And the magicians came to Pharaoh. They said, "Indeed for us is a reward if we are the predominant."
Aur woh jadoogar firaon kay pass hazir huye kehney lagay kay agar hum ghalib aaye to hum ko koi bara sila milay ga?
और जादूगर फ़िरऔन के पास आए, उन्होंने कहाः हमको ईनाम तो ज़रूर मिलेगा अगर हम ग़ालिब रहे।
Said Pharaoh, "You believed in him before I gave you permission. Indeed, this is a conspiracy which you conspired in the city to expel therefrom its people. But you are going to know.
Firaon kehney laga tum musa per eman laye hobaghair iss kay kay mein tum ko ijazat doon? Be-shak yeh saazish thi jiss per tumhara amal daramad hua hai iss shehar mein takay tum sab iss shehar say yahan kay rehney walon ko bahir nikal do. So abb tum ko haqeeqat maloom hui jati hai.
फ़िरऔन ने कहाः तुम लोग मूसा पर ईमान ले आए इससे पहले कि मैं तुम्हें इजाज़त दूँ यक़ीनन यह एक साज़िश है जो तुम लोगों ने शहर में इस ग़र्ज़ से की है कि तुम उसमें रहने वालों को वहाँ से निकाल दो, तो तुम जल्द जान लोगे।
Said Moses to his people, "Seek help through Allah and be patient. Indeed, the earth belongs to Allah . He causes to inherit it whom He wills of His servants. And the [best] outcome is for the righteous."
Musa ( alh-e-salam ) ney apni qom say farmaya Allah Taalaa ka sahara hasil kero aur sabar kero yeh zamin Allah Taalaa ki hai apney bandon mein say jiss ko chahaye woh maalik bana dey aur akheer kaamyabi unhi ki hoti hai jo Allah say dartay hain.
मूसा (अलै॰) ने अपनी क़ौम से कहा कि अल्लाह से मदद चाहो और सब्र करो, बेशक ज़मीन अल्लाह की है वह अपने बंदों में से जिसको चाहता है उसका वारिस बना देता है, और आख़िरी कामयाबी तो अल्लाह से डरने वालों ही के लिए है।
Indeed, those [worshippers] - destroyed is that in which they are [engaged], and worthless is whatever they were doing."
Yeh log jiss kaam mein lagay hain yeh tabah kiya jayega aur inn kay yeh kaam mehaz bey bunyad hai.
ये लोग जिस काम में लगे हुए हैं वह बरबाद होने वाला है और ये जो कुछ कर रहे हैं सब झूठा है।
And when Moses returned to his people, angry and grieved, he said, "How wretched is that by which you have replaced me after [my departure]. Were you impatient over the matter of your Lord?" And he threw down the tablets and seized his brother by [the hair of] his head, pulling him toward him. [Aaron] said, "O son of my mother, indeed the people oppressed me and were about to kill me, so let not the enemies rejoice over me and do not place me among the wrongdoing people."
Aur jab musa ( alh-e-salam ) apni qom ki taraf wapis aaye gussay aur ranj mein bharay huye to farmaya kay tum ney meray baad yeh bari buri janasheeni ki? Kiya apney rab kay hukum say pehlay hi tum ney jald baazi ker li aur jaldi say takhtiyan aik taraf rakhin aur apney bhai kay sir pakar ker unn ko apni taraf ghaseetney lagay. Haroon ( alh-e-salam ) ney kaha aey meray maa jaye! Inn logon ney mujh ko bey haqeeqat samjha aur qareeb tha kay mujh ko qatal ker dalen to tum mujh per dushmanon ko mat hansao aur mujh ko inn zalimon kay zail mein mat shumar kero.
और जब मूसा (अलै॰) रंज और ग़ुस्से में भरे हुए अपनी क़ौम की तरफ़ लौटे तो उन्होंने कहाः तुमने मेरे बाद मेरी बहुत बुरी जानशीनी की, क्या तुमने अपने रब के हुक्म से पहले ही जल्दी कर ली? और उसने तख़्तियाँ डाल दीं और वे अपने भाई का सर पकड़ कर उसको अपनी तरफ़ ख़ींचने लगे, हारून (अलै॰) ने कहाः ऐ मेरी माँ के बेटे! लोगों ने मुझे कमज़ोर समझा था और क़रीब था कि वे मुझको मार डालें, पस आप दुश्मनों को मेरे ऊपर हँसने का मौक़ा न दें और मुझको ज़ालिमों के साथ शामिल न करें।
Indeed, those who took the calf [for worship] will obtain anger from their Lord and humiliation in the life of this world, and thus do We recompense the inventors [of falsehood].
Be-shak jin logon ney go sala parasti ki hai unn per boht jald unn kay rab ki taraf say ghazab aur zillat iss dunyawi zindagi hi mein paray gi aur hum iftra pardazon ko aisi hi saza diya kertay hain.
बेशक जिन लोगों ने बछड़े को माबूद बनाया उनको उनके रब का ग़ज़ब पहुँचेगा और ज़िल्लत दुनिया की ज़िंदगी में, और हम ऐसा ही बदला देते हैं झूठ बाँधने वालों को।
But those who committed misdeeds and then repented after them and believed - indeed your Lord, thereafter, is Forgiving and Merciful.
Aur jin logon ney gunah kay kaam kiye phir woh inn kay baad tauba ker len aur eman ley aayen to tumhara rab iss tauba kay baad gunah moaf ker denay wala rehmat kerney wala hai.
