So the earthquake seized them, and they became within their home [corpses] fallen prone.
Pus unn ko zalzalay ney aa pakra so woh apney gharon mein ondhay kay ondhay paray reh gaye.
फिर उनको ज़लज़ले ने पकड़ लिया, पस वे अपने घर में औंधे मुँह पड़े रह गए।
And We sent to no city a prophet [who was denied] except that We seized its people with poverty and hardship that they might humble themselves [to Allah ].
Aur hum ney kissi basti mein koi nabi nahi bheja kay wahan kay rehney walon ko hum ney sakhti aur takleef mein na pakra hota kay woh girr girayen.
और हमने जिस बस्ती में भी कोई नबी भेजा उसके रहने वालों को हमने सख़्ती और तकलीफ़ में मुब्तला किया; ताकि वे गिड़गिड़ाएं।
And We made an appointment with Moses for thirty nights and perfected them by [the addition of] ten; so the term of his Lord was completed as forty nights. And Moses said to his brother Aaron, "Take my place among my people, do right [by them], and do not follow the way of the corrupters."
Aur hum ney musa ( alh-e-salam ) say tees raaton kay wada kiya aur dus raat mazeed say inn tees raaton ko poora kiya. So inn kay perwerdigar ka waqt pooray chalees raat ka hogaya. Aur musa ( alh-e-salam ) ney apney bhai haroon ( alh-e-salam ) say kaha kay meray baad inn kay intizam rakhna aur islah kertay rehna aur bad nazam logon ki raaye per amal mat kerna.
और हमने मूसा (अलै॰) से तीस रातों का वादा किया और उसको पूरा किया मज़ीद दस रातों से तो उसके रब की मुद्दत चालीस रातों में पूरी हुई, और मूसा (अलै॰) ने अपने भाई हारून (अलै॰) से कहाः मेरे पीछे तुम मेरी क़ौम में जानशीनी करना, इस्लाह करते रहना और बिगाड़ पैदा करने वालों के तरीक़े पर न चलना।
[Moses] said, "My Lord, forgive me and my brother and admit us into Your mercy, for You are the most merciful of the merciful."
Musa ( alh-e-salam ) ney kaha aey meray rab! Meri khata moaf farma aur meray bhai ki bhi aur hum dono ko apni rehmat mein dakhil farma aur tu sab reham kerney walon say ziyada reham kerney wala hai.
मूसा (अलै॰) ने कहाः ऐ मेरे रब! मुझे और मेरे भाई को माफ़ कर दीजिए और हमको अपनी रहमत में दाख़िल फ़रमाइए, और आप ही सबसे ज़्यादा रहम फ़रमाने वाले हैं।
And decree for us in this world [that which is] good and [also] in the Hereafter; indeed, we have turned back to You." [ Allah ] said, "My punishment - I afflict with it whom I will, but My mercy encompasses all things." So I will decree it [especially] for those who fear Me and give zakah and those who believe in Our verses -
Aur hum logon kay naam duniya mein bhi nek haali likh dey aur aakhirat mein bhi hum teri taraf rujoo kertay hain. Allah Taalaa ney farmaya kay mein apna azab ussi per waqey kerta hun aur meri rehmat tamam ashiya per moheet hai. To woh rehmat unn logon kay naam zaroor likhon ga jo Allah say dartay hain aur zakat detay hain aur jo humari aayaton per eman latay hain.
और आप हमारे लिए इस दुनिया में भी भलाई लिख दीजिए और आख़िरत में भी, हमने आपकी तरफ़ रुजूअ़ किया, अल्लाह ने कहाः मैं अपने अज़ाब में मुब्तला करता हूँ जिसको चाहता हूँ और मेरी रहमत शामिल है हर चीज़ को, पस मैं उसको लिख दूँगा उनके लिए जो डर रखते हैं और ज़कात अदा करते हैं और जो हमारी निशानियों पर ईमान लाते हैं।
Do they not look into the realm of the heavens and the earth and everything that Allah has created and [think] that perhaps their appointed time has come near? So in what statement hereafter will they believe?
Aur kiya inn logon ney ghor nahi kiya aasamanon aur zamin kay aalam mein aur doosri cheezon mein jo Allah ney peda ki hain aur iss baat mein kay mumkin hai kay unn ki ajal qarib hi aa phonchi ho. Phir quran kay baad konsi baat per yeh log eman layen gay?
क्या उन्होंने आसमानों और ज़मीन के निज़ाम पर नज़र नहीं की और जो कुछ अल्लाह ने पैदा किया है हर चीज़ से और इस बात पर कि शायद उनकी मुद्दत क़रीब आ गई हो, पस इसके बाद वे किस बात पर ईमान लाएंगे।
Whoever Allah sends astray - there is no guide for him. And He leaves them in their transgression, wandering blindly.
Jiss ko Allah Taalaa gumrah kerdey uss ko koi raah per nahi laa sakta. Aur Allah Taalaa unn ko unn ki gumrahi mein bhataktay huye chor deta hai.
अल्लाह जिसको गुमराह कर दे उसको कोई राह दिखाने वाला नहीं, और वह उनको उनकी सरकशी ही में भटकता हुआ छोड़ देता है।
And remember your Lord within yourself in humility and in fear without being apparent in speech - in the mornings and the evenings. And do not be among the heedless.
