And they followed [instead] what the devils had recited during the reign of Solomon. It was not Solomon who disbelieved, but the devils disbelieved, teaching people magic and that which was revealed to the two angels at Babylon, Harut and Marut. But the two angels do not teach anyone unless they say, "We are a trial, so do not disbelieve [by practicing magic]." And [yet] they learn from them that by which they cause separation between a man and his wife. But they do not harm anyone through it except by permission of Allah . And the people learn what harms them and does not benefit them. But the Children of Israel certainly knew that whoever purchased the magic would not have in the Hereafter any share. And wretched is that for which they sold themselves, if they only knew.
Aur uss cheez kay peechay parr gaye jissay shayateen ( hazrat ) suleman ki hukoomat mein parhtay thay. Suleman ney to kufur na kiya tha bulkay yeh kufur shetanon ka tha woh logon ko jadoo sikhaya kertay thay aur babul mein haroot maroot do farishton per jo utaara gaya tha woh dono bhi kissi shaks ko uss waqt tak nahi sikhatay thay jab tak yeh na keh den kay hum to aik aazmaeesh hain tu kufur na ker phir log inn say woh seekhtay jiss say khawind-o-biwi mein judaee daal den aur dar-asal woh baghair Allah Taalaa ki marzi kay kissi ko koi nuksan nahi phoncha saktay yeh log woh seekhtay hain jo enhen nuksan phonchaye aur nafa na phoncha sakay aur woh bil yaqeen jantay hain kay iss key lenay walay ka aakhirat mein koi hissa nahi. Aur woh bad tareen cheez hai jiss kay badlay mein woh apney aap ko farokht ker rahey hain kaash kay yeh jantay hotay.
और वे उस चीज़ के पीछे पड़ गए जिसको शयातीन सुलेमान के दौरे-हुकूमत में पढ़ते थे; हालाँकि सुलेमान ने कुफ़्र नहीं किया बल्कि ये शैतान थे जिन्होंने कुफ़्र किया, वे लोगों को जादू सिखाते थे, और वे उस चीज़ में पड़ गए जो “बाबिल” में दो फ़रिश्तों “हारूत” और “मारूत” पर उतारी गई, जबकि उनका हाल यह था कि जब भी वे किसी को (जादू के) ये करतब सिखाते तो उससे कह देते कि हम तो आज़माइश के लिए हैं पस तुम काफ़िर न बनो, मगर वे उनसे वे चीज़ें सीखते जिससे मर्द और उसकी बीवी के दरमियान जुदाई डाल दें; हालाँकि वे अल्लाह की इजाज़त के बग़ैर उससे किसी का कुछ बिगाड़ नहीं सकते थे, और वे ऐसी चीज़ सीखते थे जो उनको नुक़सान पहुँचाए और नफ़ा न दे, और वे जानते थे कि जो कोई इस चीज़ का ख़रीदार हो आख़िरत में उसका कोई हिस्सा नहीं, कैसी बुरी चीज़ है जिसके बदले उन्होंने अपनी जानों को बेच डाला, काश वे इसको समझते।
Do you not know that to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth and [that] you have not besides Allah any protector or any helper?
Kiya tujhay nahi maloom kay zamin-o-aasman ka mulk Allah hi kay liye hai aur Allah kay siwa tumhara koi wali aur madadgar nahi.
क्या तुम नहीं जानते कि अल्लाह ही के लिए आसमानों और ज़मीन की बादशाही है, और तुम्हारे लिए अल्लाह के सिवा न कोई दोस्त है और न कोई मददगार।
Originator of the heavens and the earth. When He decrees a matter, He only says to it, "Be," and it is.
Woh zamin aur aasmanon ka ibtida’an peda kerney wala hai woh jiss kaam ko kerna chahye keh deta hai kay hoja bus woh wahin hojata hai.
वह आसमानों और ज़मीन को वजूद में लाने वाला है, वह जब किसी काम का करना ठहरा लेता है तो बस उसके लिए फ़रमा देता है कि हो जा, तो वह हो जाता है।
When his Lord said to him, "Submit", he said "I have submitted [in Islam] to the Lord of the worlds."
Jab kabhi bhi unhen unn kay rab ney kaha farmanbardar hoja unhon ney kaha mein ney rab-ul-aalameen ki farmanbardari.
जब उसके रब ने कहा कि अपने आपको हवाले कर दो, तो उसने कहाः मैंने अपने आपको रब्बुल-आलमीन के हवाले किया।
Or were you witnesses when death approached Jacob, when he said to his sons, "What will you worship after me?" They said, "We will worship your God and the God of your fathers, Abraham and Ishmael and Isaac - one God. And we are Muslims [in submission] to Him."
Kiya ( hazrat ) yaqoob kay intiqal kay waqt tum mojood thay? Jab unhon ney apni aulad ko kaha kay meray baad tum kiss ki ibadat kero gay? To sab ney jawab diya kayk aap kay mabood ki aur aap kay aaba-o-ajdaad ibrahim ( alh-e-salam ) aur ismail ( alh-e-salam ) aur ishaq ( alh-e-salam ) kay mabood ki jo mabood aik hi hai aur hum ussi kay farmanbardar rahen gay.
क्या तुम मौजूद थे जब याक़ूब (अलै॰) की मौत का वक़्त आया, जब उसने अपने बेटों से कहा कि मेरे मरने के बाद तुम किसकी इबादत करोगे? उन्होंने कहाः हम उसी की इबादत करेंगे जिसकी इबादत आप और आपके बुज़ुर्ग इब्राहीम, इस्माईल, इसहाक़ (अलै॰) करते आए हैं, वही एक माबूद है और हम उसी के फ़रमाँबरदार हैं।
Say, [O believers], "We have believed in Allah and what has been revealed to us and what has been revealed to Abraham and Ishmael and Isaac and Jacob and the Descendants and what was given to Moses and Jesus and what was given to the prophets from their Lord. We make no distinction between any of them, and we are Muslims [in submission] to Him."
Aey musalmano! Tum sab kaho kay hum Allah per eman laye aur uss cheez per bhi jo humari taraf utari gaee aur jo cheez ibrahim ismail ishaq yaqoob ( aleyhim-us-salam ) aur inn ki aulad per utari gaee aur jo kuch Allah ki janib say musa aur essa ( aleyhim-us-salam ) aur doosray anbiya ( aleyhim-us-salam ) diye gaye. Hum inn say mein say kissi kay darmiyan farq nahi kertay hum Allah kay farmanbardar hain.
कहोः हम अल्लाह पर ईमान लाए और उस चीज़ पर ईमान लाए जो हमारी तरफ़ उतारी गई है और उस पर भी जो इब्राहीम और इस्माईल और इसहाक़ और याक़ूब (अलैहिमुस्सलाम) और उसकी औलाद पर उतारी गई, और जो मिला मूसा और ईसा (अलैहिमस्सलाम) को और जो मिला सब नबियों को उनके रब की तरफ़ से, हम उनमें से किसी के दरमियान फ़र्क़ नहीं करते और हम अल्लाह ही के फ़रमाँबरदार हैं।
[And say, "Ours is] the religion of Allah . And who is better than Allah in [ordaining] religion? And we are worshippers of Him."