और जिन लोगों ने बुरे काम किए फिर उसके बाद तौबा की और ईमान लाए तो बेशक उसके बाद आपका रब बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And [mention] when your Lord declared that He would surely [continue to] send upon them until the Day of Resurrection those who would afflict them with the worst torment. Indeed, your Lord is swift in penalty; but indeed, He is Forgiving and Merciful.
Aur woh waqt yaad kerna chahaiye kay aap kay rab ney yeh baat batla di kay woh inn yahud per qayamat tak aisay shaks ko zaroor musallat kerta rahey ga jo inn ko sazay-e-shadeed ki takleef phonchata rahey ga bila shuba aap ka rab jaldi hi saza dey deta hai aur bila shuba woh waqaee bari maghfirat aur bari rehmat wala hai.
और जब आपके रब ने ऐलान कर दिया कि वे उन (यहूद) पर क़यामत के दिन तक ज़रूर ऐसे लोग भेजता रहेगा जो उनको निहायत बुरा अज़ाब देंगे, बेशक आप का रब जल्द सज़ा देने वाला है और बेशक वह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And I will give them time. Indeed, my plan is firm.
Aur unn ko mohlat deta hun be-shak meri tadbeer bari mazboot hai.
और मैं उनको ढील देता हूँ, यक़ीन जानो कि मेरी ख़ुफ़िया तदबीर बड़ी मज़बूत है।
Indeed, those you [polytheists] call upon besides Allah are servants like you. So call upon them and let them respond to you, if you should be truthful.
Waqaee tum Allah ko chor ker jin ki ibadat kertay ho woh bhi tum hi jaisay banday hain so tum unn ko pukaro phir unn ko chahaiye kay tumhara kehna ker den agar tum sachay ho.
जिनको तुम अल्लाह के सिवा पुकारते हो वे तुम्हारे ही जैसे बंदे हैं, पस तुम उनको पुकारो फिर वे तुम्हें जवाब दें अगर तुम सच्चे हो।
Indeed, my protector is Allah , who has sent down the Book; and He is an ally to the righteous.
Yaqeenan mera madadgar Allah Taalaa hai jiss ney yeh kitab nazil farmaee aur woh nek bandon ki madad kerta hai.
यक़ीनन मेरा कारसाज़ तो अल्लाह है जिसने किताब उतारी है और वही कारसाज़ी करता है, नेक बंदों की।
Indeed, those who fear Allah - when an impulse touches them from Satan, they remember [Him] and at once they have insight.
Yaqeenan jo log khud taras hain jab unn ko koi khatra shetan ki taraf say aajata hai to woh yaad mein lag jatay hain so yakayak unn ki aankhen khul jati hain.
जो लोग डर रखते हैं जब कभी शैतान के असर से कोई बुरा ख़्याल उन्हें छू जाता है तो वे फ़ौरन चौंक पड़ते हैं और फिर उसी वक़्त उनको सूझ आ जाती है।
Indeed, those who are near your Lord are not prevented by arrogance from His worship, and they exalt Him, and to Him they prostrate.
Yaqeenan jo teray rab kay nazdeek hain woh uss ki ibadat say takabbur nahi kertay aur uss ki paki biyan kertay hain aur uss ko sajda kertay hain.
जो (फ़रिश्ते) आपके रब के पास हैं वह उसकी इबादत से तकब्बुर नहीं करते और वे उसकी पाक ज़ात को याद करते हैं और उसी को सज्दा करते हैं।
And Allah made it not but good tidings and so that your hearts would be assured thereby. And victory is not but from Allah . Indeed, Allah is Exalted in Might and Wise.
Aur Allah Taalaa ney yeh imdad mehaz iss lie ki kay bisharat ho aur takay tumharay dilon ko qarar ho jaye aur madad sirf Allah hi ki taraf say hai jo kay zabardast hikmat wala hai.
और यह अल्लाह ने इसलिए किया कि तुम्हारे लिए ख़ुश-ख़बरी हो और ताकि तुम्हारे दिल उससे मुतमइन हो जाएं, और मदद तो अल्लाह ही के पास से आती है, यक़ीनन अल्लाह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
And you did not kill them, but it was Allah who killed them. And you threw not, [O Muhammad], when you threw, but it was Allah who threw that He might test the believers with a good test. Indeed, Allah is Hearing and Knowing.
So tum ney unhen qatal nahi kiya lekin Allah Taalaa ney unhen qatal kiya. Aur aap ney khaak ki muthi nahi phenki bulkay Allah Taalaa ney woh phenki aur takay musalmanon ko apni taraf say unn ki mehnat ka khoob ewaz dey bila shuba Allah Taalaa khoob sunnay wala khoob jannay wala hai.
पस उनको तुमने क़त्ल नहीं किया बल्कि अल्लाह ने उन्हें क़त्ल किया, और जब आपने उन पर ख़ाक फेंकी तो आप ने नहीं फेंकी बल्कि अल्लाह ने फेंकी ताकि अल्लाह अपनी तरफ़ से ईमान वालों पर ख़ूब एहसान करे, बेशक अल्लाह सुनने वाला, जानने वाला है।
Indeed, the worst of living creatures in the sight of Allah are the deaf and dumb who do not use reason.
Be-shak bad tareen khaleeq Allah Taalaa kay nazdeek woh log hain jo behray hain goongay hain jo kay ( zara ) nahi samajhtay.
