And when you have completed the prayer, remember Allah standing, sitting, or [lying] on your sides. But when you become secure, re-establish [regular] prayer. Indeed, prayer has been decreed upon the believers a decree of specified times.
Phir jab tum namaz ada ker chuko to uthtay bethtay aur letay Allah Taalaa ka ziker kertay raho aur jab itminan pao to namaz qaeem kero! Yaqeenan namaz mominon per muqarrara waqton per farz hai.
पस जब तुम नमाज़ अदा कर लो तो अल्लाह को याद करो खड़े खड़े और बैठे बैठे और लेटे लेटे, फिर जब इत्मीनान हो जाए तो नमाज़ ख़ड़ी करो, बेशक नमाज़ अहले-ईमान पर मुक़र्रर वक़्तों के साथ फ़र्ज़ है।
And seek forgiveness of Allah . Indeed, Allah is ever Forgiving and Merciful.
Aur Allah Taalaa say bakshish maango! Be-shak Allah Taalaa baksish kerney wala meharbani kerney wala hai.
और अल्लाह से बख़्शिश मांगें, बेशक अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And do not argue on behalf of those who deceive themselves. Indeed, Allah loves not one who is a habitually sinful deceiver.
Aur inn ki taraf say jhagra na kero jo khud apni hi khayanat kertay hain yaqeenan dagha baaz gunehgar Allah Taalaa ko acha nahi lagta.
और आप उन लोगों की तरफ़ से न झगड़ें जो अपने आप से ख़यानत कर रहे हैं, बेशक अल्लाह ऐसे शख़्स को पसंद नहीं करता जो ख़यानत करने वाला, गुनहगार हो।
Indeed, Allah does not forgive association with Him, but He forgives what is less than that for whom He wills. And he who associates others with Allah has certainly gone far astray.
Ussay Allah Taalaa qatan na bakshay ga kay uss kay sath shareek muqarrar kiya jaye haan shirk kay ilawa gunah jiss kay chahaye moaf farma deta hai aur Allah kay sath sharik kerney wala boht door ki gumrahi mein jaa para.
बेशक अल्लाह इस बात को नहीं बख़्शेगा कि उसको शरीक ठहराया जाए और उसके सिवा गुनाहों को बख़्श देगा जिसके लिए चाहेगा, और जिसने अल्लाह का शरीक ठहराया वह बहक कर बहुत दूर जा पड़ा।
Indeed, those who have believed then disbelieved, then believed, then disbelieved, and then increased in disbelief - never will Allah forgive them, nor will He guide them to a way.
Jin logon ney eman qabool ker kay phir kufur kiya phir eman laa ker phir kufur kiya phir apney kufur mein barh gaye Allah Taalaa yaqeenan unhen na bakshay ga aur na unhen raah-e-hidayat sujhaye ga.
बेशक जो लोग ईमान लाए फिर इनकार किया फिर ईमान लाए फिर इनकार किया और फिर इनकार में बढ़ते गए तो अल्लाह उनको हरगिज़ नहीं बख़्शेगा और न उनको राह दिखाएगा।
And it has already come down to you in the Book that when you hear the verses of Allah [recited], they are denied [by them] and ridiculed; so do not sit with them until they enter into another conversation. Indeed, you would then be like them. Indeed Allah will gather the hypocrites and disbelievers in Hell all together -
Aur Allah Taalaa tumharay pass apni kitab mein yeh hukum utaar chuka hai kay tum jab kissi majlis walon ko Allah Taalaa ki aayaton kay sath kufur kertay aur mazaq uratay huye suno to uss majmay mein unn kay sath na betho! Jab tak kay woh iss kay ilawa aur baaten na kerney lagen ( werna ) tum bhi uss waqt unhi jaisay ho yaqeenan Allah Taalaa tamam kafiron aur sab munafiqon ko jahannum mein jama kerney wala hai.
और अल्लाह किताब में तुम पर यह हुक्म उतार चुका है कि जब तुम सुनो कि अल्लाह की निशानियों का इनकार किया जा रहा है और उनका मज़ाक़ उड़ाया जा रहा है तो तुम उनके साथ न बैठो यहाँ तक कि वे दूसरी बात में मशग़ूल हो जाएं वर्ना तुम भी उन्हीं जैसे हो गए, अल्लाह मुनाफ़िक़ों को और काफ़िरों को जहन्नम में एक जगह इकट्ठा करने वाला है।
Indeed, the hypocrites [think to] deceive Allah , but He is deceiving them. And when they stand for prayer, they stand lazily, showing [themselves to] the people and not remembering Allah except a little,
Be-shak munafiq Allah say chaal baziyan ker rahey hain aur woh enhen iss chaal bazi ka badla denay wala hai aur jab namaz ko kharay hotay hain to bari kaahili ki halat mein kharay hotay hain sirf logon ko dikhatay hain aur yaad-e-elahee to yun hi si baraye naam kertay hain.
बेशक मुनाफ़िक़ीन अल्लाह के साथ धोखेबाज़ी कर रहे हैं; हालाँकि अल्लाह ही ने उनको धोके में डाल रखा है, और जब वे नमाज़ के लिए खड़े होते हैं तो सुस्ती के साथ खड़े होते हैं महज़ लोगों को दिखाने के लिए, और वे अल्लाह को कम ही याद करते हैं।
Indeed, the hypocrites will be in the lowest depths of the Fire - and never will you find for them a helper -
Munafiq to yaqeenan jahannum kay sab say neechay kay tabqay mein jayen gay na mumkin hai kay tu inn ka koi madadgar paa ley.
बेशक मुनाफ़िक़ीन दोज़ख़ के सबसे निचले दर्जे में होंगे, और तुम उनका कोई मददगार न पाओगे।
Indeed, those who disbelieve in Allah and His messengers and wish to discriminate between Allah and His messengers and say, "We believe in some and disbelieve in others," and wish to adopt a way in between -
Jo log Allah kay sath aur uss kay payghumbar kay sath kufur kertay hain aur jo log yeh chahtay hain kay Allah aur uss kay rasool kay darmiyan farq keren aur jo log kehtay hain kay baaz nabiyon per to humara eman hai aur baaz per nahi aur chahtay hain kay iss kay aur uss kay bain bain koi raah nikalen.