Aur aey shaks! Apney rab ki yaad kiya ker apney dil mein aajzi kay sath aur khof kay sath aur zor ki aawaz ki nisbat kum aawaz kay sath subha aur shaam aur ehal-e-ghaflat mein say mat hona.
और अपने रब को सुबह व शाम याद करें अपने दिल में आजिज़ी और ख़ौफ़ के साथ और पस्त-आवाज़ से, और ग़ाफ़िलों में से न बनें।
[Remember] when your Lord inspired to the angels, "I am with you, so strengthen those who have believed. I will cast terror into the hearts of those who disbelieved, so strike [them] upon the necks and strike from them every fingertip."
Uss waqt ko yaad kero jab kay aap ka rab farishton ko hukum deta tha kay mein tumhara sathi hun so tum eman walon ki himmar barhao mein abhi kuffaar kay dilon mein rob dalay deta hun so tum gardanon per maaro aur inn kay por por ko maaro.
जब आपके रब ने फ़रिश्तों को हुक्म भेजा कि मैं तुम्हारे साथ हूँ पस तुम ईमान वालों को जमाए रखो, मैं काफ़िरों के दिलों में रौब डाल दूँगा पस तुम गर्दनों के ऊपर मारो और उनकी उंगलियों के हर-हर जोड़ पर ज़र्ब लगाओ।
[This is] so that Allah may distinguish the wicked from the good and place the wicked some of them upon others and heap them all together and put them into Hell. It is those who are the losers.
Takay Allah Taalaa na pak ko pak say alag ker dey aur na pakon kay aik doosray say mila dey pus inn sab ko ikatha dher ker dey phir inn sab ko jahannum mein daal dey. Aisay log pooray khasaray mein hain.
ताकि अल्लाह नापाक को अलग कर दे पाक से और नापाक को एक पर एक रखे फिर उस ढेर को जहन्नम में डाल देगा, यही लोग ख़सारे में पड़ने वाले हैं।
[Remember, O Muhammad], when Allah showed them to you in your dream as few; and if He had shown them to you as many, you [believers] would have lost courage and would have disputed in the matter [of whether to fight], but Allah saved [you from that]. Indeed, He is Knowing of that within the breasts.
Jabkay Allah Taalaa ney tujhay teray khuwab mein unn ki taadaad kum dikhaee agar inn ki ziyadti dikhata to tum buzdil hojatay aur iss kaam kay baray mein aapas mein ikhtilaaf kertay lekin Allah Taalaa ney bacha liya woh dilon kay bhedon say khoob aagah hai.
जब अल्लाह आपके ख़्वाब में उनको थोड़े दिखाता रहा, अगर वह तुम्हें उनको ज़्यादा दिखा देता तो तुम लोग हिम्मत हार जाते और आपस में झगड़ने लगते उस मामले में लेकिन अल्लाह ने तुमको बचा लिया, यक़ीनन वह दिलों तक का हाल जानता है।
[Remember] when the hypocrites and those in whose hearts was disease said, "Their religion has deluded those [Muslims]." But whoever relies upon Allah - then indeed, Allah is Exalted in Might and Wise.
Jabkay munafiq keh rahey thay aur woh bhi jin kay dilon mein rog tha kay enhen to inn kay deen ney dhokay mein daal diya hai jo bhi Allah per bharosa keray Allah Taalaa bila shak-o-shuba ghalbay wala aur hikmat wala hai.
जब मुनाफ़िक़ और जिनके दिलों में रोग है कहते थे कि इन लोगों को उनके दीन ने धोखे में डाल दिया है, और जो अल्लाह पर भरोसा करे तो अल्लाह बड़ा ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
The ones with whom you made a treaty but then they break their pledge every time, and they do not fear Allah .
Jin say aap ney ehad-o-paymaan ker liya phir bhi woh apney ehad-o-paymaan ko her martaba tor detay hain aur bilkul perhez nahi kertay.
जिनसे आपने अहद लिया फिर वे अपना अहद हर बार तोड़ देते हैं और वे डरते नहीं।
And prepare against them whatever you are able of power and of steeds of war by which you may terrify the enemy of Allah and your enemy and others besides them whom you do not know [but] whom Allah knows. And whatever you spend in the cause of Allah will be fully repaid to you, and you will not be wronged.
Tum inn kay muqablay kay liye apni taqat bhar qooat ki tayyari kero aur ghoron ko tayyar rakhney ki kay iss say tum Allah kay dushmanon ko khof zada rakh sako aur inn kay siwa auron ko bhi jinhen tum nahi jantay Allah enhen khoob jaan raha hai jo kuch bhi Allah ki raah mein sarf kero gay woh tumhen poora poora diya jayega aur tumhara haq na maara jayega.
और उनके लिए जिस क़दर तुमसे हो सके तैयार रखो क़ुव्वत और पले हुए घोड़े कि उससे तुम्हारी हैबत रहे अल्लाह के दुश्मनों पर और तुम्हारे दुश्मनों पर और उनके अलावा दूसरों पर भी जिनको तुम नहीं जानते, अल्लाह उनको जानता है, और जो कुछ तुम अल्लाह की राह में ख़र्च करोगे वह तुम्हें पूरा-पूरा दिया जाएगा और तुम्हारे साथ कोई कमी नहीं की जाएगी।
O Prophet, say to whoever is in your hands of the captives, "If Allah knows [any] good in your hearts, He will give you [something] better than what was taken from you, and He will forgive you; and Allah is Forgiving and Merciful."