यक़ीनन अल्लाह के नज़दीक बदतर जानवर वे बहरे-गूँगे लोग हैं जो अक़्ल से काम नहीं लेते।
Indeed, those who disbelieve spend their wealth to avert [people] from the way of Allah . So they will spend it; then it will be for them a [source of] regret; then they will be overcome. And those who have disbelieved - unto Hell they will be gathered.
Bila shak yeh kafir log apne maalon ko iss liye kharch ker rahey hain kay Allah ki raah say roken so yeh lo to apney maalon ko kharach kertay hi rahen gay phir woh maal inn kay haq mein baees-e-hasrat hojayen gay. Phir maghloob hojayen gay aur kafir logon ko dozakh ki taraf jama kiya jayega.
बेशक जिन लोगों ने इनकार किया वे अपने माल को इसलिए ख़र्च करते हैं कि लोगों को अल्लाह की राह से रोकें और वे उसको ख़र्च करते रहेंगे फिर यह उनके लिए हसरत (का सबब) बनेगा फिर वे मग़लूब किए जाएंगे, और जिन्होंने इनकार किया उनको जहन्नम की तरफ़ इकट्ठा किया जाएगा।
And obey Allah and His Messenger, and do not dispute and [thus] lose courage and [then] your strength would depart; and be patient. Indeed, Allah is with the patient.
Aur Allah ki aur uss kay rasool ki farman bardari kertay raho aapas mein ikhtilaf na kero werna buzdil hojao gay aur tumhari hawa ukhar jaye gi aur sabar-o-sahaar rakho yaqeenan Allah Taalaa sabar kerney walon kay sath hai.
और इताअत करो अल्लाह की और उसके रसूल की और आपस में झगड़ा न करो वर्ना तुम्हारे अंदर कमज़ोरी आ जाएगी और तुम्हारी हवा उखड़ जाएगी, और सब्र करो बेशक अल्लाह सब्र करने वालों के साथ है।
[Theirs is] like the custom of the people of Pharaoh and of those before them. They disbelieved in the signs of Allah , so Allah seized them for their sins. Indeed, Allah is Powerful and severe in penalty.
Misil friaoniyon kay haal kay aur unn say aglon kay, kay unhon ney Allah ki aayaton kay sath kufur kiya pus Allah ney unn kay gunahon kay baees unehn pakar liya. Allah Taalaa yaqeenan qooat wala aur sakht azab wala hai.
फ़िरऔन के लोगों की तरह और जो उनसे पहले थे, कि उन्होंने अल्लाह की निशानियों का इनकार किया पस अल्लाह ने उनके गुनाहों पर उनको पकड़ लिया, बेशक अल्लाह क़ुव्वत वाला, सख़्त सज़ा देने वाला है।
Indeed, the worst of living creatures in the sight of Allah are those who have disbelieved, and they will not [ever] believe -
Tamam jaandaron say badtar Allah kay nazdik woh hain jo kufur keren phir woh eman na layen.
बेशक सब जानदारों में बदतरीन अल्लाह के नज़दीक वे लोग हैं जिन्होंने इनकार किया और वे ईमान नहीं लाते।
If you [have reason to] fear from a people betrayal, throw [their treaty] back to them, [putting you] on equal terms. Indeed, Allah does not like traitors.
Aur agar tujhay kissi qom ki khayanat ka darr ho to barabari ki haalat mein unn ka ehad naama tor dey Allah Taalaa khayanat kerney walon ko pasand nahi farmata.
और अगर आपको किसी क़ौम से बद-अहदी का डर हो तो उनका अहद उनकी तरफ़ फेंक दो इस तरह कि तुम और वे बराबर हो जाएं, बेशक अल्लाह बद-अहदों को पसंद नहीं करता।
So consume what you have taken of war booty [as being] lawful and good, and fear Allah . Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Pus jo kuch halal aur pakeezah ghanimat tum ney hasil ki hai khoob khao piyo aur Allah say dartay raho yaqeenan Allah ghafoor-o-rahim hai.
पस जो माल तुमने लिया है उसको खाओ (वह) तुम्हारे लिए हलाल और पाक है और अल्लाह से डरो, बेशक अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
Indeed, those who have believed and emigrated and fought with their wealth and lives in the cause of Allah and those who gave shelter and aided - they are allies of one another. But those who believed and did not emigrate - for you there is no guardianship of them until they emigrate. And if they seek help of you for the religion, then you must help, except against a people between yourselves and whom is a treaty. And Allah is Seeing of what you do.
Jo log eman laye aur hijrat ki aur apney maalon aur janon say Allah ki raah mein jihad kiya aur jin logon ney inn ko panah di aur madad ki yeh sab aapas mein aik doosray kay rafiq hain aur jo eman to layen hain lekin hijrat nahi ki tumharay liye inn ki kuch bhi rafaqat nahi jabtak kay woh hijrat na keren. Haan agar woh tum say deen kay baray mein madad talab keren to tum per madad kerna zaroori hai siwaye inn logon kay kay tum mein aur inn mein ehad-o-payman hai tum jo kuch ker rahey ho Allah khoob dekhta hai.