जो लोग अल्लाह और उसके रसूलों का इनकार कर रहे हैं वे चाहते हैं कि अल्लाह और उसके रसूलों के दरमियान तफ़रीक़ करें और कहते हैं कि हम किसी को मानेंगे और किसी को न मानेंगे, और वे चाहते हैं कि उसके बीच में एक राह निकालें।
Indeed, those who disbelieve and avert [people] from the way of Allah have certainly gone far astray.
Jin logon ney kufur kiya aur Allah Taalaa ki raah say auron ko roka woh yaqeenan gumrahi mein door nikal gay.
बेशक जिन लोगों ने इनकार किया और अल्लाह के रास्ते से रोका वे बहक कर बहुत दूर निकल गए।
Indeed, those who disbelieve and commit wrong [or injustice] - never will Allah forgive them, nor will He guide them to a path.
Jin logon ney kufur kiya aur zulm kiya unhen Allah Taalaa hergiz hergiz na bakshay ga aur na unhen koi raah dikhaye ga.
जिन लोगों ने कुफ़्र को अपनाया है (और दूसरों को अल्लाह के रास्ते से रोक कर उन पर) ज़ुल्म किया है अल्लाह उनको बख़्शने वाला नहीं है और न उनको कोई और रास्ता दिखाने वाला है।
O you who have believed, fulfill [all] contracts. Lawful for you are the animals of grazing livestock except for that which is recited to you [in this Qur'an] - hunting not being permitted while you are in the state of ihram. Indeed, Allah ordains what He intends.
Aey eman walo! Ehad-o-paymaan pooray kero tumharay liye maweshi chopaye halal kiye gaye hain ba-juz unn kay jin kay naam parh ker suna diye jayen gay magar halat-e-ehraam mein shikar ko halal jannay walay na banna yaqeenan Allah jo chahaye hukum kerta hai.
ऐ ईमान वालो! अहद व पैमान को पूरा करो, तुम्हारे लिए मवेशी की क़िस्म के सब जानवर हलाल किए गए सिवाए उनके जिनका ज़िक्र आगे किया जा रहा है, मगर एहराम की हालत में शिकार को हलाल न जानो, बेशक अल्लाह फ़ैसला करता है जो चाहता है।
O you who have believed, do not violate the rites of Allah or [the sanctity of] the sacred month or [neglect the marking of] the sacrificial animals and garlanding [them] or [violate the safety of] those coming to the Sacred House seeking bounty from their Lord and [His] approval. But when you come out of ihram, then [you may] hunt. And do not let the hatred of a people for having obstructed you from al-Masjid al-Haram lead you to transgress. And cooperate in righteousness and piety, but do not cooperate in sin and aggression. And fear Allah ; indeed, Allah is severe in penalty.
Aey eman walo! Allah Taalaa kay shaaeer ki bey hurmati na kero na adab walay maheenon ki na haram mein qurban honey walay aur pattay pehnaye gaye janwaron ki jo kaaba ko ja rahey hon aur na unn logon ki jo bait-ullah kay qasad say apney rab taalaa kay fazal aur uss ki raza joee ki niyat say ja rahey hon haan jab tum ehraam utaar dalo to shikar khel saktay ho jin logon ney tumhen masjid-e-haram say roka tha unn ki dushmani tumhen iss baat per aamaadah na keray kay tum hadd say guzar jao neki aur perhezgari mein aik doosray ki imdad kertay raho aur gunah aur zulm-o-ziyadti mein madad na kero aur Allah Taalaa say dartay raho be-shak Allah Taalaa sakht saza denay wala hai.
ऐ ईमान वालो! बे-हुरमती न करो अल्लाह की निशानियों की और न हुरमत वाले महीनों की और न हरम में क़ुर्बानी वाले जानवरों की और न पट्टे बंधे हुए नियाज़ के जानवरों की और न हुरमत वाले घर की तरफ़ आने वालों की जो अपने रब का फ़ज़्ल और उसकी ख़ुशनूदी ढूँढने निकले हैं, और जब तुम एहराम की हालत से बाहर आ जाओ तो शिकार करो, और किसी क़ौम की दुश्मनी कि उसने तुमको मस्जिदे-हराम से रोका है तुमको इस पर न उभारे कि तुम ज़्यादती करने लगो, तुम नेकी और तक़वे में एक-दूसरे की मदद करो और गुनाह और ज़्यादती में एक-दूसरे की मदद न करो और अल्लाह से डरो, बेशक अल्लाह सख़्त अज़ाब देने वाला है।
They ask you, [O Muhammad], what has been made lawful for them. Say, "Lawful for you are [all] good foods and [game caught by] what you have trained of hunting animals which you train as Allah has taught you. So eat of what they catch for you, and mention the name of Allah upon it, and fear Allah ." Indeed, Allah is swift in account.
Aap say daryaft kertay hain kay unn kay liye kiya kuch halal hai? Aap keh dijiye kay tamam pak cheezen tumharay liye halal ki gaee hain aur jin shikar khelney walay janwaron ko tum ney sidha rakha hai yani jinhen tum thora boht woh sikhatay ho jiss ki taleem Allah Taalaa ney tumhen dey rakhi hai pus jiss shikar ko woh tumharay liye pakar ker rok rakhen to tum uss say kha lo aur iss per Allah Taalaa kay naam ka zikar ker liya kero. Aur Allah Taalaa say dartay raho yaqeenan Allah Taalaa jald hisab lenay wala hai.