Allah ka rang ikhtiyar kero aur Allah Taalaa say acha rang kiss ka hoga? Hum to ussi ki ibadat kerney walay hain.
कहोः हमने चढ़ा लिया अल्लाह का रंग, और अल्लाह के रंग से किसका रंग अच्छा है और हम उसी की इबादत करने वाले हैं।
Say, [O Muhammad], "Do you argue with us about Allah while He is our Lord and your Lord? For us are our deeds, and for you are your deeds. And we are sincere [in deed and intention] to Him."
Aap keh dijiye kay kiya tum hum say Allah kay baray mein jhagartay ho jo humara aur tumhara rab hai humaray liye humaray aemaal hain aur tumharay liye tumharay aemaal hum to ussi kay liye mukhlis hain.
कहोः क्या तुम अल्लाह के बारे में हमसे झगड़ते हो, हालाँकि वह हमारा रब भी है और तुम्हारा रब भी, हमारे लिए हमारे आमाल और तुम्हारे लिए तुम्हारे आमाल हैं, और हमने तो अपनी बंदगी उसी के लिए ख़ालिस कर ली है।
O you who have believed, prescribed for you is legal retribution for those murdered - the free for the free, the slave for the slave, and the female for the female. But whoever overlooks from his brother anything, then there should be a suitable follow-up and payment to him with good conduct. This is an alleviation from your Lord and a mercy. But whoever transgresses after that will have a painful punishment.
Aey eman walon! Tum per maqtoolon ka qisass lena farz kiya gaya hai aazad aazad kay badlay ghulam ghulam kay badlay aurat aurat kay badlay. Haan jiss kissi ko uss kay bhai kay badlay moafi dey di jaye ussay bhalaee ki ittaba kerni chahaiye aur aasani kay sath deeyat ada kerni chahaiye. Tumharay rab ki taraf say yeh takhfeef aur rehmat hai iss kay baad bhi jo sirkashi keray ussay dard naak azab hoga.
ऐ ईमान वालो! तुम पर मक़्तूलों का क़िसास लेना फ़र्ज़ किया जाता है, आज़ाद के बदले आज़ाद, ग़ुलाम के बदले ग़ुलाम, औरत के बदले औरत, फिर जिसको उसके भाई की तरफ़ से कुछ माफ़ी हो जाए तो उसे चाहिए कि मुनासिब तरीक़े का ख़्याल रखे, और ख़ुशदिली के साथ उसको अदा करे, यह तुम्हारे रब की तरफ़ से एक आसानी और मेहरबानी है, अब इसके बाद भी जो शख़्स ज़्यादती करे उसके लिए दर्दनाक अज़ाब है।
And when you have completed your rites, remember Allah like your [previous] remembrance of your fathers or with [much] greater remembrance. And among the people is he who says, "Our Lord, give us in this world," and he will have in the Hereafter no share.
Phir jab tum arkaan-e-hajj ada ker chuko to Allah Taalaa ka zikar kero jiss tarah tum apney baap dadon ka zikar kiya kertay thay bulkay iss say bhi ziyada baaz log woh bhi hain jo kehtay hain aey humaray rab! Humen duniya mein dey. Aisay logon ka aakhirat mein koi hissa nahi.
फिर जब तुम अपने हज के आमाल पूरे कर लो तो अल्लाह को याद करो जिस तरह तुम अपने बाप-दादा को याद करते थे बल्कि उससे भी ज़्यादा, पस कुछ लोग तो वे हैं जो यूँ कहते हैं कि ऐ हमारे रब! हमें इस दुनिया में दे दे और आख़िरत में उसका कुछ हिस्सा नहीं।
And if he has divorced her [for the third time], then she is not lawful to him afterward until [after] she marries a husband other than him. And if the latter husband divorces her [or dies], there is no blame upon the woman and her former husband for returning to each other if they think that they can keep [within] the limits of Allah . These are the limits of Allah , which He makes clear to a people who know.
Phir agar iss ko ( teesri baar ) tallaq dey dey to abb iss kay liye halal nahi jab tak kay woh aurat iss kay siwa doosray say nikkah na keray phir agar woh bhi tallaq dey dey to inn dono ko mail jol ker lenay mein koi gunah nahi ba shart-e-kay yeh jaan len kay Allah ki haddon ko qaeem rakh saken gay yeh Allah Taalaa ki hudood hain jinhen woh janney walon kay liye biyan farma raha hai.
फिर अगर मर्द उसको तलाक़ दे दे तो उसके बाद वह औरत उसके लिए हलाल नहीं जब तक वह किसी दूसरे मर्द से निकाह न कर ले, फिर अगर वह मर्द उसको तलाक़ दे दे तब गुनाह नहीं उन दोनों पर कि फिर मिल जाएं, बशर्तेकि उन्हें उम्मीद हो अल्लाह की हदों पर क़ायम रहने की, और ये अल्लाह के ज़ाब्ते हैं जिनको वह बयान कर रहा है उन लोगों के लिए जो इल्म रखते हैं।
Mothers may breastfeed their children two complete years for whoever wishes to complete the nursing [period]. Upon the father is the mothers' provision and their clothing according to what is acceptable. No person is charged with more than his capacity. No mother should be harmed through her child, and no father through his child. And upon the [father's] heir is [a duty] like that [of the father]. And if they both desire weaning through mutual consent from both of them and consultation, there is no blame upon either of them. And if you wish to have your children nursed by a substitute, there is no blame upon you as long as you give payment according to what is acceptable. And fear Allah and know that Allah is Seeing of what you do.
Mayen apni aulad ko do saal kamil doodh pilayen jin ka irada doodh pilaney ki muddat bilkul poori kerney ka ho aur jin kay bachay hain unn kay zimmay unn ka roti kapra hai jo mutabiq dastoor kay ho. Her shaks utni hi takleef diya jata hai jitni uss ki taqat ho. Maa ko uss kay bachay ki waja say ya baap ko uss ki aulad ki waja say koi zarar na phonchaya jaye waris per bhi issi jaisi zimmay dari hai phir agar dono ( yani maa baap ) apni raza mandi aur bahumi mashwaray say doodh churana chayen to dono per kuch gunah nahi aur agar tumhara irada apni aulad ko doodh pilwaney ka ho to bhi tum per koi gunah nahi jab kay tum unn ko muabiq dastoor kay jo dena ho woh inn kay hawalay ker do Allah Taalaa say dartay raho aur jantay raho kay Allah Taalaa tumharay aemaal ki dekh bhaal ker raha hai.