Aey nabi apney haath talay kay qaidiyon say keh do kay agar Allah Taalaa tumharay dilon mein nek niyati dekhay ga to jo kuch tum say liya gaya hai uss say behtar tumhen dey ga aur phir gunah bhi moaf farmaye ga aur Allah bakhshney wala meharban hai hi.
ऐ (प्यारे) नबी! आपके क़ब्ज़े में जो क़ैदी हैं उनसे कह दीजिए कि अगर अल्लाह तुम्हारे दिलों में कोई भलाई पाएगा तो जो कुछ तुमसे लिया गया है उससे बेहतर वह तुम्हें दे देगा और तुमको बख़्श देगा, और अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
Indeed, those who have believed and emigrated and fought with their wealth and lives in the cause of Allah and those who gave shelter and aided - they are allies of one another. But those who believed and did not emigrate - for you there is no guardianship of them until they emigrate. And if they seek help of you for the religion, then you must help, except against a people between yourselves and whom is a treaty. And Allah is Seeing of what you do.
Jo log eman laye aur hijrat ki aur apney maalon aur janon say Allah ki raah mein jihad kiya aur jin logon ney inn ko panah di aur madad ki yeh sab aapas mein aik doosray kay rafiq hain aur jo eman to layen hain lekin hijrat nahi ki tumharay liye inn ki kuch bhi rafaqat nahi jabtak kay woh hijrat na keren. Haan agar woh tum say deen kay baray mein madad talab keren to tum per madad kerna zaroori hai siwaye inn logon kay kay tum mein aur inn mein ehad-o-payman hai tum jo kuch ker rahey ho Allah khoob dekhta hai.
जो लोग ईमान लाए और जिन्होंने हिजरत की और अल्लाह की राह में अपने माल व जान से जिहाद किया और वे लोग जिन्होंने पनाह दी और मदद की, वे लोग आपस में एक-दूसरे के दोस्त हैं, और जो लोग ईमान लाए मगर उन्होंने हिजरत नहीं की तो उनसे तुम्हारा दोस्ती का कोई तअल्लुक़ नहीं जब तक कि वे हिजरत करके न आ जाएं, और वे तुमसे दीन के मामले में मदद माँगें तो तुम पर उनकी मदद करना वाजिब है सिवाए उसके कि यह मदद ऐसी क़ौम के ख़िलाफ़ हो जिसके साथ तुम्हारा मुआहिदा है, और जो कुछ तुम करते हो अल्लाह उसको देख रहा है।
But those who have believed and emigrated and fought in the cause of Allah and those who gave shelter and aided - it is they who are the believers, truly. For them is forgiveness and noble provision.
Jo log eman laye aur hijrat ki aur Allah ki raah mein jihad kiya aur jinhon ney panah di aur madad phonchaee. Yehi log sachay momin hain inn kay liye bakhsish hai aur izzat ki rozi.
और जो लोग ईमान लाए और उन्होंने हिजरत की और अल्लाह की राह में जिहाद किया और जिन लोगों ने पनाह दी और मदद की यही लोग सच्चे मोमिन हैं, उनके लिए बख़्शिश है और बेहतरीन रिज़्क़ है।
And those who believed after [the initial emigration] and emigrated and fought with you - they are of you. But those of [blood] relationship are more entitled [to inheritance] in the decree of Allah . Indeed, Allah is Knowing of all things.
Aur jo log iss kay baad eman laye aur hijrat ki aur tumharay sath hoker jihad kiya. Pus yeh log bhi tum mein say hi hain aur rishtay naatay walay inn mein say baaz baaz ziyada nazdeek hain Allah kay hukum mein be-shak Allah Taalaa her cheez ka jannay wala hai.
और जो लोग बाद में ईमान लाए और हिजरत की और तुम्हारे साथ मिलकर जिहाद किया वे भी तुम में से हैं, और ख़ून के रिश्तेदार एक-दूसरे के ज़्यादा हक़दार हैं अल्लाह की किताब में, बेशक अल्लाह हर चीज़ का जानने वाला है।
They do not observe toward a believer any pact of kinship or covenant of protection. And it is they who are the transgressors.
Yeh to kissi musalman kay haq main kissi rishtay daari ka ya ehad ka mutlaq lehaz nahi kertay yeh hain hi hadd say guzarney walay.
किसी मोमिन के मामले में वे न क़राबत का लिहाज़ करते हैं और न अहद का, और यही लोग हैं ज़्यादती करने वाले।
And if they break their oaths after their treaty and defame your religion, then fight the leaders of disbelief, for indeed, there are no oaths [sacred] to them; [fight them that] they might cease.
Agar yeh log ehad-o-paymaan kay baad bhi apni qasmon ko tor den aur tumharay deen mein taana zani keren to tum bhi unn sardaraan-e-kufur say bhir jao. Unn ki qasmen koi cheez nahi mumkin hai kay iss tarah woh baaz aajayen.