जो लोग ईमान लाए और जिन्होंने हिजरत की और अल्लाह की राह में अपने माल व जान से जिहाद किया और वे लोग जिन्होंने पनाह दी और मदद की, वे लोग आपस में एक-दूसरे के दोस्त हैं, और जो लोग ईमान लाए मगर उन्होंने हिजरत नहीं की तो उनसे तुम्हारा दोस्ती का कोई तअल्लुक़ नहीं जब तक कि वे हिजरत करके न आ जाएं, और वे तुमसे दीन के मामले में मदद माँगें तो तुम पर उनकी मदद करना वाजिब है सिवाए उसके कि यह मदद ऐसी क़ौम के ख़िलाफ़ हो जिसके साथ तुम्हारा मुआहिदा है, और जो कुछ तुम करते हो अल्लाह उसको देख रहा है।
And those who believed after [the initial emigration] and emigrated and fought with you - they are of you. But those of [blood] relationship are more entitled [to inheritance] in the decree of Allah . Indeed, Allah is Knowing of all things.
Aur jo log iss kay baad eman laye aur hijrat ki aur tumharay sath hoker jihad kiya. Pus yeh log bhi tum mein say hi hain aur rishtay naatay walay inn mein say baaz baaz ziyada nazdeek hain Allah kay hukum mein be-shak Allah Taalaa her cheez ka jannay wala hai.
और जो लोग बाद में ईमान लाए और हिजरत की और तुम्हारे साथ मिलकर जिहाद किया वे भी तुम में से हैं, और ख़ून के रिश्तेदार एक-दूसरे के ज़्यादा हक़दार हैं अल्लाह की किताब में, बेशक अल्लाह हर चीज़ का जानने वाला है।
Excepted are those with whom you made a treaty among the polytheists and then they have not been deficient toward you in anything or supported anyone against you; so complete for them their treaty until their term [has ended]. Indeed, Allah loves the righteous [who fear Him].
Ba-juz unn mushrikon kay jin say tumhara mohaeeda ho chuka hai aur unhon ney tumhen zara sa bhi nuksan nahi phonchaya na kissi ki tumharay khilaf madad ki hai to tum bhi unn kay mohaeeday ki muddat unn kay sath poori kero Allah Taalaa perhezgaron ko dost rakhta hai.
मगर जिन मुशरिकों से तुम ने मुआहिदा किया था फिर उन्होंने तुम्हारे साथ कोई कमी नहीं की और न तुम्हारे ख़िलाफ़ किसी की मदद की तो उनका मुआहिदा उनकी मुद्दत तक पूरा करो, बेशक अल्लाह परहेज़गारों को पसंद करता है।
And when the sacred months have passed, then kill the polytheists wherever you find them and capture them and besiege them and sit in wait for them at every place of ambush. But if they should repent, establish prayer, and give zakah, let them [go] on their way. Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Phir hurmat walay maheenon kay guzartay hi mushrikon ko jahan pao qatal kero unhen giriftar kero unn ka mahasra kerlo aur unn ki taaq mein her ghaati mein ja betho haan agar woh tauba kerlen aur namaz kay paband hojayen aur zakar ada kerney lagen to tum unn ki rahen chor do. Yaqeenan Allah Taalaa bakhshney wala meharban hai.
फिर जब हुरमत वाले महीने गुज़र जाएं तो मुशरिकीन को क़त्ल करो जहाँ तुम उनको पाओ और उनको पकड़ो और उनको घेरो और बैठो हर जगह उनकी घात में, फिर अगर वे तौबा कर लें और नमाज़ क़ायम करें और ज़कात अदा करें तो उन्हें छोड़ दो, बेशक अल्लाह बख़शने वाला, मेहरबान है।
How can there be for the polytheists a treaty in the sight of Allah and with His Messenger, except for those with whom you made a treaty at al-Masjid al-Haram? So as long as they are upright toward you, be upright toward them. Indeed, Allah loves the righteous [who fear Him].
Mushrikon kay liye ehad Allah aur uss kay rasool kay nazdeek kaisay reh sakta hai siwaye unn kay jin say tum ney ehad-o-paymaan masjid-e-haram kay pass kiya hai jab tak woh log tum say wada nibhayen tum bhi unn say wafa daari kero Allah Taalaa muttaqiyon say mohabbat rakhta hai.
उन मुशरिकीन के लिए अल्लाह और उसके रसूल के ज़िम्मे कोई अहद कैसे रह सकता है मगर जिन लोगों से तुमने अहद किया था मस्जिदे-हराम के पास, पस जब तक वे तुमसे सीधे रहें तुम भी उनसे सीधे रहो, बेशक अल्लाह परहेज़गारों को पसंद करता है।
[They will be] abiding therein forever. Indeed, Allah has with Him a great reward.
Wahan yeh hamesha rehney walay hain Allah kay pass yaqeenan boht baray sawab hain.
उनमें वे हमेशा रहेंगे, बेशक अल्लाह ही के पास बड़ा अज्र है।
O you who have believed, indeed the polytheists are unclean, so let them not approach al-Masjid al-Haram after this, their [final] year. And if you fear privation, Allah will enrich you from His bounty if He wills. Indeed, Allah is Knowing and Wise.
Aey eman walo! Be-shak mushrik bilkul hi na pak hain woh iss saal kay baad masjid-e-haram kay pass bhi na phatakney payen agar tumhen muflisi ka khof hai to Allah tumhen dolat mand ker dey ga apney fazal say agar chahaye Allah ilm-o-hikmat wala hai.
ऐ ईमान वालो! मुशरिकीन बिल्कुल नापाक हैं पस वे इस साल के बाद मस्जिदे-हराम के पास न आएं, और अगर तुमको मुफ़लिसी का अंदेशा हो तो अगर अल्लाह चाहेगा तो अपने फ़ज़्ल से तुमको बेनियाज़ कर देगा, बेशक अल्लाह जानने वाला, हिकमत वाला है।
O you who have believed, indeed many of the scholars and the monks devour the wealth of people unjustly and avert [them] from the way of Allah . And those who hoard gold and silver and spend it not in the way of Allah - give them tidings of a painful punishment.
