर सकते हैं और न अपनी ही मदद कर सकते हैं।
Indeed, those who disbelieve spend their wealth to avert [people] from the way of Allah . So they will spend it; then it will be for them a [source of] regret; then they will be overcome. And those who have disbelieved - unto Hell they will be gathered.
Bila shak yeh kafir log apne maalon ko iss liye kharch ker rahey hain kay Allah ki raah say roken so yeh lo to apney maalon ko kharach kertay hi rahen gay phir woh maal inn kay haq mein baees-e-hasrat hojayen gay. Phir maghloob hojayen gay aur kafir logon ko dozakh ki taraf jama kiya jayega.
बेशक जिन लोगों ने इनकार किया वे अपने माल को इसलिए ख़र्च करते हैं कि लोगों को अल्लाह की राह से रोकें और वे उसको ख़र्च करते रहेंगे फिर यह उनके लिए हसरत (का सबब) बनेगा फिर वे मग़लूब किए जाएंगे, और जिन्होंने इनकार किया उनको जहन्नम की तरफ़ इकट्ठा किया जाएगा।
[Remember] when the hypocrites and those in whose hearts was disease said, "Their religion has deluded those [Muslims]." But whoever relies upon Allah - then indeed, Allah is Exalted in Might and Wise.
Jabkay munafiq keh rahey thay aur woh bhi jin kay dilon mein rog tha kay enhen to inn kay deen ney dhokay mein daal diya hai jo bhi Allah per bharosa keray Allah Taalaa bila shak-o-shuba ghalbay wala aur hikmat wala hai.
जब मुनाफ़िक़ और जिनके दिलों में रोग है कहते थे कि इन लोगों को उनके दीन ने धोखे में डाल दिया है, और जो अल्लाह पर भरोसा करे तो अल्लाह बड़ा ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
[Theirs is] like the custom of the people of Pharaoh and of those before them. They disbelieved in the signs of Allah , so Allah seized them for their sins. Indeed, Allah is Powerful and severe in penalty.
Misil friaoniyon kay haal kay aur unn say aglon kay, kay unhon ney Allah ki aayaton kay sath kufur kiya pus Allah ney unn kay gunahon kay baees unehn pakar liya. Allah Taalaa yaqeenan qooat wala aur sakht azab wala hai.
फ़िरऔन के लोगों की तरह और जो उनसे पहले थे, कि उन्होंने अल्लाह की निशानियों का इनकार किया पस अल्लाह ने उनके गुनाहों पर उनको पकड़ लिया, बेशक अल्लाह क़ुव्वत वाला, सख़्त सज़ा देने वाला है।
[Theirs is] like the custom of the people of Pharaoh and of those before them. They denied the signs of their Lord, so We destroyed them for their sins, and We drowned the people of Pharaoh. And all [of them] were wrongdoers.
Misil halat firaoniyon kay aur unn say pehlay kay logon kay, kay unhon ney apney rab ki baaten jhutlaeen. Pus unn kay gunahon kay baees hum ney unhen barbaad kiya aur firaoniyon ko dobo diya. Yeh saray zalim thay.
फ़िरऔन के लोगों की तरह और जो उनसे पहले थे कि उन्होंने अपने रब की निशानियों को झुठलाया फिर हमने उनके गुनाहों की वजह से उनको हलाक कर दिया और हमने फ़िरऔन के लोगों को डुबो दिया और ये सब लोग ज़ालिम थे।
Indeed, those who have believed and emigrated and fought with their wealth and lives in the cause of Allah and those who gave shelter and aided - they are allies of one another. But those who believed and did not emigrate - for you there is no guardianship of them until they emigrate. And if they seek help of you for the religion, then you must help, except against a people between yourselves and whom is a treaty. And Allah is Seeing of what you do.
Jo log eman laye aur hijrat ki aur apney maalon aur janon say Allah ki raah mein jihad kiya aur jin logon ney inn ko panah di aur madad ki yeh sab aapas mein aik doosray kay rafiq hain aur jo eman to layen hain lekin hijrat nahi ki tumharay liye inn ki kuch bhi rafaqat nahi jabtak kay woh hijrat na keren. Haan agar woh tum say deen kay baray mein madad talab keren to tum per madad kerna zaroori hai siwaye inn logon kay kay tum mein aur inn mein ehad-o-payman hai tum jo kuch ker rahey ho Allah khoob dekhta hai.
जो लोग ईमान लाए और जिन्होंने हिजरत की और अल्लाह की राह में अपने माल व जान से जिहाद किया और वे लोग जिन्होंने पनाह दी और मदद की, वे लोग आपस में एक-दूसरे के दोस्त हैं, और जो लोग ईमान लाए मगर उन्होंने हिजरत नहीं की तो उनसे तुम्हारा दोस्ती का कोई तअल्लुक़ नहीं जब तक कि वे हिजरत करके न आ जाएं, और वे तुमसे दीन के मामले में मदद माँगें तो तुम पर उनकी मदद करना वाजिब है सिवाए उसके कि यह मदद ऐसी क़ौम के ख़िलाफ़ हो जिसके साथ तुम्हारा मुआहिदा है, और जो कुछ तुम करते हो अल्लाह उसको देख रहा है।