और माँएं अपने बच्चों को पूरे दो साल तक दूध पिलाएं उन लोगों के लिए जो पूरी मुद्दत तक दूध पिलाना चाहते हों, और जिसका बच्चा है उसके ज़िम्मे है उन माँओं का खाना और कपड़ा दस्तूर के मुताबिक़ किसी को हुक्म नहीं दिया जाता मगर उसकी बर्दाश्त के मुवाफ़िक़, न किसी माँ को उसके बच्चे के सबब से तकलीफ़ दी जाए, और न किसी बाप को उसके बच्चे के सबब से, और यही ज़िम्मेदारी वारिस पर भी है, फिर अगर दोनों दूध छुड़ाना चाहें आपस की रज़ामंदी से और मशवरा से, तो दोनों पर कोई गुनाह नहीं, और अगर तुम चाहो कि अपने बच्चों को किसी और से दूध पिलवाओ तब भी तुम पर कोई गुनाह नहीं, बशर्तेकि तुम क़ायदे के मुताबिक़ वह अदा कर दो जो तुमने उनको देना ठहराया है; और अल्लाह से डरो और जान लो कि जो कुछ तुम करते हो अल्लाह उसको देख रहा है।
Who is it that would loan Allah a goodly loan so He may multiply it for him many times over? And it is Allah who withholds and grants abundance, and to Him you will be returned.
Aisa bhi koi hai jo Allah Taalaa ko acha qarz dey pus Allah Taalaa ussay boht barha charha ker ata farmaye Allah hi tangi aur kushadgi kerta hai aur tum sab ussi ki taraf lotaye jao gay.
कौन है जो अल्लाह को क़र्ज़ दे अच्छे तरीक़े पर कि अल्लाह उसको बढ़ा कर उसके लिए कई गुना कर दे, और अल्लाह ही तंगी भी पैदा करता है और कुशादगी भी, और तुम सब उसी की तरफ़ लौटाए जाओगे।
Allah - there is no deity except Him, the Ever-Living, the Sustainer of [all] existence. Neither drowsiness overtakes Him nor sleep. To Him belongs whatever is in the heavens and whatever is on the earth. Who is it that can intercede with Him except by His permission? He knows what is [presently] before them and what will be after them, and they encompass not a thing of His knowledge except for what He wills. His Kursi extends over the heavens and the earth, and their preservation tires Him not. And He is the Most High, the Most Great.
Allah Taalaa hi mabood-e-bar haq hai jiss kay siwa koi mabood nahi jo zinda aur sab kay thamney wala hai jissay na oongh aaye na neend uss ki milkiyat mein zamin aur aasmanon ki tamam cheezen hain. Kaun hai jo uss ki ijazat kay baghair uss kay samney shifaat ker sakay woh janta hai jo inn kay samney hai aur jo inn kay peechay hai aur woh iss kay ilm mein say kissi cheez ka ehaata nahi ker saktay magar jitna woh chahaye uss ki kursi ki wusat ney zamin-o-aasman ko gher rakha hai aur Allah Taalaa inn ki hifazat say na thakta na uktata hai woh to boht buland aur boht bara hai.
अल्लाह वह है कि उसके सिवा कोई माबूद नहीं, वह ज़िन्दा है, सबका थामने वाला है, उसे न ऊँघ आती है और न ही नींद, उसी का है जो कुछ आसमानों और ज़मीन में है, कौन है जो उसके पास उसकी इजाज़त के बग़ैर सिफ़ारिश करे, वह जानता है जो कुछ उनके आगे है और जो कुछ उनके पीछे है, और वे किसी चीज़ को जान नहीं सकते उसके इल्म में से मगर जो वह चाहे, उसकी हकूमत छाई हुई है आसमानों और ज़मीन पर, और उस पर भारी नहीं है ज़मीन व आसमान की हिफ़ाज़त करना, और वही है बुलंद मर्तबे वाला, अज़मतों वाला।
Or [consider such an example] as the one who passed by a township which had fallen into ruin. He said, "How will Allah bring this to life after its death?" So Allah caused him to die for a hundred years; then He revived him. He said, "How long have you remained?" The man said, "I have remained a day or part of a day." He said, "Rather, you have remained one hundred years. Look at your food and your drink; it has not changed with time. And look at your donkey; and We will make you a sign for the people. And look at the bones [of this donkey] - how We raise them and then We cover them with flesh." And when it became clear to him, he said, "I know that Allah is over all things competent."
Ya uss shaks ki manind kay jiss ka guzar uss basti per hua jo chatt kay bal ondhi pari hui thi woh kehney laga iss ki maut kay baad Allah Taalaa issay kiss tarah zinda keray ga? To Allah Taalaa ney ussay maar diya so saal kay liye phir ussay uthaya pooha kitni muddat tujh pe guzri? Kehney laga aik din ya din ka kuch hissa farmaya bulkay tu so saal tak raha phir abb tu apney khaney peenay ko dekh kay bilkul kharab nahi hua aur apney gadhay ko bhi dekh hum tujhay logon kay liye aik nishani banatay hain tu dekh kay hum haddiyon ko kiss tarah uthatay hain phir unn per gosht charhatay hain jab yeh sab zahir ho chuka to kehney laga mein janta hun kay Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
या जैसे वह शख़्स जिसका गुज़र एक ऐसी बस्ती पर से हुआ जो अपनी छतों के बल गिरी पड़ी थी, उसने कहाः अल्लाह किस तरह इस बस्ती को हलाक हो जाने के बाद दोबारा ज़िंदा करेगा? पस अल्लाह ने सौ (100) बरस तक के लिए उसे मौत दे दी फिर उसको ज़िंदा किया, अल्लाह ने पूछाः तुम कितनी देर इस हालत में रहे? उसने कहाः एक दिन या एक दिन का कुछ हिस्सा, अल्लाह ने कहाः नहीं; बल्कि तुम सौ (100) बरस रहे हो, अब तुम अपने खाने और पीने की चीज़ों को देखो कि वह सड़ी नहीं हैं और ज़रा देखो अपने गधे को, और ताकि हम तुमको लोगों के लिए निशानी बना दें, और हड्डियों को भी देखो कि किस तरह हम उनका ढाँचा खड़ा करते हैं फिर उन पर गोश्त चढ़ाते हैं, पस जब उस पर वाज़ेह हो गया तो कहने लगाः मैं जानता हूँ कि बेशक अल्लाह हर चीज़ पर क़ुदरत रखता है।
Would one of you like to have a garden of palm trees and grapevines underneath which rivers flow in which he has from every fruit? But he is afflicted with old age and has weak offspring, and it is hit by a whirlwind containing fire and is burned. Thus does Allah make clear to you [His] verses that you might give thought.