Aey eman walo! Aksar ulama aur abid logon ka maal na haq kha jatay hain aur Allah ki raah say rok detay hain aur jo log soney chandi ka khazana rakhtay hain aur Allah ki raah mein kharach nahi kertay unhen dard naak azab ki khabar phoncha dijiye.
ऐ ईमान वालो! बेशक अहले-किताब के अकसर उलमा और मशाइख़ लोगों के माल बातिल तरीक़ों से खाते हैं और लोगों को अल्लाह के रास्ते से रोकते हैं, और जो लोग सोना और चाँदी जमा करके रखते हैं और उनको अल्लाह की राह में ख़र्च नहीं करते उनको एक दर्दनाक अज़ाब की ख़ुश-ख़बरी दे दीजिए।
Indeed, the number of months with Allah is twelve [lunar] months in the register of Allah [from] the day He created the heavens and the earth; of these, four are sacred. That is the correct religion, so do not wrong yourselves during them. And fight against the disbelievers collectively as they fight against you collectively. And know that Allah is with the righteous [who fear Him].
Maheenon ki ginti Allah kay nazdeek kitab Allah mein baara ki hai ussi din say jab say aasman-o-zamin ko uss ney peda kiya hai inn mein say char hurmat-o-adab kay hain. Yehi durust deen hai tum inn maheenon mein apni janon per zulm na kero aur tum tamam mushrikon say jihad kero jaisay kay woh tum sab say lartay hain aur jaan rakho kay Allah Taalaa muttaqiyon kay sath hai.
बेशक महीनों की गिनती अल्लाह के नज़दीक बारह महीने हैं अल्लाह की किताब में जिस दिन उसने आसमानों और ज़मीन को पैदा किया, उनमें से चार हुरमत वाले हैं, यही है सीधा दीन पस उनमें तुम अपने ऊपर ज़ुल्म न करो, और मुशरिकों से सब मिलकर लड़ो जिस तरह वे सब मिलकर तुमसे लड़ते हैं, और जान लो कि अल्लाह परहेज़गारों के साथ है।
If you do not aid the Prophet - Allah has already aided him when those who disbelieved had driven him out [of Makkah] as one of two, when they were in the cave and he said to his companion, "Do not grieve; indeed Allah is with us." And Allah sent down his tranquillity upon him and supported him with angels you did not see and made the word of those who disbelieved the lowest, while the word of Allah - that is the highest. And Allah is Exalted in Might and Wise.
Agar tum inn ( nabi PBUH ) ki madad na kero yo Allah hi ney inn ki madad ki uss waqt jabkay enhen kafiron ney ( dess say ) nikal diya tha do mein say doosra jabkay woh dono ghaar mein thay jab yeh apney sathi say keh rahey thay kay ghum na ker Allah humaray sath hai pus janab-e-baari ney apni taraf say taskeen uss per nazil farma ker unn lashkaron say unn ki madad ki jinhen tum ney dekha hi nahi uss ney kafiron ki baat pust ker di aur buland-o-aziz to Allah ka kalma hi hai Allah ghalib hai hikmat wala hai.
अगर तुम रसूल की मदद न करोगे तो अल्लाह ख़ुद उसकी मदद कर चुका है जबकि काफ़िरों ने उसको निकाल दिया था, वह सिर्फ़ दो में का दूसरा था जब वे दोनों ग़ार में थे, जब वह अपने साथी से कह रहा था कि ग़म न करो बेशक अल्लाह हमारे साथ है, पस अल्लाह ने उस पर अपनी सकीनत नाज़िल फ़रमाई और उसकी मदद ऐसे लश्करों से की जो तुमको नज़र न आते थे और अल्लाह ने काफ़िरों की बात नीची कर दी, और अल्लाह की बात तो ऊँची है, और अल्लाह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
They hypocrites are apprehensive lest a surah be revealed about them, informing them of what is in their hearts. Say, "Mock [as you wish]; indeed, Allah will expose that which you fear."
Mufiqon ko her waqt iss baat ka khutka laga rehta hai kay kahin musalmanon per koi surat na utray jo inn kay dilon ki baaten unhen batla dey. Keh dijiye kay tum mazaq uratay raho yaqeenan Allah Taalaa ussay zahir kerney wala hai jiss say tum darr dubak rahey ho.
मुनाफ़िक़ीन डरते हैं कि कहीं उन (मुसलमानों) पर ऐसी सूरत नाज़िल न हो जाए जो उनको उनके दिलों के भेदों से आगाह कर दे, कह दीजिए कि तुम मज़ाक़ उड़ा लो, अल्लाह यक़ीनन ज़ाहिर कर देगा जिससे तुम डरते हो।
The hypocrite men and hypocrite women are of one another. They enjoin what is wrong and forbid what is right and close their hands. They have forgotten Allah , so He has forgotten them [accordingly]. Indeed, the hypocrites - it is they who are the defiantly disobedient.
Tamam munafiq mard-o-aurat aapas mein aik hi hain yeh buri baaton ka hukum detay hain aur bhali baaton say roktay hain aur apni muthi band rakhtay hain yeh Allah ko bhool gaye enhen bhula diya be-shak munafiq hi fasiq-o-ba-dkirdar hain.