और अगर ये अपनी क़समों को तोड़ डालें अहद के बाद और तुम्हारे दीन में ऐब लगाएं तो कुफ़्र के इन सरदारों से लड़ो, बेशक उनकी क़समें कुछ नहीं; ताकि वे बाज़ आ जाएं।
Have you made the providing of water for the pilgrim and the maintenance of al-Masjid al-Haram equal to [the deeds of] one who believes in Allah and the Last Day and strives in the cause of Allah ? They are not equal in the sight of Allah . And Allah does not guide the wrongdoing people.
Kiya tum ney hajiyon ko pani pila dena aur masjis-e-haram ki khidmat kerna iss kay barabar ker diya hai jo Allah per aur aakhirat kay din per eman laye aur Allah ki raah mein jihad kiya yeh Allah kay nazdik barabar kay nahi aur Allah Taalaa zalimon ko hidayat nahi deta.
क्या तुमने हाजियों के पानी पिलाने और मस्जिदे-हराम के बसाने को बराबर कर दिया उस शख़्स के जो अल्लाह पर और आख़िरत पर ईमान लाया और अल्लाह की राह में जिहाद किया, अल्लाह के नज़दीक ये दोनों बराबर नहीं हो सकते, और अल्लाह ज़ालिम लोगों को राह नहीं दिखाता।
The ones who have believed, emigrated and striven in the cause of Allah with their wealth and their lives are greater in rank in the sight of Allah . And it is those who are the attainers [of success].
Jo log eman laye hijrat ki Allah ki raah mein apney maal aur apni jaan say jihad kiya woh Allah kay haan boht baray martabay walay hain aur yehi log murab paney walay hain.
जो लोग ईमान लाए और उन्होंने हिजरत की और अल्लाह के रास्ते में अपने माल व जान से जिहाद किया, उनका दर्जा अल्लाह के यहाँ बड़ा है और यही लोग कामयाब हैं।
Say, [O Muhammad], "If your fathers, your sons, your brothers, your wives, your relatives, wealth which you have obtained, commerce wherein you fear decline, and dwellings with which you are pleased are more beloved to you than Allah and His Messenger and jihad in His cause, then wait until Allah executes His command. And Allah does not guide the defiantly disobedient people."
Aap keh dijiye kay agar tumharay baap aur tumharay larkay aur tumharay bhai aur tumhari biwiyan aur tumharay kunbay qabeelay aur tumharay kamaye huye maal aur woh tijarat jiss ki kami say tum dartay ho aur woh hawayliyan jinehn tum pasand kertay ho agar yeh tumhen Allah say aur uss kay rasool say aur uss ki raah mein jihad say bhi ziyada aziz hain to tum intizar kero Allah Taalaa apna azab ley aaye. Allah Taalaa fasiqon ko hidayat nahi deta.
कह दीजिए कि अगर तुम्हारे बाप और तुम्हारे लड़के और तुम्हारे भाई और तुम्हारी बीवियाँ और तुम्हारा ख़ानदान और वह माल जो तुमने कमाए हैं और वे तिजारत जिसके बंद होने से तुम डरते हो और वह घर जिनको तुम पसंद करते हो, ये सब तुमको अल्लाह और उसके रसूल और उसकी राह में जिहाद करने से ज़्यादा महबूब हैं तो इन्तिज़ार करो यहाँ तक कि अल्लाह अपना हुक्म भेज दे, और अल्लाह नाफ़रमान लोगों को हिदायत नहीं देता।
Allah has already given you victory in many regions and [even] on the day of Hunayn, when your great number pleased you, but it did not avail you at all, and the earth was confining for you with its vastness; then you turned back, fleeing.
Yaqeenan Allah Taalaa ney boht say maidanon mein tumhen fatah di hai aur hunain ki laraee walay din bhi jabkay tumhen apni kasrat per naaz hogaya tha lekin uss ney tumhen koi faeeda na diya bulkay zamin bawajood apni kushadgi kay tum per tang hogaee phir tum peeth pher ker murr gaye.
बेशक अल्लाह ने बहुत-से मौक़ों पर तुम्हारी मदद की है और हुनैन के दिन भी जब तुम्हारी कसरत ने तुमको नाज़ में मुब्तला कर दिया था फिर वह तुम्हारे कुछ काम न आई और ज़मीन अपनी वुसअत के बावजूद तुम पर तंग हो गई, फिर तुम पीठ फेर कर भागे।
O you who have believed, indeed many of the scholars and the monks devour the wealth of people unjustly and avert [them] from the way of Allah . And those who hoard gold and silver and spend it not in the way of Allah - give them tidings of a painful punishment.
Aey eman walo! Aksar ulama aur abid logon ka maal na haq kha jatay hain aur Allah ki raah say rok detay hain aur jo log soney chandi ka khazana rakhtay hain aur Allah ki raah mein kharach nahi kertay unhen dard naak azab ki khabar phoncha dijiye.
ऐ ईमान वालो! बेशक अहले-किताब के अकसर उलमा और मशाइख़ लोगों के माल बातिल तरीक़ों से खाते हैं और लोगों को अल्लाह के रास्ते से रोकते हैं, और जो लोग सोना और चाँदी जमा करके रखते हैं और उनको अल्लाह की राह में ख़र्च नहीं करते उनको एक दर्दनाक अज़ाब की ख़ुश-ख़बरी दे दीजिए।
The Day when it will be heated in the fire of Hell and seared therewith will be their foreheads, their flanks, and their backs, [it will be said], "This is what you hoarded for yourselves, so taste what you used to hoard."