वे आपसे पूछते हैं कि उनके लिए क्या चीज़ हलाल की गई है, कह दीजिए कि तुम्हारे लिए पाकीज़ा चीज़ें हलाल हैं, और शिकारी जानवरों में से जिनको तुमने सधाया है तुम उनको सिखाते हो उसमें से जो अल्लाह ने तुमको सिखाया है, पस तुम उनके शिकार में से खाओ जो वे तुम्हारे लिए पकड़ कर रखें और उन पर अल्लाह का नाम लो और अल्लाह से डरो, अल्लाह बेशक जल्द हिसाब लेने वाला है।
And remember the favor of Allah upon you and His covenant with which He bound you when you said, "We hear and we obey"; and fear Allah . Indeed, Allah is Knowing of that within the breasts.
Tum per Allah Taalaa ki jo nematen nazil hui hain unhen yaad rakho aur uss kay uss ehad ka bhi jiss ka tum say mohida hua hai jabkay tum ney kaha hum ney suna aur maana aur Allah Taalaa say dartay raho yaqeenan Allah Taalaa dilon ki baaton ka jannay wala hai.
और अपने ऊपर अल्लाह की नेमत को याद करो और उसके अहद को याद करो जो उसने तुमसे लिया है, जब तुमने कहा कि हमने सुना और हमने माना, और अल्लाह से डरो बेशक अल्लाह दिलों की बात तक को जानता है।
O you who have believed, be persistently standing firm for Allah , witnesses in justice, and do not let the hatred of a people prevent you from being just. Be just; that is nearer to righteousness. And fear Allah ; indeed, Allah is Acquainted with what you do.
Aey eman walo! Tum Allah ki khatir haq per qaeem hojao raasti aur insaf kay sath gawahi denay walay bann jao kissi qom ki adawat tumhen khilaf-e-adal per aamaada na ker dey adal kiya kero jo perhezgari kay ziyada qarib hai aur Allah Taalaa say dartay raho yaqeen mano kay Allah Taalaa tumharay aemaal say ba khabar hai.
ऐ ईमान वालो! अल्लाह के लिए क़ायम रहने वाले, इंसाफ़ के साथ गवाही देने वाले बनो, और किसी गिरोह की दुश्मनी तुमको इस पर न उभारे कि तुम इंसाफ़ न करो (बल्कि तुम) इंसाफ़ करो यही तक़वे से ज़्यादा क़रीब है और अल्लाह से डरो, बेशक अल्लाह को ख़बर है जो कुछ तुम करते हो।
So for their breaking of the covenant We cursed them and made their hearts hard. They distort words from their [proper] usages and have forgotten a portion of that of which they were reminded. And you will still observe deceit among them, except a few of them. But pardon them and overlook [their misdeeds]. Indeed, Allah loves the doers of good.
Phir unn ki ehad shikni ki waja say hum ney unn per apni laanat nazil farma di aur unn kay dil sakht ker diye kay woh kalaam ko uss ki jagah say badal daaltay hain aur jo kuch naseehat unhen ki gaee thi uss ka boht bara hissa bhula bethay unn ki aik na aik khayanat per tujhay itlaa milti hi rahey gi haan thoray say aisay nahi bhi hain pus tu unhen moaf kerta jaa aur dar guzar kerta reh be-shak Allah Taalaa ehsan kerney walon say mohabbat kerta hai.
पस उनके वादे तोड़ देने की वजह से हमने उन पर लानत कर दी और हमने उनके दिलों को सख़्त कर दिया, वे गुफ़्तगू को उसकी (सही) जगह से बदल देते हैं और जो कुछ उनको नसीहत की गई थी उसका बड़ा हिस्सा वे भुला बैठे, और आप बराबर उनकी किसी न किसी ख़यानत से आगाह होते रहते हो सिवाए थोड़े लोगों के, पस उनको माफ़ कर दें और उनसे दरगुज़र करें, बेशक अल्लाह नेकी करने वालों को पसंद करता है।
They have certainly disbelieved who say that Allah is Christ, the son of Mary. Say, "Then who could prevent Allah at all if He had intended to destroy Christ, the son of Mary, or his mother or everyone on the earth?" And to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth and whatever is between them. He creates what He wills, and Allah is over all things competent.
Yaqeenan woh log kafir hogaye jinhon ney kaha kay Allah hi maseeh ibn-e-mariyum hai aap inn say keh dijiye kay agar Allah maseeh ibn-e-marium aur uss ki walida aur ruy-e-zamin kay sab logon ko halak ker dena chahaye to kaun hai jo Allah Taalaa per kuch bhi ikhtiyar rakhta ho? Aasmanon-o-zamin aur dono kay darmiyan ka kul mulk Allah Taalaa hi ka hai woh jo chahata hai peda kerta hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
बेशक उन लोगों ने कुफ़्र किया जिन्होंने कहा कि अल्लाह ही तो मसीह बिन मरियम है, आप कह दीजिए कि फिर कौन इख़्तियार रखता है अल्लाह के आगे किसी भी चीज़ का अगर वह चाहे कि हलाक कर दे मसीह बिन मरियम को और उनकी माँ को और जितने लोग ज़मीन में हैं सबको, और अल्लाह ही के लिए है बादशाही आसमानों और ज़मीन की और जो कुछ उनके दरमियान है, वह पैदा करता है जो कुछ चाहता है, और अल्लाह हर चीज़ पर क़ादिर है।
They said, "O Moses, indeed within it is a people of tyrannical strength, and indeed, we will never enter it until they leave it; but if they leave it, then we will enter."
Unhon ney jawab diya kay aey musa wahan to zor aawar sirkash log hain aur jab tak woh wahan say na nikal jayen hum to hergiz wahan na jayen gay haan agar woh wahan say nikal jayen phir to hum ( ba khushi ) chalay jayen gay.
उन्होंने कहाः ऐ मूसा! वहाँ एक सख़्त-मिज़ाज क़ौम आबाद है, हम हरगिज़ वहाँ न जाएंगे जब तक वह वहाँ से न निकल जाए, हाँ अगर वह वहाँ से निकल जाए तो हम दाख़िल हो जाएंगे।
Because of that, We decreed upon the Children of Israel that whoever kills a soul unless for a soul or for corruption [done] in the land - it is as if he had slain mankind entirely. And whoever saves one - it is as if he had saved mankind entirely. And our messengers had certainly come to them with clear proofs. Then indeed many of them, [even] after that, throughout the land, were transgressors.