Kiya tum mein say koi yeh bhi chahata hai kay uss ka khujooron aur angooron ka baagh ho jiss mein nehren beh rahi hon aur her qisam kay phal mojood hon uss shaks ka burhapa aagaya ho uss kay nannhay nannhay say bachay bhi hon aur achanak baagh ko bagoola lag jaye jiss mein aag bhi ho pus woh baagh jal jaye issi tarah Allah Taalaa tumhara liye aayaten biyan kerta hai takay tum ghor-o-fikar kero.
क्या तुम में से कोई यह पसंद करता है कि उसके पास खजूरों और अंगूरों का एक बाग़ हो, उसके नीचे से नहरें बह रही हों, उसमें उसके लिए हर क़िस्म के फल हों, और वह बूढ़ा हो जाए और उसके बच्चे अभी कमज़ोर हों, तब उस बाग़ पर एक बगूला आए जिसमें आग हो पस वह बाग़ जल जाए, इस तरह अल्लाह तुम्हारे लिए खोल कर निशानियाँ बयान करता है; ताकि तुम ग़ौर करो।
Would one of you like to have a garden of palm trees and grapevines underneath which rivers flow in which he has from every fruit? But he is afflicted with old age and has weak offspring, and it is hit by a whirlwind containing fire and is burned. Thus does Allah make clear to you [His] verses that you might give thought.
Kiya tum mein say koi yeh bhi chahata hai kay uss ka khujooron aur angooron ka baagh ho jiss mein nehren beh rahi hon aur her qisam kay phal mojood hon uss shaks ka burhapa aagaya ho uss kay nannhay nannhay say bachay bhi hon aur achanak baagh ko bagoola lag jaye jiss mein aag bhi ho pus woh baagh jal jaye issi tarah Allah Taalaa tumhara liye aayaten biyan kerta hai takay tum ghor-o-fikar kero.
क्या तुम में से कोई यह पसंद करता है कि उसके पास खजूरों और अंगूरों का एक बाग़ हो, उसके नीचे से नहरें बह रही हों, उसमें उसके लिए हर क़िस्म के फल हों, और वह बूढ़ा हो जाए और उसके बच्चे अभी कमज़ोर हों, तब उस बाग़ पर एक बगूला आए जिसमें आग हो पस वह बाग़ जल जाए, इस तरह अल्लाह तुम्हारे लिए खोल कर निशानियाँ बयान करता है; ताकि तुम ग़ौर करो।
She said, "My Lord, how will I have a child when no man has touched me?" [The angel] said, "Such is Allah ; He creates what He wills. When He decrees a matter, He only says to it, 'Be,' and it is.
Kehney lagin ilahee mujhay larka kaisay hoga? Halankay mujhay to kissi insan ney haath bhi nahi lagaya farishtay ney kaha issi tarah Allah Taalaa jo chahaye peda kerta hai jab kabhi woh kissi kaam ko kerna chahata hai to sirf yeh keh deta hai kay ho ja! To woh ho jata hai.
मरियम ने कहाः ऐ मेरे (प्यारे) रब! मेरे यहाँ लड़का कैसे होगा जबकि किसी मर्द ने मुझे हाथ तक नहीं लगाया है, (अल्लाह ने फ़रमाया) इसी तरह अल्लाह पैदा करता है जो चाहता है, जब वह किसी काम का फ़ैसला कर लेता है तो उसको कहता है हो जा पस वह हो जाता है।
Indeed, the example of Jesus to Allah is like that of Adam. He created Him from dust; then He said to him, "Be," and he was.
Allah Taalaa kay nazdeek essa ( alh-e-salam ) ki misal hoo ba hoo aadam ( alh-e-salam ) ki misal hai jissay mitti say bana ker keh diya kay ho ja! Pus woh hogaya!.
बेशक ईसा की मिसाल अल्लाह के नज़दीक आदम की सी है, अल्लाह ने उनको मिट्टी से बनाया, फिर उनसे कहा कि हो जाओ तो वे हो गए।
Say, "We have believed in Allah and in what was revealed to us and what was revealed to Abraham, Ishmael, Isaac, Jacob, and the Descendants, and in what was given to Moses and Jesus and to the prophets from their Lord. We make no distinction between any of them, and we are Muslims [submitting] to Him."
Aap keh dijiye kay hum Allah Taalaa per aur jo kuch hum per utara gaya hai aur jo kuch ibrahim ( alh-e-salam ) aur ismail ( alh-e-salam ) aur yaqoob ( alh-e-salam ) aur unn ki aulad per utara gaya aur jo kuch musa ( alh-e-salam ) aur essa ( alh-e-salam ) aur doosray anbiya Allah Taalaa ki taraf say diya gaye unn sab per eman laye hum inn mein say kissi kay darmiyan farq nahi kertay aur hum Allah Taalaa kay farmanbardar hain.
(ऐ नबी) आप कह दें कि हम अल्लाह पर ईमान लाए और उस पर जो हमारे ऊपर उतारा गया, और जो उतारा गया इब्राहीम और इस्माईल (अलैहिमस्सलाम) पर, और इसहाक़ व याक़ूब (अलैहिमस्सलाम) पर और औलादे-याक़ूब पर, और जो दिया गया मूसा और ईसा (अलैहिमस्सलाम) और दूसरे नबियों को उनके रब की तरफ़ से, हम उनके दरमियान फ़र्क़ नहीं करते और हम उसी के फ़रमाँबरदार हैं।
Allah instructs you concerning your children: for the male, what is equal to the share of two females. But if there are [only] daughters, two or more, for them is two thirds of one's estate. And if there is only one, for her is half. And for one's parents, to each one of them is a sixth of his estate if he left children. But if he had no children and the parents [alone] inherit from him, then for his mother is one third. And if he had brothers [or sisters], for his mother is a sixth, after any bequest he [may have] made or debt. Your parents or your children - you know not which of them are nearest to you in benefit. [These shares are] an obligation [imposed] by Allah . Indeed, Allah is ever Knowing and Wise.
Allah Taalaa tumhen tumhari aulad kay baray mein hukum kerta hai kay aik larkay ka hissa do larkiyon kay barabar hai aur agar sirf larkiyan hi hon aur do say ziyada hon to unhen maal matrooka ka do tehaee milay ga. Aur agar aik hi larki ho to uss kay liye aadha hai aur mayyat kay maa baap mein say her aik kay liye uss kay choray huye maal ka chatha hissa hai agar iss ( mayyat ) ki aulad ho aur agar aulad na ho aur maa baap waris hotay hon to uss ki maa kay liye teesra hissa hai haan agar mayyat kay kaee bhai hon to phir uss ki maa ka chatha hissa hai. Yeh hissay uss wasiyat ( ki takmeel ) kay baad hain jo marney wala ker gaya ho ya aday-e-qarz kay baad tumharay baap hon ya tumharay betay tumhen nahi maloom kay unn mein say kaun tumhen nafa phonchaney mein ziyada qarib hai yeh hissay Allah Taalaa ki taraf say muqarrar kerda hain be-shak Allah Taalaa pooray ilm aur kaamil hikmaton wala hai.