मुनाफ़िक़ मर्द और मुनाफ़िक़ औरतें सब एक तरह के हैं, वे बुराई का हुक्म देते हैं और भलाई से मना करते हैं और अपने हाथों को बंद रखते हैं, उन्होंने अल्लाह को भुला दिया तो अल्लाह ने भी उनको भुला दिया, बेशक मुनाफ़िक़ीन बहुत नाफ़रमान हैं।
The believing men and believing women are allies of one another. They enjoin what is right and forbid what is wrong and establish prayer and give zakah and obey Allah and His Messenger. Those - Allah will have mercy upon them. Indeed, Allah is Exalted in Might and Wise.
Momin mard-o-aurat aapas mein aik doosray kay ( madadgar-o-maavin aur ) dost hain woh bhalaiyon ka hukum detay hain aur buraiyon say roktay hain namazon ko pabandi say baja latay hain zakat ada kertay hain Allah ki aur uss kay rasool ki baat maantay hain yehi log hain jin per Allah Taalaa both jald reham faramaye ga be-shak Allah ghalbay wala hikmat wala hai.
और मोमिन मर्द और मोमिन औरतें एक-दूसरे के मददगार हैं, वे भलाई का हुक्म देते हैं और बुराई से रोकते हैं और नमाज़ क़ायम करते हैं और ज़कात अदा करते हैं और अल्लाह और उसके रसूल की इताअत करते हैं, यही लोग हैं जिन पर अल्लाह रहम करेगा, बेशक अल्लाह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
But among the bedouins are some who believe in Allah and the Last Day and consider what they spend as means of nearness to Allah and of [obtaining] invocations of the Messenger. Unquestionably, it is a means of nearness for them. Allah will admit them to His mercy. Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Aur baaz ehal-e-dehaat mein aisay bhi hain jo Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhtay hain aur jo kuch kharach kertay hain inn ko indallah qurb hasil honey ka zariya aur rasool ki dua ka zariya banatay hain yaad rakho kay inn kay yeh kharach kerna be-shak inn kay liye mojib-e-qurbat hai inn ko Allah Taalaa zaroor apni remat mein dakhil keray ga Allah Taalaa bari maghfirat wala bari rehmat wala hai.
और देहातियों में से कुछ वे भी हैं जो अल्लाह पर और आख़िरत के दिन पर ईमान रखते हैं और जो कुछ ख़र्च करते हैं उसको अल्लाह के यहाँ क़ुर्ब का और रसूल की दुआएं लेने का ज़रिया बनाते हैं, हाँ बेशक वह उनके लिए क़ुर्ब का ज़रिया है। अल्लाह उनको अपनी रहमत में दाख़िल करेगा, यक़ीनन अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
And [there are] others who have acknowledged their sins. They had mixed a righteous deed with another that was bad. Perhaps Allah will turn to them in forgiveness. Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Aur kuch aur log hain jo apni khata kay iqrari hain jinhon ney milay julay amal kiye thay kuch bhalay aur kuch buray Allah say umeed hai kay unn ki toba qabool farmaye. Bila shuba Allah Taalaa bari maghfirat wala bari rehmat wala hai.
कुछ और लोग हैं जिन्होंने अपने क़सूरों का एतराफ़ कर लिया है, उन्होंने मिले-जुले अमल किए थे, कुछ भले और कुछ बुरे, उम्मीद है कि अल्लाह उन पर तवज्जोह करे, बेशक अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
Take, [O, Muhammad], from their wealth a charity by which you purify them and cause them increase, and invoke [ Allah 's blessings] upon them. Indeed, your invocations are reassurance for them. And Allah is Hearing and Knowing.
Aap inn kay maalon mein sadqa ley lijiye jiss kay zariye say aap inn ko pak saaf ker den aur inn kay liye dua kijiye bila shuba aap ki dua inn kay liye mojib-e-itminaan hai aur Allah Taalaa khoob sunta hai khoob janta hai.
आप उनके मालों में से सदक़ा लीजिए जिससे आप उनको पाक करोगे और उसके ज़रिए उनका तज़किया करोगे, और आप उनके लिए दुआ कीजिए बेशक आपकी दुआ उनके लिए तस्कीन का सबब होगी, और अल्लाह सब कुछ सुनने वाला, जानने वाला है।
Indeed, Allah has purchased from the believers their lives and their properties [in exchange] for that they will have Paradise. They fight in the cause of Allah , so they kill and are killed. [It is] a true promise [binding] upon Him in the Torah and the Gospel and the Qur'an. And who is truer to his covenant than Allah ? So rejoice in your transaction which you have contracted. And it is that which is the great attainment.
Bila shuba Allah Taalaa ney musalmanon say unn ki janon ko aur unn kay maalon ko iss baat kay ewaz mein khareed liya hai kay unn ko jannat milay gi. Woh log Allah ki raah mein lartay hain jiss mein qatal kertay hain aur qatal kiye jatay hain iss per sacha wada kiya gaya hai toraat mein aur injeel mein aur quran mein aur Allah say ziyada apney ehad ko kaun poora kerney wala hai to tum log apni iss bey per jiss ka tum ney moamla thehraya hai khsuhi manao aur yeh bari kaamyabi hai.