Issi waja say hum ney bani israeel per yeh likh diya kay jo shaks kissi ko baghair iss kay, kay woh kissi ka qatil ho ya zamin mein fasaad machaney wala ho qatal ker daalay to goya uss ney tamam logon ko qatal ker diya aur jo shaks kissi aik ki jaan bacha ley uss ney goya tamam logon ko zinda ker diya aur unn kay pass humara boht say rasool zahir daleelen ley ker aaye lekin phir uss kay baad bhi unn mein kay aksar log zamin mein zulm-o-ziyadti aur zabadasti kerney walay hi rahey.
इसी सबब से हमने बनी-इस्राईल पर यह लिख दिया कि जो शख़्स किसी को क़त्ल करे बग़ैर इसके कि उसने किसी को क़त्ल किया हो या ज़मीन में फ़साद बरपा किया हो तो गोया उसने सारे इंसानों को क़त्ल कर डाला, और जिसने एक शख़्स को बचाया तो गोया उसने सारे इंसानों को बचा लिया, और हमारे पैग़म्बर उनके पास खुले हुए अहकाम लेकर आए उसके बावजूद उनमें से बहुत-से लोग ज़मीन में ज़्यादतियाँ करते हैं।
Indeed, those who disbelieve - if they should have all that is in the earth and the like of it with it by which to ransom themselves from the punishment of the Day of Resurrection, it will not be accepted from them, and for them is a painful punishment
Yaqeen mano kay kafiron kay liye agar woh sab kuch ho jo saari zamin mein hai bulkay issay kay misil aur bhi ho aur woh iss sab ko qayamat kay din azab kay badlay fidiye mein dena chahayen to bhi na mumkin hai kay inn ka fidya qabool ker liya jaye inn kay liye to dard naak azab hi hai.
बेशक जिन लोगों ने कुफ़्र किया है अगर उनके पास वह सब कुछ हो जो ज़मीन में है और उतना ही और हो; ताकि वे उसको फ़िदया में देकर क़यामत के दिन अज़ाब से छूट जाएं तब भी वह उनसे क़बूल न किया जाएगा और उनके लिए दर्दनाक अज़ाब है।
But whoever repents after his wrongdoing and reforms, indeed, Allah will turn to him in forgiveness. Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Jo shaks apney gunah kay baad tauba ker ley aur islaah ker ley to Allah Taalaa rehmat kay sath uss ki taraf lot’ta hai yaqeenan Allah Taalaa moaf farmaney wala meharbani kerney wala hai.
फिर जिसने अपने ज़ुल्म के बाद तौबा की और इस्लाह कर ली तो अल्लाह बेशक उस पर तवज्जोह करेगा, और अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
[They are] avid listeners to falsehood, devourers of [what is] unlawful. So if they come to you, [O Muhammad], judge between them or turn away from them. And if you turn away from them - never will they harm you at all. And if you judge, judge between them with justice. Indeed, Allah loves those who act justly.
Yeh kaan laga laga ker jhoot kay sunnay walay aur ji bhar bhar ker haram kay khaney walay hain agar yeh tumharay pass aayen to tumhen ikhtiyar hai khuwa inn kay aapas ka faisla kero khuwa inn ko taal do agar tum inn say mun bhi phero gay to bhi yeh tum ko hergiz zarar nahi phoncha saktay aur agar tum faisla kero to inn mein adal-o-insaf kay sath faisla kero yaqeenan adal walon kay sath Allah mohabbat rakhta hai.
वे झूठ के बड़े सुनने वाले हैं, हराम के बड़े खाने वाले हैं, अगर वे आपके पास आएं तो चाहें तो आप उनके दरमियान फ़ैसला कर दें या चाहें तो उनको टाल दें, और अगर आप उनको टाल दें तो वे आपका कुछ बिगाड़ नहीं सकते, और अगर आप फ़ैसला करें तो उनके दरमियान इंसाफ़ के मुताबिक़ फ़ैसला करें, बेशक अल्लाह इंसाफ़ करने वालों को पसंद करता है।
O you who have believed, do not take the Jews and the Christians as allies. They are [in fact] allies of one another. And whoever is an ally to them among you - then indeed, he is [one] of them. Indeed, Allah guides not the wrongdoing people.
Aey eman walo! Tum yahud-o-nasaara ko dost na banao yeh to aapas mein hi aik doosray kay dost hain. Tum mein say jo bhi inn mein say kissi say dosti keray woh be-shak enhi mein say hai zalimon ko Allah Taalaa hergiz raah-e-raast nahi dikhata.
ऐ ईमान वालो! यहूद और नसारा को दोस्त न बनाओ, वह एक-दूसरे के दोस्त हैं, और तुम में से जो शख़्स उनको अपना दोस्त बनाएगा तो वह उन्हीं में से होगा, बेशक अल्लाह ज़ालिम लोगों को राह नहीं दिखाता।
O Messenger, announce that which has been revealed to you from your Lord, and if you do not, then you have not conveyed His message. And Allah will protect you from the people. Indeed, Allah does not guide the disbelieving people.
Aey rasool jo kuch bhi aap ki taraf aap kay rab ki janib say nazil kiya gaya hai phoncha dijiye. Agar aap ney aisa na kiya to aap ney Allah ki risalat ada nahi kiaur aap ko Allah Taalaa logon say bacha ley ga be-shak Allah Taalaa kafir logon ko hidayat nahi deta.
ऐ (प्यारे) नबी! जो कुछ आप पर आपके रब की तरफ़ से उतारा है उसको पहुँचा दीजिए, और अगर आपने ऐसा नहीं किया तो आपने अल्लाह के पैग़ाम को नहीं पहुँचाया, और अल्लाह आपको लोगों से बचाएगा, अल्लाह यक़ीनन मुनकिर लोगों को राह नहीं दिखाता।
Indeed, those who have believed [in Prophet Muhammad] and those [before Him] who were Jews or Sabeans or Christians - those [among them] who believed in Allah and the Last Day and did righteousness - no fear will there be concerning them, nor will they grieve.