अल्लाह तुमको तुम्हारी औलाद के बारे में हुक्म देता है कि मर्द का हिस्सा दो औरतों के बराबर है, फिर अगर औरतें दो से ज़ायद हैं तो उनके लिए दो-तिहाई है उस माल से जो मय्यत छोड़ गया है, और अगर वह अकेली है तो उसके लिए आधा है, और मय्यत के माँ-बाप को दोनों में से हर एक के लिए छठा हिस्सा है उस माल का जो वह छोड़ गया है उस वक़्त जबकि मय्यत की औलाद भी हो, और अगर मय्यत की औलाद न हो और उसके माँ-बाप उसके वारिस हों तो उसकी माँ का (हिस्सा) तिहाई है, और अगर उसके भाई हों तो उसकी माँ के लिए छठा हिस्सा है, यह हिस्से वसीयत पूरी करने या क़र्ज़ अदा करने के बाद हैं जो मय्यत कर जाता है, तुम्हारे बाप हों या तुम्हारे बेटे हों, तुम नहीं जानते कि उनमें कौन तुम्हारे लिए ज़्यादा फ़ायदेमंद है, ये अल्लाह की जानिब से ठहराए हुए हिस्से हैं, बेशक अल्लाह इल्म वाला, हिकमत वाला है।
And [also] those who spend of their wealth to be seen by the people and believe not in Allah nor in the Last Day. And he to whom Satan is a companion - then evil is he as a companion.
Aur jo log apna maal logon kay dikhaway kay liye kharach kertay hain aur Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman nahi rakhtay aur jiss ka humnasheen aur sathi shetan ho woh bad tareen sathi hai.
और जो लोग अपना माल लोगों को दिखाने के लिए ख़र्च करते हैं और न अल्लाह पर ईमान रखते हैं और न आख़िरत के दिन पर, और जिसका साथी शैतान बन जाए तो वह बहुत बुरा साथी है।
Those are the ones whom Allah has cursed; and he whom Allah curses - never will you find for him a helper.
Yehi woh log hain jinhen Allah Taalaa ney laanat ki hai aur jissay Allah Taalaa laanat kerdey tu uss ka koi madadgar na paye ga.
यही लोग हैं जिन पर अल्लाह ने लानत की है, और जिस पर अल्लाह लानत करे आप उसका कोई मददगार न पाओगे।
What is [the matter] with you [that you are] two groups concerning the hypocrites, while Allah has made them fall back [into error and disbelief] for what they earned. Do you wish to guide those whom Allah has sent astray? And he whom Allah sends astray - never will you find for him a way [of guidance].
Tumhen kiya hogaya hai? Kay munafiqon kay baray mein do giroh ho rahey ho? Unhen to unn kay aemaal ki waja say Allah Taalaa ney ondha ker diya hai. Abb kiya tum yeh mansoobay bandh rahey ho kay Allah Taalaa kay gumrah kiye huwon ko tum raah-e-raast per laa khara kero jissay Allah Taalaa raah bhula dey tu hergiz uss kay liye koi raah na paye ga.
फिर तुमको क्या हुआ है कि तुम मुनाफ़िक़ों के मामले में दो गिरोह हो रहे हो; हालाँकि अल्लाह ने उनके आमाल की वजह से उनको उल्टा फेर दिया है, क्या तुम चाहते हो कि उनको राह पर लाओ जिनको अल्लाह ने गुमराह कर दिया है, और जिसको अल्लाह गुमराह कर दे तुम हरगिज़ उनके लिए कोई राह नहीं पा सकते।
But whoever kills a believer intentionally - his recompense is Hell, wherein he will abide eternally, and Allah has become angry with him and has cursed him and has prepared for him a great punishment.
Aur jo koi kiss momin ko qasadan qatal ker dalay uss ki saza dozakh hai jiss mein woh hamesha rahey ga iss per Allah Taalaa ka ghazab hai issay Allah Taalaa ney laanat ki hai aur iss ka liye bara azab tayyar rakha hai.
और जो शख़्स किसी मुसलमान को जान बूझ कर क़त्ल कर दे तो उसकी सज़ा जहन्नम है जिस में वह हमेशा रहेगा और उस पर अल्लाह का ग़ज़ब और उसकी लानत है और अल्लाह ने उसके लिए बड़ा अज़ाब तैयार कर रखा है।
Paradise is not [obtained] by your wishful thinking nor by that of the People of the Scripture. Whoever does a wrong will be recompensed for it, and he will not find besides Allah a protector or a helper.
Haqeeqat-e-haal na to tumhari aarzoo kay mutabiq hai aur na ehal-e-kitab ki umeedon per moqoof hai jo bura keray ga uss ki saza paye ga aur kissi ko na paye ga jo uss ki himayat-o-madad Allah kay pass ker sakay.
न तुम्हारी आर्ज़ुओं पर है और न अहले-किताब की आर्ज़ुओं पर, जो कोई भी बुरा करेगा उसका बदला पाएगा, और वह न पाएगा अल्लाह के सिवा अपना कोई हिमायती और न मददगार।
Wavering between them, [belonging] neither to the believers nor to the disbelievers. And whoever Allah leaves astray - never will you find for him a way.
Woh darmiyan mein hi moalliq dagmaga rahey hain na pooray unn ki taraf aur na sahih tor per unn ki taraf aur jisay Allah Taalaa gumrahi mein daal dey to tu uss kay liye koi raah na paye ga.
वे दोनों के बीच लटक रहे हैं, न इधर हैं और न उधर हैं, और जिसको अल्लाह भटकादे आप उसके लिए कोई राह नहीं पा सकते।
O People of the Scripture, do not commit excess in your religion or say about Allah except the truth. The Messiah, Jesus, the son of Mary, was but a messenger of Allah and His word which He directed to Mary and a soul [created at a command] from Him. So believe in Allah and His messengers. And do not say, "Three"; desist - it is better for you. Indeed, Allah is but one God. Exalted is He above having a son. To Him belongs whatever is in the heavens and whatever is on the earth. And sufficient is Allah as Disposer of affairs.
Aey ehal-e-kitab! Apney deen kay baray mein hadd say na guzar jao aur Allah per ba-juz haq kay aur kuch na kaho maseeh essa bin marium ( alh-e-salam ) to sirf Allah Taalaa kay rasool aur uss kay kalma ( kunn say peda shuda ) hain jisay marium ( alh-e-salam ) ki taraf daal diya tha aur uss kay pass ki rooh hain iss liye tum Allah ko aur uss kay sab rasoolon ko maano aur na kaho kay Allah teen hain iss say baaz aajao kay tumharay liye behtri hai Allah ibadat kay laeeq to sirf aik hi hai aur woh iss say pak hai kay uss ki aulad ho ussi kay liye hai jo kuch aasmanon mein hai aur jo kuch zamin mein hai. Aur Allah kafi hai kaam bananey wala.