Jiss din iss khazaney ko aatish-e-dozakh mein tapaya jaye ga phir iss say unn ki payshaniyan aur pehloo aur peethen daaghi jayengi ( unn say kaha jayega ) yeh hai jisay tum ney apney liye khazana bana rakha tha. Pus apney khazanon ka maza chakho.
उस दिन उस माल पर दोज़ख़ की आग दहकाई जाएगी फिर उससे उनकी पेशानियाँ और उनके पहलू और उनकी पीठें दाग़ी जाएंगी, यही है वह जिसको तुमने अपने वास्ते जमा किया था, पस अब चखो जो तुम जमा करते रहे।
Indeed, the number of months with Allah is twelve [lunar] months in the register of Allah [from] the day He created the heavens and the earth; of these, four are sacred. That is the correct religion, so do not wrong yourselves during them. And fight against the disbelievers collectively as they fight against you collectively. And know that Allah is with the righteous [who fear Him].
Maheenon ki ginti Allah kay nazdeek kitab Allah mein baara ki hai ussi din say jab say aasman-o-zamin ko uss ney peda kiya hai inn mein say char hurmat-o-adab kay hain. Yehi durust deen hai tum inn maheenon mein apni janon per zulm na kero aur tum tamam mushrikon say jihad kero jaisay kay woh tum sab say lartay hain aur jaan rakho kay Allah Taalaa muttaqiyon kay sath hai.
बेशक महीनों की गिनती अल्लाह के नज़दीक बारह महीने हैं अल्लाह की किताब में जिस दिन उसने आसमानों और ज़मीन को पैदा किया, उनमें से चार हुरमत वाले हैं, यही है सीधा दीन पस उनमें तुम अपने ऊपर ज़ुल्म न करो, और मुशरिकों से सब मिलकर लड़ो जिस तरह वे सब मिलकर तुमसे लड़ते हैं, और जान लो कि अल्लाह परहेज़गारों के साथ है।
O you who have believed, what is [the matter] with you that, when you are told to go forth in the cause of Allah , you adhere heavily to the earth? Are you satisfied with the life of this world rather than the Hereafter? But what is the enjoyment of worldly life compared to the Hereafter except a [very] little.
Aey eman walon tumhen kiya hogaya hai kay jab tum say kaha jata hai kay chalo Allah kay raastay mein kooch kero to tum zamin say lagay jatay ho. Kiya tum aakhirat kay ewaz duniya ki zindagani per hi reejh gaye ho. Suno! Duniya ki zindagi to aakhirat kay muqablay mein kuch yun hi si hai.
ऐ ईमान वालो! तुमको क्या हो गया है कि जब तुमसे कहा जाता है कि अल्लाह की राह में निकलो तो तुम ज़मीन से लगे जाते हो, क्या तुम आख़िरत के मुक़ाबले में दुनिया की ज़िंदगी पर राज़ी हो गए, आख़िरत के मुक़ाबले में दुनिया की ज़िंदगी का सामान तो बहुत थोड़ा है।
Go forth, whether light or heavy, and strive with your wealth and your lives in the cause of Allah . That is better for you, if you only knew.
Nikal kharay hojao hulkay phulkay ho to bhi aur bhari bharkum ho to bhi aur raah-e-rab mein apni maal-o-jaan say jihad kero yehi tumharay liye behtar hai agar tum mein ilm ho.
(जिहाद के लिए) निकल खड़े हो चाहे तुम हल्के हो या बोझल और अपने माल और जान से अल्लाह के रास्ते में जिहाद करो, अगर तुम समझ रखते हो तो यही तुम्हारे हक़ में बेहतर है।
Only those would ask permission of you who do not believe in Allah and the Last Day and whose hearts have doubted, and they, in their doubt, are hesitating.
Yeh ijazat to tujh say wohi talab kertay hain jinhen na Allah per eman hai na aakhirat kay din ka yaqeen hai jin kay dil shak mein paray huye hain aur woh apney shak mein hi sir-gardan hain.
आपसे इजाज़त तो वही लोग माँगते हैं जो अल्लाह पर और आख़िरत के दिन पर ईमान नहीं रखते और उनके दिल शक में पड़े हुए हैं, पस वे अपने शक में भटक रहे हैं।
They hypocrites are apprehensive lest a surah be revealed about them, informing them of what is in their hearts. Say, "Mock [as you wish]; indeed, Allah will expose that which you fear."
Mufiqon ko her waqt iss baat ka khutka laga rehta hai kay kahin musalmanon per koi surat na utray jo inn kay dilon ki baaten unhen batla dey. Keh dijiye kay tum mazaq uratay raho yaqeenan Allah Taalaa ussay zahir kerney wala hai jiss say tum darr dubak rahey ho.