Musalman yahudi sitara parast aur nasrani koi ho jo bhi Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman laye aur nek amal keray woh mehaz bey khof rahey ga aur bilkul bey ghum hojaye ga.
बेशक जो लोग ईमान लाए और जो लोग यहूदी हुए और साबी और नसरानी (उनमें से) जो शख़्स भी ईमान लाए अल्लाह पर और आख़िरत के दिन पर और नेक अमल करे तो उनके लिए न कोई अंदेशा है और न वे ग़मगीन होंगे।
They have certainly disbelieved who say, " Allah is the Messiah, the son of Mary" while the Messiah has said, "O Children of Israel, worship Allah , my Lord and your Lord." Indeed, he who associates others with Allah - Allah has forbidden him Paradise, and his refuge is the Fire. And there are not for the wrongdoers any helpers.
Be-shak woh log kafir hogaye jin ka qol hai kay maseeh ibn-e-marium hi Allah hain halankay khud maseeh ney unn say kaha tha aey bani israeel! Allah hi ki ibadat kero jo mera aur tumhara sab ka rab hai yaqeen mano kay jo shaks Allah kay sath shareek kerta hai Allah Taalaa ney uss per jannat haram ker di hai uss ka thikana jahannum hi hai aur gunehgaron ki madad kerney wala koi nahi hoga.
यक़ीनन उन लोगों ने कुफ़्र किया जिन्होंने कहा कि अल्लाह ही तो मसीह बिन मरियम है; हालाँकि मसीह ने कहा था कि ऐ बनी-इस्राईल! अल्लाह की इबादत करो जो मेरा भी रब है और तुम्हारा भी रब है, जो शख़्स अल्लाह के साथ शरीक ठहराएगा तो अल्लाह ने हराम की उस पर जन्नत और उसका ठिकाना आग है, और ज़ालिमों का कोई मददगार नहीं।
They have certainly disbelieved who say, " Allah is the third of three." And there is no god except one God. And if they do not desist from what they are saying, there will surely afflict the disbelievers among them a painful punishment.
Woh log bhi qatan kafir hogaye jinhon ney kaha Allah teen mein ka teesra hai dar asal so Allah Taalaa key koi mabood nahi. Agar yeh log apney iss qol say baaz na rahey to inn mein say jo kufur per rahen gay unhen alam naak azab zarror phonchay ga.
यक़ीनन उन लोगों ने कुफ़्र किया जिन्होंने कहा कि अल्लाह तीन में का तीसरा है; हालाँकि कोई माबूद नहीं सिवाए एक माबूद के, और अगर वे बाज़ न आए उससे जो वे कहते हैं तो उनमें से कुफ़्र पर क़ायम रहने वालों को एक दर्दनाक अज़ाब पकड़ेगा।
O you who have believed, do not prohibit the good things which Allah has made lawful to you and do not transgress. Indeed, Allah does not like transgressors.
Aey eman walo! Allah Taalaa ney jo pakeezah cheezen tumharay wastay halal ki hain unn ko haram mat kero aur hadd say aagay mat niklo be-shak Allah Taalaa hadd say nikalney walon ko pasan nahi kerta.
ऐ ईमान वालो! उन पाकीज़ा चीज़ों को हराम न ठहराओ जो अल्लाह ने तुम्हारे लिए हलाल की हैं और हद से न बढ़ो, अल्लाह हद से बढ़ने वालों को पसंद नहीं करता।
And they say, "Why has a sign not been sent down to him from his Lord?" Say, "Indeed, Allah is Able to send down a sign, but most of them do not know."
Aur yeh log kehtay hain kay inn per koi moajza kiyon nahi nazil kiya gaya inn kay rab ki taraf say aap farma dijiye kay Allah Taalaa ko bey shak poori qudrat hai iss per kay woh moajza nazil farma dey lekin inn mein aksar bey khabar hain.
और वे कहते हैं कि रसूल पर कोई निशानी उसके रब की तरफ़ से क्यों नहीं उतरी? आप कहिए कि बेशक अल्लाह क़ादिर है कि कोई निशानी उतारे मगर अकसर लोग नहीं जानते।
Say, "Shall we invoke instead of Allah that which neither benefits us nor harms us and be turned back on our heels after Allah has guided us? [We would then be] like one whom the devils enticed [to wander] upon the earth confused, [while] he has companions inviting him to guidance, [calling], 'Come to us.' " Say, "Indeed, the guidance of Allah is the [only] guidance; and we have been commanded to submit to the Lord of the worlds.
Aap keh dijiye kay kiya hum Allah Taalaa kay siwa aisi cheez ko pukaren kay na woh hum ko nafa phonchaye aur na hum ko nuksan phonchaye aur kiya hum ultay phir jayen iss kay baad kay hum ko Allah Taalaa ney hidayat ker di hai jaisay koi shaks ho kay uss ko shetanon ney kahin jangal mein bey raah ker diya ho aur woh bhatakta phirta ho uss kay kuch sathi bhi hon kay woh uss ko theek raastay ki taraf bula rahey hon kay humaray pass aa. Aap keh dijiye kay yaqeeni baat hai kay raah-e-raast woh khaas Allah hi ki raah hai aur hum ko yeh hukum hua hai kay hum perwerdigar-e-aalam kay pooray mootee hojayen.