ऐ अहले-किताब! अपने दीन में हद से आगे न बढ़ो और अल्लाह के बारे में कोई बात हक़ के सिवा न कहो, मसीह ईसा बिन मरियम (अलैहिमस्सलाम) तो बस अल्लाह के एक रसूल और उसका एक कलिमा हैं जिसको उसने मरियम (अलै॰) की तरफ़ डाला था और उसकी जानिब से एक रूह हैं, पस अल्लाह पर और उसके रसूलों पर ईमान लाओ और यह न कहो कि (ख़ुदा) तीन हैं, (ऐसी बातें कहने से) बाज़ आ जाओ यही तुम्हारे हक़ में बेहतर है, माबूद तो बस एक अल्लाह ही है, वह पाक है कि उसकी औलाद हो, उसी का है जो कुछ आसमानों और ज़मीन में है, और अल्लाह ही का कारसाज़ होना काफ़ी है।
O People of the Scripture, do not commit excess in your religion or say about Allah except the truth. The Messiah, Jesus, the son of Mary, was but a messenger of Allah and His word which He directed to Mary and a soul [created at a command] from Him. So believe in Allah and His messengers. And do not say, "Three"; desist - it is better for you. Indeed, Allah is but one God. Exalted is He above having a son. To Him belongs whatever is in the heavens and whatever is on the earth. And sufficient is Allah as Disposer of affairs.
Aey ehal-e-kitab! Apney deen kay baray mein hadd say na guzar jao aur Allah per ba-juz haq kay aur kuch na kaho maseeh essa bin marium ( alh-e-salam ) to sirf Allah Taalaa kay rasool aur uss kay kalma ( kunn say peda shuda ) hain jisay marium ( alh-e-salam ) ki taraf daal diya tha aur uss kay pass ki rooh hain iss liye tum Allah ko aur uss kay sab rasoolon ko maano aur na kaho kay Allah teen hain iss say baaz aajao kay tumharay liye behtri hai Allah ibadat kay laeeq to sirf aik hi hai aur woh iss say pak hai kay uss ki aulad ho ussi kay liye hai jo kuch aasmanon mein hai aur jo kuch zamin mein hai. Aur Allah kafi hai kaam bananey wala.
ऐ अहले-किताब! अपने दीन में हद से आगे न बढ़ो और अल्लाह के बारे में कोई बात हक़ के सिवा न कहो, मसीह ईसा बिन मरियम (अलैहिमस्सलाम) तो बस अल्लाह के एक रसूल और उसका एक कलिमा हैं जिसको उसने मरियम (अलै॰) की तरफ़ डाला था और उसकी जानिब से एक रूह हैं, पस अल्लाह पर और उसके रसूलों पर ईमान लाओ और यह न कहो कि (ख़ुदा) तीन हैं, (ऐसी बातें कहने से) बाज़ आ जाओ यही तुम्हारे हक़ में बेहतर है, माबूद तो बस एक अल्लाह ही है, वह पाक है कि उसकी औलाद हो, उसी का है जो कुछ आसमानों और ज़मीन में है, और अल्लाह ही का कारसाज़ होना काफ़ी है।
They request from you a [legal] ruling. Say, " Allah gives you a ruling concerning one having neither descendants nor ascendants [as heirs]." If a man dies, leaving no child but [only] a sister, she will have half of what he left. And he inherits from her if she [dies and] has no child. But if there are two sisters [or more], they will have two-thirds of what he left. If there are both brothers and sisters, the male will have the share of two females. Allah makes clear to you [His law], lest you go astray. And Allah is Knowing of all things.
Aap say fatwa poochtay hain aap keh dijiye kay Allah Taalaa ( khud ) tumhen kalala kay baray mein fatwa deta hai. Agar koi shaks marr jaye jiss ki aulad na ho aur aik behan ho to uss kay liye choray huye maal ka aadha hissa hai aur woh bhai uss behan ka waris hoga agar uss ki aulad na ho. Pus agar behnen do hon to unhen kul choray huye ka do tehaee milay ga. Aur agar koi shaks iss natay kay hain mard bhi aur aurten bhi to mard kay liye hissa hai misil do aurton kay Allah Taalaa tumharay liye biyan farma raha hai kay aisa na ho kay tum behak jao aur Allah Taalaa her cheez say waqif hai.
लोग आपसे हुक्म पूछते हैं, आप कह दीजिए कि अल्लाह तुमको “कलाला” के बारे में हुक्म बताता है, अगर कोई शख़्स मर जाए और उसकी कोई औलाद न हो और उसकी एक बहन हो तो उसके लिए उसके तरके का आधा हिस्सा है, और वह मर्द उस बहन का वारिस होगा अगर उस बहन की कोई औलाद न हो, और अगर दो बहनें हों तो उनके लिए उसके तरके का दो-तिहाई होगा, और अगर कई भाई-बहन मर्द-औरतें हों तो एक मर्द के लिए दो औरतों के बराबर हिस्सा है, अल्लाह तुम्हारे लिए बयान करता है ताकि तुम गुमराह न हो, और अल्लाह हर चीज़ का जानने वाला है।
And his soul permitted to him the murder of his brother, so he killed him and became among the losers.
Pus ussay uss kay nafs nay apney bhai kay qatal per aamaada ker diya aur uss ney ussay qatal ker daala jiss say nuksan paney walon mein say hogaya.
फिर उसके नफ़्स ने उसको अपने भाई के क़त्ल पर राज़ी कर लिया और उसने उसे क़त्ल कर डाला, फिर वह नुक़सान उठाने वालों में शामिल हो गया।
Do you not know that to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth? He punishes whom He wills and forgives whom He wills, and Allah is over all things competent.
Kiya tujhay maloom nahi kay Allah Taalaa hi kay liye zamin-o-aasman ki badshahat hai? Jissay chahaye saza dey aur jissay chahaye moad ker dey Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
क्या आप नहीं जानते कि अल्लाह आसमानों और ज़मीन की सल्तनत का मालिक है, वह जिसको चाहे सज़ा दे और जिसको चाहे माफ़ कर दे, और अल्लाह हर चीज़ पर क़ादिर है।
O Messenger, let them not grieve you who hasten into disbelief of those who say, "We believe" with their mouths, but their hearts believe not, and from among the Jews. [They are] avid listeners to falsehood, listening to another people who have not come to you. They distort words beyond their [proper] usages, saying "If you are given this, take it; but if you are not given it, then beware." But he for whom Allah intends fitnah - never will you possess [power to do] for him a thing against Allah . Those are the ones for whom Allah does not intend to purify their hearts. For them in this world is disgrace, and for them in the Hereafter is a great punishment.