बेशक अल्लाह ने मोमिनों से उनकी जान और उनके माल को ख़रीद लिया है जन्नत के बदले, वे अल्लाह की राह में लड़ते हैं फिर मारते हैं और मारे जाते हैं, यह अल्लाह के ज़िम्मे एक सच्चा वादा है तौरात में और इंजील में और क़ुरआन में, और अल्लाह से बढ़कर अपने वादे को पूरा करने वाला कौन है, पस तुम ख़ुशियाँ मनाओ उस मामले पर जो तुमने अल्लाह से किया है, और यही सबसे बड़ी कामयाबी है।
And the request of forgiveness of Abraham for his father was only because of a promise he had made to him. But when it became apparent to Abraham that his father was an enemy to Allah , he disassociated himself from him. Indeed was Abraham compassionate and patient.
Aur ibrahim ( alh-e-salam ) ka apney baap kay liye dua-e-maghfirat maangna woh sirf wada kay sabab say tha jo unhon ney uss say wada ker liya tha phir jab unn per yeh baat zahir hogaee kay woh Allah ka dushman hai to woh iss say mehaz mehaz bey talluq hogaye waqaee ibrahim ( alh-e-salam ) baray naram dil aur burd baar thay.
और इब्राहीम (अलै॰) का अपने वालिद के लिए मग़फ़िरत की दुआ मांगना सिर्फ़ उस वादे की वजह से था जो उन्होंने उससे कर लिया था, फिर जब उन पर खुल गया कि वह अल्लाह का दुश्मन है तो वे उससे बे-तअल्लुक़ हो गए, बेशक इब्राहीम बड़े नरम-दिल, बुर्दबार थे।
And Allah would not let a people stray after He has guided them until He makes clear to them what they should avoid. Indeed, Allah is Knowing of all things.
Aur Allah aisa nahi kerta kay kissi qom ko hidayat ker kay baad mein gumrah kerdey jab tak kay unn cheezon ko saaf saaf na batla dey jin say woh bachen be-shak Allah Taalaa her cheez ko khoob janta hai.
और अल्लाह किसी क़ौम को उसको हिदायत देने के बाद गुमराह नहीं करता जब तक उनको साफ़-साफ़ वे चीज़ें न बता दे जिनसे उन्हें बचना है, बेशक अल्लाह हर चीज़ का इल्म रखता है।
Indeed, to Allah belongs the dominion of the heavens and the earth; He gives life and causes death. And you have not besides Allah any protector or any helper.
Bila shuba Allah hi ki saltanat hai aasmanon aur zamin mein. Wohi jilata aur maarta hai aur tumhara Allah kay siwa na koi yaar hai aur na koi madadgar hai.
बेशक अल्लाह ही की सल्तनत है आसमानों में और ज़मीन में, वही ज़िंदा करता है और वही मारता है, और अल्लाह के सिवा न तुम्हारा कोई दोस्त है और न कोई मददगार।
And [He also forgave] the three who were left behind [and regretted their error] to the point that the earth closed in on them in spite of its vastness and their souls confined them and they were certain that there is no refuge from Allah except in Him. Then He turned to them so they could repent. Indeed, Allah is the Accepting of repentance, the Merciful.
Aur teen shakson kay haal per bhi jin ka moamla multawee chor diya gaya tha. Yahan tak kay jab zamin ba-waajood apni farakhi kay unn per tang honey lagi aur woh khud apni jaan say tang aagaye aur unhon ney samajh liya kay Allah say kahin panah nahi mill sakti be-juz iss kay kay ussi ki taraf rujoo kiya jaye phir unn kay haal per tawajja farmaee takay woh aaeenda bhi toba ker saken. Be-shak Allah Taalaa boht toba qabool kerney wala aur bara reham wala hai.
और उन तीन शख़्सों के हाल पर भी जिनका मामला मुल्तवी छोड़ दिया गया था, यहाँ तक कि जब ज़मीन बावजूद अपनी वुसअत के उन पर तंग होने लगी और वे ख़ुद अपनी जान से तंग आ गए और उन्होंने समझ लिया कि अल्लाह से कहीं पनाह नहीं मिल सकती सिवाए इसके कि उसी की तरफ़ रुजूअ़ किया जाए, फिर अल्लाह ने उनके हाल पर तवज्जोह फ़रमाई ताकि वे आइंदा भी तौबा कर सकें, बेशक अल्लाह तौबा क़बूल करने वाला बड़ा रहम करने वाला है।
It was not [proper] for the people of Madinah and those surrounding them of the bedouins that they remain behind after [the departure of] the Messenger of Allah or that they prefer themselves over his self. That is because they are not afflicted by thirst or fatigue or hunger in the cause of Allah , nor do they tread on any ground that enrages the disbelievers, nor do they inflict upon an enemy any infliction but that is registered for them as a righteous deed. Indeed, Allah does not allow to be lost the reward of the doers of good.
Madinay kay rehney walon ko aur jo dehaati unn kay gird-o-paish mein hain unn ko yeh zaiba na tha kay rasool Allah ko chor ker peechay reh jayen aur na yeh kay apni jaan ko unn ki jaan say aziz samajhen yeh iss sabab say key inn ko Allah ki raah mein jo piyas lagi aur jo thakaan phonchi aur jo bhook lagi aur jo kissi aisi jagah chalay jo kuffaar kay liye mojib-e-ghaiz hua ho aur dushmanon ki jo kuch khabar li inn sab per inn kay naam ( aik aik ) nek kaam likh gaya. Yaqeenan Allah Taalaa mukhliseen ka ajar zaya nahi kerta.