(ऐ नबी) आप कहिए कि क्या हम अल्लाह को छोड़ कर उनको पुकारें जो हमको न नफ़ा दे सकते हैं और न हमको नुक़सान पहुँचा सकते हैं और क्या हम उल्टे पाँव फिर जाएं बाद इसके कि अल्लाह हमको सीधा रास्ता दिखा चुका है, उस शख़्स के मानिंद जिसको शैतानों ने बयाबान में भटका दिया हो और वह हैरान फिर रहा हो, उसके साथी उसको सीधे रास्ते की तरफ़ बुला रहे हों कि हमारे पास आ जाओ, आप कह दीजिए कि रहनुमाई तो सिर्फ़ अल्लाह की रहनुमाई है और हमको हुक्म मिला है कि हम अपने आपको तमाम जहानों के परवरदिगार के हवाले कर दें।
And that was Our [conclusive] argument which We gave Abraham against his people. We raise by degrees whom We will. Indeed, your Lord is Wise and Knowing.
Aur yeh humari hujjat thi woh hum ney ibrahim ( alh-e-salam ) ko unn ki qom kay muqablay mein di thi hum jiss ko chahatay hain martabon mein barha detay hain. Be-shak aap ka rab bara hikmat wala bara ilm wala hai.
यह है हमारी दलील जो हमने इब्राहीम को उनकी क़ौम के मुक़ाबले में दी, हम जिसके दर्जे चाहते हैं बुलंद कर देते हैं, बेशक आप का रब हिकमत वाला, इल्म वाला है।
Indeed, Allah is the cleaver of grain and date seeds. He brings the living out of the dead and brings the dead out of the living. That is Allah ; so how are you deluded?
Be-shak Allah Taalaa daaney ko aur guthliyon ko phaarney wala hai woh jaandaar ko bey jaan say nikal laata hai aur woh bey jaan ko jaandaar say nikalney wala hai Allah Taalaa yeh hai so tum kahan ultay chalay jarahey ho.
बेशक अल्लाह दाने और गुठली को फाड़ने वाला है, वह जानदार को बेजान से निकालता है और वही बेजान को जानदार से निकालने वाला है, वही तुम्हारा अल्लाह है फिर तुम किधर बहके चले जा रहे हो?
And it is He who sends down rain from the sky, and We produce thereby the growth of all things. We produce from it greenery from which We produce grains arranged in layers. And from the palm trees - of its emerging fruit are clusters hanging low. And [We produce] gardens of grapevines and olives and pomegranates, similar yet varied. Look at [each of] its fruit when it yields and [at] its ripening. Indeed in that are signs for a people who believe.
Aur woh aisa hai jiss ney aasman say pani barsaya phir hum ney uss kay zariye say her qisam kay nabaat ko nikala phir hum ney uss say sabz shaakh nikali kay uss say hum upper talay daaney charhay huye nikaltay hain aur khujoor kay darakhton say yani unn kay guphay mein say khoshay hain jo neechay ko latkay jatay hain aur angooron kay baagh aur zaitoon aur anaar kay baaz aik doosray say miltay jultay hotay hain aur kuch aik doosray say miltay jultay nahi hotay. Her aik kay phal ko dekho jab woh phalta hai aur iss kay pakney ko dekho iss mein dalaeel hain unn logon kay liye jo eman rakhtay hain.
और वही है जिसने आसमान से पानी बरसाया फिर हमने उससे निकाली उगने वाली हर चीज़ फिर हमने उससे सरसब्ज़ शाख़ निकाली जिससे हम तह-ब-तह दाने पैदा कर देते हैं, और खजूर के गाभे में से फल के गुच्छे झुके हुए और बाग़ अंगूर के और ज़ैतून के और अनार के आपस में मिलते-जुलते और जुदा-जुदा भी, हर एक फल को देखो जब वह फलता है और उसके पकने को देखो जब वह पकता है, बेशक इनके अंदर निशानियाँ हैं उन लोगों के लिए जो ईमान की तलब रखते हैं।
Indeed, your Lord is most knowing of who strays from His way, and He is most knowing of the [rightly] guided.
Bil yaqeen aap ka rab unn ko khoob janta hai jo iss ki raah say bey raah ho jata hai. Aur woh unn ko bhi khoob janta hai jo uss ki raah per chaltay hain.
बेशक आपका रब ख़ूब जानता है उनको जो अपने रास्ते से भटके हुए हैं और वही ख़ूब जानता है उनको जो राह पाए हुए हैं।
And why should you not eat of that upon which the name of Allah has been mentioned while He has explained in detail to you what He has forbidden you, excepting that to which you are compelled. And indeed do many lead [others] astray through their [own] inclinations without knowledge. Indeed, your Lord - He is most knowing of the transgressors.
Aakhir kiya waja hai kay tum aisay janwar mein say na khao jiss per Allah ka naam liya gaya ho halankay Allah ney unn sab janwaron ki tafseel bata di hai jin ko tum per haram kiya hai magar woh bhi jab tum ko sakht zaroorat parr jaye to halal hai aur yeh yaqeeni baat hai kay boht say aadmi apney khayalaat per bila kissi sanad kay gumrah kertay hain. Iss mein koi shuba nahi kay Allah Taalaa hadd say nikal janey walon ko khoob janta hai.
और क्या वजह है कि तुम उस जानवर में से न खाओ जिस पर अल्लाह का नाम लिया गया; हालाँकि अल्लाह ने तफ़सील से बयान कर दी है वे चीजें जिनको उसने तुम पर हराम किया है, सिवाए इसके कि उसके लिए तुम मजबूर हो जाओ, और यक़ीनन बहुत-से लोग अपनी ख़्वाहिशात की वजह से (दूसरों को) गुमराह करते हैं बग़ैर किसी इल्म के, बेशक आपका रब ख़ूब जानता है हद से निकल जाने वालों को।
And leave what is apparent of sin and what is concealed thereof. Indeed, those who earn [blame for] sin will be recompensed for that which they used to commit.
Aur tum zahiri gunah ko bhi chor do aur baatini gunah ko chor do. Bila shuba jo log gunah ker rahey hain unn ko unn kay kiye ki un-qarib saza milay gi.