मुनाफ़िक़ीन डरते हैं कि कहीं उन (मुसलमानों) पर ऐसी सूरत नाज़िल न हो जाए जो उनको उनके दिलों के भेदों से आगाह कर दे, कह दीजिए कि तुम मज़ाक़ उड़ा लो, अल्लाह यक़ीनन ज़ाहिर कर देगा जिससे तुम डरते हो।
Allah has promised the believing men and believing women gardens beneath which rivers flow, wherein they abide eternally, and pleasant dwellings in gardens of perpetual residence; but approval from Allah is greater. It is that which is the great attainment.
Inn eman daar mardon aur aurton say Allah ney unn jannaton ka wada farmaya hai jin kay neechay nehren lehren ley rahi hain jahan woh hamesha hamesh rehney walay hain aur inn saaf suthray pakeezah mehallaat ka jo unn hameshgi wali jannaton mein hain aur Allah ki raza mandi sab say bari cheez hai yehi zabardast kaamyabi hai.
मोमिन मर्दों और मोमिन औरतों से अल्लाह का वादा है ऐसे बाग़ात का कि उनके नीचे से नहरें जारी होंगी उनमें वे हमेशा रहेंगे, और वादा है पाकीज़ा मकानों का हमेशा रहने वाले बाग़ात में, और अल्लाह की रज़ामंदी का जो सबसे बढ़कर है, यही बड़ी कामयाबी है।
So He penalized them with hypocrisy in their hearts until the Day they will meet Him - because they failed Allah in what they promised Him and because they [habitually] used to lie.
Pus iss ki saza mein Allah ney inn kay dilon mein nafaq daal diya Allah say milney kay dinon tak kiyon kay enhon ney Allah say kiye huye waday ka khilaf kiya aur kiyon kay jhoot boltay rahey.
पस अल्लाह ने उनके दिलों में निफ़ाक़ बिठा दिया उस दिन तक के लिए जबकि वे उससे मिलेंगे इस वजह से कि उन्होंने अल्लाह से किए हुए वादे की ख़िलाफ़वर्ज़ी की और इस वजह से कि वे झूठ बोलते रहे।
Those who remained behind rejoiced in their staying [at home] after [the departure of] the Messenger of Allah and disliked to strive with their wealth and their lives in the cause of Allah and said, 'Do not go forth in the heat." Say, "The fire of Hell is more intensive in heat" - if they would but understand.
Peechay reh janey walay log rasool Allah ( PBUH ) kay janey kay baad apney bethay rehney per khush hain enhon ney Allah ki raah mein apney maal aur apni janon say jihad kerna na pasand rakha aur enhon ney keh diya kay iss garmi mein mat niklo. Keh dijiye kay dozakh ki aag boht hi sakht garam hai kaash kay woh samajhtay hotay.
पीछे रह जाने वाले अल्लाह के रसूल से पीछे बैठे रहने पर बहुत ख़ुश हुए और उन्होंने नापसंद किया कि वे अपने माल और जान से अल्लाह की राह में जिहाद करें और उन्होंने कहा कि गर्मी में न निकलो, आप कह दीजिए कि दोज़ख़ की आग इससे ज़्यादा गरम है, काश उन्हें समझ होती।
But among the bedouins are some who believe in Allah and the Last Day and consider what they spend as means of nearness to Allah and of [obtaining] invocations of the Messenger. Unquestionably, it is a means of nearness for them. Allah will admit them to His mercy. Indeed, Allah is Forgiving and Merciful.
Aur baaz ehal-e-dehaat mein aisay bhi hain jo Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhtay hain aur jo kuch kharach kertay hain inn ko indallah qurb hasil honey ka zariya aur rasool ki dua ka zariya banatay hain yaad rakho kay inn kay yeh kharach kerna be-shak inn kay liye mojib-e-qurbat hai inn ko Allah Taalaa zaroor apni remat mein dakhil keray ga Allah Taalaa bari maghfirat wala bari rehmat wala hai.
और देहातियों में से कुछ वे भी हैं जो अल्लाह पर और आख़िरत के दिन पर ईमान रखते हैं और जो कुछ ख़र्च करते हैं उसको अल्लाह के यहाँ क़ुर्ब का और रसूल की दुआएं लेने का ज़रिया बनाते हैं, हाँ बेशक वह उनके लिए क़ुर्ब का ज़रिया है। अल्लाह उनको अपनी रहमत में दाख़िल करेगा, यक़ीनन अल्लाह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
Then is one who laid the foundation of his building on righteousness [with fear] from Allah and [seeking] His approval better or one who laid the foundation of his building on the edge of a bank about to collapse, so it collapsed with him into the fire of Hell? And Allah does not guide the wrongdoing people.
Phir aaya aisa shaks behtar hai jiss ney apni emaarat ki bunyaad Allah say darney per aur Allah ki khushnoodi per rakhi ho ya woh shaks kay jiss ney apni emaarat ki bunyaad kissi ghaati kay kinaray per jo kay girney hi ko ho rakhi ho phir woh iss ko ley ker aatish-e-dozakh mein girr paray aur Allah Taalaa aisay zalimon ko samajh hi nahi deta.
क्या वह शख़्स बेहतर है जिसने अपनी इमारत की बुनियाद अल्लाह के डर और अल्लाह की ख़ुशनूदी पर रखी या वह शख़्स बेहतर है जिसने अपनी इमारत की बुनियाद एक खाई के किनारे पर रखी जो गिरने को है फिर वह इमारत उसको लेकर जहन्नम की आग में गिर पड़ी, और अल्लाह ज़ालिम लोगों को राह नहीं दिखाता।
Their building which they built will not cease to be a [cause of] skepticism in their hearts until their hearts are stopped. And Allah is Knowing and Wise.