मुनासिब नहीं था मदीना वालों और अतराफ़ के देहातियों के लिए कि वे अल्लाह के रसूल को छोड़ कर पीछे बैठे रहें और न यह कि अपनी जानों को उनकी जान से अज़ीज़ रखें, यह इसलिए कि जो प्यास और थकान और भूख भी उनको अल्लाह की राह में लाहिक़ होती है और जो क़दम भी वे काफ़िरों को रंज पहुँचाने वाला उठाते हैं और जो चीज़ भी वे दुश्मन से छीनते हैं उनके बदले में उनके लिए एक नेकी लिख दी जाती है, बेशक अल्लाह नेकी करने वालों का अज्र ज़ाया नहीं करता।
Have the people been amazed that We revealed [revelation] to a man from among them, [saying], "Warn mankind and give good tidings to those who believe that they will have a [firm] precedence of honor with their Lord"? [But] the disbelievers say, "Indeed, this is an obvious magician."
Kiya inn logon ko iss baat say tajjub hua kay hum ney inn mein say aik shaks kay pass wahee bhej di kay sab aadmiyon ko daraiye aur jo eman ley aaye unn ko yeh khushkhabri suniye kay inn kay rab kay pass inn ko poora ajar-o-martaba milay ga. Kafiron ney kaha yeh shaks to bila shuba sareeh jadoogar hai.
क्या लोगों को इस पर हैरत है कि हमने उन्हीं में से एक शख़्स पर वह्य की कि लोगों को डराओ और जो ईमान लाएं उनको ख़ुश-ख़बरी सुना दो कि उनके लिए उनके रब के पास सच्चा मर्तबा है, मुनकिरों ने कहा कि यह शख़्स तो खुला जादूगर है।
Indeed, your Lord is Allah , who created the heavens and the earth in six days and then established Himself above the Throne, arranging the matter [of His creation]. There is no intercessor except after His permission. That is Allah , your Lord, so worship Him. Then will you not remember?
Bila shuba tumhara rab Allah hi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko cheh roz mein peda ker diya phir arsh per qaeem hua woh her kaam ki tadbeer kerta hai. Uss ki ijazat kay baghair koi uss kay pass sifarish kerney wala nahi aisa Allah tumhara rab hai so tum uss ki ibadat kero kiya tum phir bhi nasihat nahi pakartay.
बेशक तुम्हारा रब अल्लाह है जिसने आसमानों और ज़मीन को छः दिनों (अदवार) में पैदा किया फिर वह अर्श पर क़ायम हुआ, वही मामलात का इंतिज़ाम करता है, उसकी इजाज़त के बग़ैर कोई सिफ़ारिश करने वाला नहीं, वही अल्लाह तुम्हारा रब है पस तुम उसी की इबादत करो, क्या तुम सोचते नहीं।
Indeed, in the alternation of the night and the day and [in] what Allah has created in the heavens and the earth are signs for a people who fear Allah
Bila shuna raat aur din kay yakay baad deegray aaney mein aur Allah Taalaa ney jo kuch aasmanon aur zamin mein peda kiya hai inn sab mein unn logon kay liye dalaeel hain jo Allah ka darr rakhtay hain.
यक़ीनन रात और दिन के उलट-फेर में और अल्लाह ने जो कुछ आसमानों और ज़मीन में पैदा किया उनमें उन लोगों के लिए निशानियाँ हैं जो डरते हैं।
Indeed, those who do not expect the meeting with Us and are satisfied with the life of this world and feel secure therein and those who are heedless of Our signs
Jin logon ko humaray pass aaney ka yaqeen nahi hai aur woh dunyawi zindagi per razi hogaye hain aur iss mein ji laga bethay hain aur jo log humari aayaton say ghafil hain.
बेशक जो लोग हमारी मुलाक़ात की उम्मीद नहीं रखते और दुनिया की ज़िंदगी पर राज़ी और मुतमइन हैं और जो हमारी निशानियों से बे-परवा हैं।
Indeed, those who have believed and done righteous deeds - their Lord will guide them because of their faith. Beneath them rivers will flow in the Gardens of Pleasure
Yaqeenan jo log eman laye aur unhon ney nek kaam kiye unn ka rab unn ko unn kay eman kay sabab unn kay maqsad tak phoncha dey ga nemat kay baghon mein jin key neechay nehren jari hongi.
बेशक जो लोग ईमान लाए और नेक काम किए, अल्लाह उनके ईमान की बदौलत उनको उनके मक़सद तक पहुँचा देगा, उनके नीचे नहरें बहती होंगी नेमत के बाग़ों में।
And when We give the people a taste of mercy after adversity has touched them, at once they conspire against Our verses. Say, " Allah is swifter in strategy." Indeed, Our messengers record that which you conspire
Aur jab hum logon ko iss amar kay baad kay inn per koi museebat parr chuki ho kissi nemat ka maza chakha detay hain to woh foran hi humari aayaton kay baray mein caalen chalney lagtay hain aap keh dijiye kay Allah chaal chalney mein tum say ziyada tez hai bil yaqeen humaray farishtay tumhari sab chaalon ko likh rahey hain.
और जब कोई तकलीफ़ पड़ने के बाद हम लोगों को अपनी रहमत का मज़ा चखाते हैं तो वे फ़ौरन हमारी निशानियों के मामले में बहाने बनाने लगते हैं, कह दीजिए कि अल्लाह अपनी तदबीरों में उनसे भी ज़्यादा तेज़ है, यक़ीनन हमारे फ़रिश्ते तुम्हारी बहाने बाज़ियों को लिख रहे हैं।