और तुम गुनाह के ज़ाहिर को भी छोड़ दो और उसके बातिन को भी, जो लोग गुनाह कमा रहे हैं उनको जल्द बदला मिल जाएगा उसका जो वे कर रहे थे।
And [mention, O Muhammad], the Day when He will gather them together [and say], "O company of jinn, you have [misled] many of mankind." And their allies among mankind will say, "Our Lord, some of us made use of others, and we have [now] reached our term, which you appointed for us." He will say, "The Fire is your residence, wherein you will abide eternally, except for what Allah wills. Indeed, your Lord is Wise and Knowing."
Aur jiss roz Allah Taalaa tamam khalaeeq ko jama keray ga ( kahey ga ) aey jamat jinnaat ki! Tum ney insanon mein say boht say apna liye jo insan inn kay sath talluq rakhney walay thay woh kahen gay aey humaray perwerdigar hum mein aik ney doosray say faeeda hasil kiya tha aur hum apni iss moyyen muddat tak aa phonchay jo tu ney humaray liye moyyen farmaee Allah farmaye ga kay tum sab ka thikana dozakh hai jiss mein hamesha raho gay haan agar Allah hi ko manzoor hoto doosri baat hai. Be-shak aap ka rab bari hikmat wala bara ilm wala hai.
और जिस दिन अल्लाह उन सबको जमा करेगा, ऐ जिन्नात के गिरोह! तुम बहुत-से इंसानों को गुमराह कर चुके, और इंसानों में से उनके साथी कहेंगे कि ऐ हमारे रब! हमने एक-दूसरे को इस्तेमाल किया और हम पहुँच गए अपनी उस मुद्दत को जो आपने हमारे लिए मुक़र्रर की थी, अल्लाह कहेगा कि अब तुम्हारा ठिकाना आग है हमेशा उसमें रहोगे मगर जो अल्लाह चाहे, बेशक आपका रब हिकमत वाला, इल्म वाला है।
Indeed, what you are promised is coming, and you will not cause failure [to Allah ].
Jiss cheez ka tum say wada kiya jata hai woh be-shak aaney wali cheez hai aur tum aajiz nahi ker saktay.
जिस चीज़ का तुम से वादा किया जा रहा है वह आकर रहेगी और तुम (अल्लाह को) आजिज़ नहीं कर सकते।
And of the camels, two and of the cattle, two. Say, "Is it the two males He has forbidden or the two females or that which the wombs of the two females contain? Or were you witnesses when Allah charged you with this? Then who is more unjust than one who invents a lie about Allah to mislead the people by [something] other than knowledge? Indeed, Allah does not guide the wrongdoing people."
Aur oont mein do qisam aur gaye mein do qisam aap kahiye kay kiya Allah Taalaa ney inn dono narron ko haram kiya hai ya dono maada ko? Ya uss ko jiss ko dono maada pet mein liye huye hon? Kiya tum hazir thay jiss waqt Allah Taalaa ney tum ko iss ka hukum diya? To uss say ziyada kaun zalim hoga jo Allah Taalaa per bila daleel jhooti tohmat lagaye takay logon ko gumrah keray yaqeenan Allah Taalaa zalim logon ko raasta nahi dikhlata.
और इसी तरह दो ऊँट की क़िस्म से हैं और दो गाय की क़िस्म से, आप पूछिए कि दोनों नर अल्लाह ने हराम किए हैं या दोनों मादा या वे बच्चे जो ऊँटनी और गाय के पेट में हों, क्या तुम उस वक़्त हाज़िर थे जब अल्लाह ने तुमको इसका हुक्म दिया था? फिर उससे ज़्यादा ज़ालिम कौन है जो अल्लाह पर झूठा बोहतान बाँधे ताकि वे लोगों को बहका दे बग़ैर इल्म के, बेशक अल्लाह ज़ालिमों को राह नहीं दिखाता।
Indeed, those who have divided their religion and become sects - you, [O Muhammad], are not [associated] with them in anything. Their affair is only [left] to Allah ; then He will inform them about what they used to do.
Be-shak jin logon ney apney deen ko juda juda ker diya aur giroh giroh bann gaye aap ka unn say koi talluq nahi bus unn ka moamla Allah Taalaa kay hawalay hai. Phir inn ko inn ka kiya hua jatla den gay.
जिन्होंने अपने दीन में राहें निकाल लीं और गिरोहों में बट गए आपका उनसे कुछ भी तअल्लुक़ नहीं, उनका मामला अल्लाह के हवाले है फिर वही उनको बता देगा जो वे करते थे।
Say, "Indeed, my prayer, my rites of sacrifice, my living and my dying are for Allah , Lord of the worlds.
Aap farma dijiye kay bil yaqeen meri namaz aur meri sari ibadat aur mera jeena aur mera marna yeh sab khalis Allah hi ka hai jo saray jahaan ka maalik hai.
कह दीजिए कि मेरी नमाज़ और मेरी क़ुर्बानी, मेरा जीना और मेरा मरना अल्लाह के ख़ातिर है जो सारे जहानों का रब है।
And it is He who has made you successors upon the earth and has raised some of you above others in degrees [of rank] that He may try you through what He has given you. Indeed, your Lord is swift in penalty; but indeed, He is Forgiving and Merciful.
Aur woh aisa hai jiss ney tum ko zamin mein khalifa banaya aur aik ka doosray per rutba barhaya takay tum ko aazmaye unn cheezon mein jo tum ko di hain. Bil yaqeen aap ka rab jald saza denay wala hai aur bil yaqeen woh waqaee bari maghfirat kerney wala meharbani kerney wala hai.
और वही है जिसने तुम्हें ज़मीन में एक-दूसरे का जानशीन बनाया और तुम में से एक का रुतबा दूसरे पर बुलंद किया; ताकि वह आज़माए तुमको अपने दिए हुए में, आपका रब जल्द सज़ा देने वाला और बेशक वह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
So he made them fall, through deception. And when they tasted of the tree, their private parts became apparent to them, and they began to fasten together over themselves from the leaves of Paradise. And their Lord called to them, "Did I not forbid you from that tree and tell you that Satan is to you a clear enemy?"