Inn ki yeh emaarat jo enhon ney banaee hai hamesha inn kay dilon mein shak ki bunyaad per ( kaanta bann ker ) khutakti rahey gi haan magar inn kay dil hi agar paash paash hojayen to khair aur Allah Taalaa bara ilm wala bari hikmat wala hai.
और यह इमारत जो उन्होंने बनाई हमेशा उनके दिलों में शक की बुनियाद बनी रहेगी सिवाए इसके कि उनके दिल ही टुकड़े हो जाएं, और अल्लाह जानने वाला, हिकमत वाला है।
Indeed, Allah has purchased from the believers their lives and their properties [in exchange] for that they will have Paradise. They fight in the cause of Allah , so they kill and are killed. [It is] a true promise [binding] upon Him in the Torah and the Gospel and the Qur'an. And who is truer to his covenant than Allah ? So rejoice in your transaction which you have contracted. And it is that which is the great attainment.
Bila shuba Allah Taalaa ney musalmanon say unn ki janon ko aur unn kay maalon ko iss baat kay ewaz mein khareed liya hai kay unn ko jannat milay gi. Woh log Allah ki raah mein lartay hain jiss mein qatal kertay hain aur qatal kiye jatay hain iss per sacha wada kiya gaya hai toraat mein aur injeel mein aur quran mein aur Allah say ziyada apney ehad ko kaun poora kerney wala hai to tum log apni iss bey per jiss ka tum ney moamla thehraya hai khsuhi manao aur yeh bari kaamyabi hai.
बेशक अल्लाह ने मोमिनों से उनकी जान और उनके माल को ख़रीद लिया है जन्नत के बदले, वे अल्लाह की राह में लड़ते हैं फिर मारते हैं और मारे जाते हैं, यह अल्लाह के ज़िम्मे एक सच्चा वादा है तौरात में और इंजील में और क़ुरआन में, और अल्लाह से बढ़कर अपने वादे को पूरा करने वाला कौन है, पस तुम ख़ुशियाँ मनाओ उस मामले पर जो तुमने अल्लाह से किया है, और यही सबसे बड़ी कामयाबी है।
Allah has already forgiven the Prophet and the Muhajireen and the Ansar who followed him in the hour of difficulty after the hearts of a party of them had almost inclined [to doubt], and then He forgave them. Indeed, He was to them Kind and Merciful.
Allah Taalaa ney payghumber kay haal per tawajja farmaee aur mohajreen aur ansaar kay haal per bhi jinhon ney aisi tangi kay waqt payghumbar ka sath diya iss kay baad kay inn mein say aik giroh kay dilon mein kuch tazalzul ho chala tha. Phir Allah ney unn kay haal per tawajja farmaee. Bila shuba Allah Taalaa inn sab per boht hi shafiq meharban hai.
बेशक अल्लाह ने नबी पर और मुहाजिरीन व अंसार पर तवज्जोह फ़रमाई जिन्होंने तंगी के वक़्त में नबी का साथ दिया, बाद इसके कि उनमें से कुछ लोगों के दिल कजी की तरफ़ माइल हो चुके थे, फिर अल्लाह ने उन पर तवज्जोह फ़रमाई, बेशक अल्लाह उन पर मेहरबान है, रहम करने वाला है।
It was not [proper] for the people of Madinah and those surrounding them of the bedouins that they remain behind after [the departure of] the Messenger of Allah or that they prefer themselves over his self. That is because they are not afflicted by thirst or fatigue or hunger in the cause of Allah , nor do they tread on any ground that enrages the disbelievers, nor do they inflict upon an enemy any infliction but that is registered for them as a righteous deed. Indeed, Allah does not allow to be lost the reward of the doers of good.
Madinay kay rehney walon ko aur jo dehaati unn kay gird-o-paish mein hain unn ko yeh zaiba na tha kay rasool Allah ko chor ker peechay reh jayen aur na yeh kay apni jaan ko unn ki jaan say aziz samajhen yeh iss sabab say key inn ko Allah ki raah mein jo piyas lagi aur jo thakaan phonchi aur jo bhook lagi aur jo kissi aisi jagah chalay jo kuffaar kay liye mojib-e-ghaiz hua ho aur dushmanon ki jo kuch khabar li inn sab per inn kay naam ( aik aik ) nek kaam likh gaya. Yaqeenan Allah Taalaa mukhliseen ka ajar zaya nahi kerta.
मुनासिब नहीं था मदीना वालों और अतराफ़ के देहातियों के लिए कि वे अल्लाह के रसूल को छोड़ कर पीछे बैठे रहें और न यह कि अपनी जानों को उनकी जान से अज़ीज़ रखें, यह इसलिए कि जो प्यास और थकान और भूख भी उनको अल्लाह की राह में लाहिक़ होती है और जो क़दम भी वे काफ़िरों को रंज पहुँचाने वाला उठाते हैं और जो चीज़ भी वे दुश्मन से छीनते हैं उनके बदले में उनके लिए एक नेकी लिख दी जाती है, बेशक अल्लाह नेकी करने वालों का अज्र ज़ाया नहीं करता।
But as for those in whose hearts is disease, it has [only] increased them in evil [in addition] to their evil. And they will have died while they are disbelievers.