Aey rasool! Aap inn logon kay peechay na kurhiye jo kufur mein sabqat ker rahey hain khuwa woh inn ( munfiqon ) mein say hon jo zabani to eman ka dawa kertay hain lekin haqeeqatan unn kay dil ba eman nahi aur yahundiyon mein say kuch log aisay hain jo ghalat baaten sunnay kay aadi hain aur inn logon kay jasoos hain jo abb tak aap kay pass nahi aaye woh kalmaat kay asli moqay ko chor ker enhen mutaghayyur ker diya kertay hain kehtay hain kay agar tum yehi hukum diye jao to qabool ker lena aur agar yeh hukum na diye jao to alag thalag rehna aur jiss ka kharab kerna Allah ko manzoor ho to aap uss kay liye khudaee hidayat mein kissi cheez kay mukhtaar nahi. Allah Taalaa ka irada inn kay dilon ko pak kerney ka nahi inn kay liye duniya mein bhi bari zillat aur ruswaee hai aur aakhirat mein bhi inn kay liye bari sakht saza hai.
ऐ (प्यारे) नबी! आपको वे लोग रंज में न डालें जो कुफ़्र की राह में बड़ी तेज़ी दिखा रहे हैं चाहे वह उन लोगों में से हों जो अपने मुँह से कहते हों कि हम ईमान लाए; हालाँकि उनके दिल ईमान नहीं लाए या उनमें से हों जो यहूदी हैं, झूठ के बड़े सुनने वाले, सुनने वाले दूसरे लोगों की ख़ातिर जो आपके पास नहीं आए, वे गुफ़्तगू को उसकी जगह से हटा देते हैं, वे लोगों से कहते हैं कि अगर तुमको यह हुक्म मिले तो क़बूल कर लेना और अगर यह हुक्म न मिले तो उससे बचकर रहना, और जिसको अल्लाह फ़ित्ने में डालना चाहे तो आप अल्लाह के मुक़ाबले में उसके मामले में कुछ नहीं कर सकते, यही वे लोग हैं कि अल्लाह ने नहीं चाहा कि उनके दिलों को पाक करे, उनके लिए दुनिया में रुसवाई है और आख़िरत में उनके लिए बड़ा अज़ाब है।
But they have attributed to Allah partners - the jinn, while He has created them - and have fabricated for Him sons and daughters without knowledge. Exalted is He and high above what they describe.
Aur logon ney shayateen ko Allah Taalaa ko shareek qarar dey rakha hai halankay inn logon ko Allah hi ney peda kiya hai aur inn logon ney Allah kay haq mein betay aur betiyan bila sanad tarash rakhi hain aur woh pak aur bartar hai unn baaton say jo yeh kertay hain.
और उन्होंने जिन्नात को अल्लाह का शरीक क़रार दिया हालाँकि उसी ने उनको पैदा किया है, और बग़ैर सोचे-समझे उसके लिए बेटे और बेटियाँ तराशीं, पाक और बरतर है वह ज़ात उन बातों से जो ये बयान करते हैं।
[He is] Originator of the heavens and the earth. How could He have a son when He does not have a companion and He created all things? And He is, of all things, Knowing.
Woh aasmanon aur zamin ka mojid hai Allah Taalaa ki aulad kahan ho sakti hai halankay uss ki koi biwi to hai nahi aur Allah Taalaa ney her cheez ko peda kiya aur woh her cheez ko khoob janta hai.
वह आसमानों और ज़मीन का बनाने वाला है, उसका कोई बेटा कैसे हो सकता है जबकि उसकी कोई बीवी नहीं, और उसने हर चीज़ को पैदा किया है और वह हर चीज़ से बाख़बर है।
And is one who was dead and We gave him life and made for him light by which to walk among the people like one who is in darkness, never to emerge therefrom? Thus it has been made pleasing to the disbelievers that which they were doing.
Aisa shaks jo pehlay murda tha phir hum ney uss ko zinda ker diya aur hum ney uss ko aik aisa noor dey diya kay woh iss ko liye huye aadmiyon mein chalta phirta hai. Kiya aisa shaks uss shaks ki tarah ho sakta hai? Jo tareekiyon say nikal hi nahi pata. Issi tarah kafiron ko unn kay aemaal khushnuma maloom hua kertay hain.
क्या वह शख़्स जो मुर्दा था फिर हमने उसको ज़िंदगी दी और हमने उसको एक रौशनी दी कि उसके साथ वह लोगों में चलता है वह उस शख़्स की तरह हो सकता है जो तारीकियों में पड़ा है जिनसे वह निकलने वाला नहीं, इस तरह काफ़िरों की नज़र में उनके करतूत ख़ुशनुमा बना दिए गए हैं।
Say, "O my people, work according to your position; [for] indeed, I am working. And you are going to know who will have succession in the home. Indeed, the wrongdoers will not succeed.
Aap yeh farma dijiye kay aey meri qom ! Tum apni halat per amal kertay raho mein bhi amal ker raha hun so abb jald hi tum ko maloom hua jata hai kay iss aalam ka anjam kaar kiss kay liye naafay hoga. Yeh yaqeeni baat hai kay haq talfi kerney walon ko kabhi falah na hogi.
आप कह दीजिए कि ऐ लोगो! तुम अमल करते रहो अपनी जगह पर मैं भी अमल कर रहा हूँ, तुम जल्द ही जान लोगे कि आख़िरत का अंजाम किसके हक़ में बेहतर होता है, यक़ीनन ज़ालिम कभी फ़लाह नहीं पा सकते।
No partner has He. And this I have been commanded, and I am the first [among you] of the Muslims."
Uss ka koi shareek nahi aur mujh ko issi ka hukum hua hai aur mein sab mannay walon mein say pehla hun.
कोई उसका शरीक नहीं, और मुझे इसी का हुक्म मिला है और मैं सबसे पहला फरमाँबरदार हूँ।
And We wrote for him on the tablets [something] of all things - instruction and explanation for all things, [saying], "Take them with determination and order your people to take the best of it. I will show you the home of the defiantly disobedient."
Aur hum ney chand takhtiyon per her qisam ki naseehat aur her cheez ki tafseel unn ko likh ker di tum inn ko poori qooat say pakar lo aur apni qom ko hukum kero kay inn kay achay achay ehkaam per amal keren abb boht jald tum logon ko inn bey hukmon ka muqam dikhlata hun.
और हमने उसके लिए तख़्तियों पर हर क़िस्म की नसीहत और हर चीज़ की तफ़सील लिख दी, पस उसको मज़बूती से पकड़ो और अपनी क़ौम को हुक्म दो कि उनके सही मतलब की पैरवी करें, मैं बहुत जल्द तुमको नाफ़रमानों का ठिकाना दिखाऊँगा।
Say, [O Muhammad], "O mankind, indeed I am the Messenger of Allah to you all, [from Him] to whom belongs the dominion of the heavens and the earth. There is no deity except Him; He gives life and causes death." So believe in Allah and His Messenger, the unlettered prophet, who believes in Allah and His words, and follow him that you may be guided.