So inn dono ko fareb say neechay le aaya pus inn dono ney jab darakht ko chakha dono ki sharamgahen aik doosray kay roo baroo bey parda hogayen aur dono apney upper jannat kay pattay jor jor ker rakhne lagay aur inn kay rab ney inn ko pukara mein tum dono ko iss darakht say mana nahi ker chuka tha aur yeh na keh chuka kay shetan tumhara sareeh dushman hai?
पस माइल कर लिया उनको धोखे से, फिर जब दोनों ने दरख़्त का फल चखा तो उनकी शर्मगाहें उन पर खुल गईं और वे अपने को बाग़ के पत्तों से ढाँकने लगे, और उनके रब ने उनको पुकारा कि क्या मैंने तुम्हें उस दरख़्त से मना नहीं किया था और यह नहीं कहा था कि शैतान तुम्हारा खुला हुआ दुश्मन है।
And when they commit an immorality, they say, "We found our fathers doing it, and Allah has ordered us to do it." Say, "Indeed, Allah does not order immorality. Do you say about Allah that which you do not know?"
Aur woh log koi fahash kaam kertay hain to kehtay hain hum ney apney baap dada ko issi tareeq per paya hai aur Allah ney bhi hum ko yehi bataya hai. Aap keh dijiye kay Allah fahash baat ki taleem nahi deta kiya Allah kay zimmay aisi baat lagatay ho jiss ko tum sanad nahi rakhtay?
और जब वे कोई फ़हश (खुली बुराई) करते हैं तो कहते हैं कि हमने अपने बाप-दादा को इसी तरह करते हुए पाया है और अल्लाह ने हमको इसी का हुक्म दिया है, कह दें कि अल्लाह कभी बुरे काम का हुक्म नहीं देते, क्या तुम अल्लाह के ज़िम्मे वे बात लगाते हो जिसका तुम्हें कोई इल्म नहीं।
Indeed, those who deny Our verses and are arrogant toward them - the gates of Heaven will not be opened for them, nor will they enter Paradise until a camel enters into the eye of a needle. And thus do We recompense the criminals.
Jin logon ney humari aayaton ko jhutlaya aur inn say takbbur kiya unn kay liye aasman kay darwazay na kholay jayen gay aur woh log kabhi jannat mein na jayengay jab tak oont sui kay nakay kay andar say na chala jaye aur hum mujrim logon ko aisi hi saza detay hain.
बेशक जिन लोगों ने हमारी निशानियों को झुठलाया और उनसे तकब्बुर किया उनके लिए आसमान के दरवाज़े नहीं खोले जाएंगे और वे जन्नत में दाख़िल न होंगे जब तक कि ऊँट सूई के नाके में न घुस जाए, और हम मुजरिमों को ऐसी ही सज़ा देते हैं।
And the companions of the Fire will call to the companions of Paradise, "Pour upon us some water or from whatever Allah has provided you." They will say, "Indeed, Allah has forbidden them both to the disbelievers."
Aur dozakh walay jannat walon ko pukaren gay kay humaray upper thora pani hi daal do ya aur hi kuch dey do jo Allah ney tum ko dey rakha hai. Jannat walay kahen gay kay Allah Taalaa ney dono cheezon ki kafiron kay liye bandish ker di hai.
और दोज़ख़ के लोग जन्नत वालों को पुकारेंगे कि कुछ पानी हम पर भी डाल दो या उसमें से जो अल्लाह ने तुम्हें खाने को दे रखा है, वे कहेंगे कि अल्लाह ने उन दोनों चीज़ों को काफ़िरों के लिए हराम कर दिया है।
Indeed, your Lord is Allah , who created the heavens and earth in six days and then established Himself above the Throne. He covers the night with the day, [another night] chasing it rapidly; and [He created] the sun, the moon, and the stars, subjected by His command. Unquestionably, His is the creation and the command; blessed is Allah , Lord of the worlds.
Be-shak tumhara rab Allah hi hai jiss ney sab aasmanon aur zamin ko cheh roz mein peda kiya hai phir arsh per qaeem hua. Woh shab say din ko aisay tor per chupa deta hai kay woh shab uss din ko jaldi aa leti hai aur sooraj aur chand aur doosray sitaron ko peda kiya aisay tor per kay sab uss kay hukum kay tabey hain. Yaad rakho Allah hi kay liye khas hai khaliq hona aur haakim hona bari khoobiyon say bhara hua hai Allah jo tamam aalam ka perwerdigar hai.
बेशक तुम्हारा रब वही अल्लाह है जिसने आसमानों और ज़मीन को छः दिनों में पैदा किया फिर वह अर्श पर क़ायम हुआ, वह उढ़ाता है रात को दिन पर इस तरह कि दिन उसके पीछे लगा आता है दौड़ता हुआ, और (उसने पैदा किए) सूरज और चाँद और सितारे जो ताबेदार हैं उसके हुक्म के, याद रखो! उसी का काम है पैदा करना और हुक्म करना, बड़ी बरकत वाला है अल्लाह जो रब है सारे जहानों का।
And cause not corruption upon the earth after its reformation. And invoke Him in fear and aspiration. Indeed, the mercy of Allah is near to the doers of good.
Aur duniya mein iss kay iss ki durusti kerdi gaee hai fasaad mat phelao aur tum Allah ki ibadat kero uss say dartay huye aur umeed waar rehtay huye. Be-shak Allah Taalaa ki rehmat nek kaam kerney walon kay nazdik hai.
और ज़मीन में फ़साद न करो उसकी इस्लाह के बाद और उसी को पुकारो ख़ौफ़ और उम्मीद के साथ, यक़ीनन अल्लाह की रहमत नेक काम करने वालों से क़रीब है।
Said the eminent among the people of Pharaoh, "Indeed, this is a learned magician
Qom-e-firaon mein jo sardar log thay unhon ney kaha kay waqaee yeh shaks bara maahir jadoogar hai.
फ़िरऔन की क़ौम के सरदारों ने कहा कि यह शख़्स बड़ा माहिर जादूगर है।