Aap keh dijiye kay aey logo! Mein tum sab ki taraf uss Allah Taalaa ka bheja hua hun jiss ki badshahi tamam aasmanon aur zamin mein hai uss kay siwa koi ibadat kay laeeq nahi wohi zindagi deta hai aur wohi mot deta hai so Allah Taalaa per eman lao aur uss kay nabi ummi per jo kay Allah Taalaa per aur uss kay ehkaam per eman rakhtay hain aur inn ka ittabaa kero takay tum raah per aajao.
(ऐ नबी) कह दीजिए कि ऐ लोगो! बेशक मैं उस अल्लाह का रसूल हूँ तुम सब की तरफ़ जिसकी हुकूमत है आसमानों और ज़मीन में, उसके सिवा कोई माबूद नहीं, वही ज़िंदगी देता है और वही मारता है, पस ईमान लाओ अल्लाह पर और उसके उम्मी रसूल व नबी पर जो ईमान रखता है अल्लाह और उसके कलिमात पर और उसकी पैरवी करो; ताकि तुम हिदायत पाओ।
Whoever Allah sends astray - there is no guide for him. And He leaves them in their transgression, wandering blindly.
Jiss ko Allah Taalaa gumrah kerdey uss ko koi raah per nahi laa sakta. Aur Allah Taalaa unn ko unn ki gumrahi mein bhataktay huye chor deta hai.
अल्लाह जिसको गुमराह कर दे उसको कोई राह दिखाने वाला नहीं, और वह उनको उनकी सरकशी ही में भटकता हुआ छोड़ देता है।
But when He gives them a good [child], they ascribe partners to Him concerning that which He has given them. Exalted is Allah above what they associate with Him.
So jab Allah ney dono ko sahih saalim aulad dey di to Allah ki di hui cheez mein woh dono Allah kay shareek qarar denay lagay so Allah pak hai unn kay shirk say.
मगर जब अल्लाह ने उनको तंदुरुस्त औलाद दे दी तो वे उसकी बख़्शी हुई चीज़ में दूसरों को उसका शरीक ठहराने लगे, अल्लाह बरतर है उन मुशरिकाना बातों से जो ये लोग करते हैं।
So when the Qur'an is recited, then listen to it and pay attention that you may receive mercy.
Aur jab quran parha jaya keray to iss ki taraf kaan laga diya kero aur khamosh raha kero umeed hai kay tum per rehmat ho.
और जब क़ुरआन पढ़ा जाए तो उसको तवज्जोह से सुनो और ख़ामोश रहो; ताकि तुम पर रहमत की जाए।
And if they had intended to go forth, they would have prepared for it [some] preparation. But Allah disliked their being sent, so He kept them back, and they were told, "Remain [behind] with those who remain."
Agar inn ka irada jihad kay liye nikalney ka hota to woh iss safar kay liye saman ki tayyari ker rakhtay lekin Allah ko inn ka uthna pasand hi na tha iss liye enhen harkat say hi rok diya aur keh diya gaya kay tum bethney walon kay sath bethay hi raho.
और अगर वे निकलना चाहते तो ज़रूर उसका कुछ सामान कर लेते मगर अल्लाह ने उनका उठना पसंद न किया इसलिए उन्हें जमा रहने दिया और कह दिया गया कि बैठने वालों के साथ बैठे रहो।
Do they not know that whoever opposes Allah and His Messenger - that for him is the fire of Hell, wherein he will abide eternally? That is the great disgrace.
Kiya yeh nahi jantay kay jo bhi Allah ki aur uss kay rasool ki mukhlifat keray ga yaqeenan uss kay liye dozakh ki aag hai jiss mein woh hamesha rehney wala hai yeh zabardast ruswaee hai.
क्या उनको मालूम नहीं कि जो अल्लाह और उसके रसूल की मुख़ालिफ़त करे उसके लिए जहन्नम की आग है जिसमें वह हमेशा रहेगा, यह बहुत बड़ी रुसवाई है।
Indeed, to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth; He gives life and causes death. And you have not besides Allah any protector or any helper.
Bila shuba Allah hi ki saltanat hai aasmanon aur zamin mein. Wohi jilata aur maarta hai aur tumhara Allah kay siwa na koi yaar hai aur na koi madadgar hai.
बेशक अल्लाह ही की सल्तनत है आसमानों में और ज़मीन में, वही ज़िंदा करता है और वही मारता है, और अल्लाह के सिवा न तुम्हारा कोई दोस्त है और न कोई मददगार।
They have said, " Allah has taken a son." Exalted is He; He is the [one] Free of need. To Him belongs whatever is in the heavens and whatever is in the earth. You have no authority for this [claim]. Do you say about Allah that which you do not know?
Woh kehtay hain kay Allah aulad rakhta hai. Subhan Allah ! Who to kissi ka mohtaj nahi ussi ki milkiyat hai jo kuch aasmano mein hai aur jo kuch zamin mein hai. Tumharay pass iss per koi daleel nahi. Kiya Allah kay zimmay aisi baat lagatay ho jiss ka tum ilm nahi rakhtay.
कहते हैं कि अल्लाह ने बेटा बनाया है, वह तो पाक है, बेनियाज़ है, उसी का है जो कुछ आसमानों में है और जो कुछ ज़मीन में है, तुम्हारे पास उसकी कोई दलील नहीं, क्या तुम अल्लाह पर ऐसी बात घड़ते हो जिसका तुम इल्म नहीं रखते।
They said, "O our father, why do you not entrust us with Joseph while indeed, we are to him sincere counselors?
Unhon ney kaha abba! Aakhir aap yousuf ( alh-e-salam ) kay baray mein hum per aitbaar kiyon nahi kertay hum to iss kay khair khua hain.
उन्होंने वालिद से कहाः ऐ हमारे अब्बा जान! क्या बात है कि आप यूसुफ़ के मामले में हम पर भरोसा नहीं करते; हालाँकि हम तो उसके ख़ैर-ख़्वाह हैं।
Send him with us tomorrow that he may eat well and play. And indeed, we will be his guardians.
Kal aap zaroor issay humaray sath bhej dijiye kay khoob khaye piye aur khelay iss ki hifazat kay hum zimmay daar hain.
कल उसको हमारे साथ भेज दीजिए, ख़ूब खाए और खेले और हम उसके निगहबान हैं।
So his Lord responded to him and averted from him their plan. Indeed, He is the Hearing, the Knowing.
Uss kay rab ney uss ki dua qabool kerli aur inn aurton kay dao paich uss say pher diye yaqeenan woh sunnay wala jannay wala hai.
पस उसके रब ने उसकी दुआ क़बूल कर ली और उनके फ़रेब को उससे दूर कर दिया, बेशक वह सुनने वाला, जानने वाला है।