Aur jin kay dilon mein rog hai iss surat ney unn mein unn ki gandagi kay sath aur gandagi barha di aur woh halat-e-kufur hi mein marr gaye.
और जिन लोगों के दिलों में (निफ़ाक़ की) बीमारी है तो उसने बढ़ा दी उनकी गंदगी पर गंदगी और वे मरने तक काफ़िर ही रहे।
Do they not see that they are tried every year once or twice but then they do not repent nor do they remember?
Aur kiya inn ko nahi dikhlaee deta kay yeh log her saal aik baar ya do baar kissi na kissi aafat mein phanstay rehtay hain phir bhi na toba kertay aur na naseehat qabool kertay hain.
क्या ये लोग देखते नहीं कि वे हर साल एक बार या दो बार आज़माइश में डाले जाते हैं फिर भी न तौबा करते हैं और न सबक़ हासिल करते हैं।
Indeed, your Lord is Allah , who created the heavens and the earth in six days and then established Himself above the Throne, arranging the matter [of His creation]. There is no intercessor except after His permission. That is Allah , your Lord, so worship Him. Then will you not remember?
Bila shuba tumhara rab Allah hi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko cheh roz mein peda ker diya phir arsh per qaeem hua woh her kaam ki tadbeer kerta hai. Uss ki ijazat kay baghair koi uss kay pass sifarish kerney wala nahi aisa Allah tumhara rab hai so tum uss ki ibadat kero kiya tum phir bhi nasihat nahi pakartay.
बेशक तुम्हारा रब अल्लाह है जिसने आसमानों और ज़मीन को छः दिनों (अदवार) में पैदा किया फिर वह अर्श पर क़ायम हुआ, वही मामलात का इंतिज़ाम करता है, उसकी इजाज़त के बग़ैर कोई सिफ़ारिश करने वाला नहीं, वही अल्लाह तुम्हारा रब है पस तुम उसी की इबादत करो, क्या तुम सोचते नहीं।
Indeed, those who have believed and done righteous deeds - their Lord will guide them because of their faith. Beneath them rivers will flow in the Gardens of Pleasure
Yaqeenan jo log eman laye aur unhon ney nek kaam kiye unn ka rab unn ko unn kay eman kay sabab unn kay maqsad tak phoncha dey ga nemat kay baghon mein jin key neechay nehren jari hongi.
बेशक जो लोग ईमान लाए और नेक काम किए, अल्लाह उनके ईमान की बदौलत उनको उनके मक़सद तक पहुँचा देगा, उनके नीचे नहरें बहती होंगी नेमत के बाग़ों में।
And if Allah was to hasten for the people the evil [they invoke] as He hastens for them the good, their term would have been ended for them. But We leave the ones who do not expect the meeting with Us, in their transgression, wandering blindly
Aur agar Allah logon per jaldi say nuksan waaqay ker diya kerta jiss tarah woh faeeday kay liye jaldi machatay hain to unn ka wada kabhi ka poora ho chuka hota. So hum unn logon ko jin ko humaray pass aaney ka yaqeen nahi hai unn kay haal per chor rakhtay hain kay apni sirkashi mein bhataktay rahen.
और अगर अल्लाह लोगों के लिए अज़ाब उसी तरह जल्द पहुँचा दे जिस तरह वह उनके साथ रहमत में जल्दी करता है तो उनकी मुद्दत ख़त्म कर दी गई होती, लेकिन हम उन लोगों को जो हमारी मुलाक़ात की उम्मीद नहीं रखते उनकी सरकशी में भटकने के लिए छोड़ देते हैं।
And, [O Muhammad], you are not [engaged] in any matter or recite any of the Qur'an and you [people] do not do any deed except that We are witness over you when you are involved in it. And not absent from your Lord is any [part] of an atom's weight within the earth or within the heaven or [anything] smaller than that or greater but that it is in a clear register.
Aur aap kissi haal mein hon aur munjmila inn ehwaal kay aap kahin say quran parhtay hon aur jo kaam bhi kertay hon hum ko sab ki khabar rehti hai jab tum uss kaam mein mashghool hotay ho. Aur aap kay rab say koi cheez zarra barabar bhi ghaeeb nahi na zamin mein aur na aasman mein aur na koi cheez uss say choti aur na koi cheez bari magar yeh sab kitab-e-mubin mein hai.
और तुम जिस हाल में भी हो और क़ुरआन में से जो हिस्सा भी सुना रहे हो और तुम लोग जो काम भी करते हो हम तुम्हारे ऊपर गवाह रहते हैं जिस वक़्त तुम उसमें मशग़ूल रहते हो, और आपके रब से ज़र्रा बराबर भी कोई चीज़ ग़ायब नहीं, न ज़मीन में और न आसमान में और न उससे छोटी और न बड़ी, मगर वह एक वाज़ेह किताब में (महफ़ूज़) है।
And, [O Muhammad], you are not [engaged] in any matter or recite any of the Qur'an and you [people] do not do any deed except that We are witness over you when you are involved in it. And not absent from your Lord is any [part] of an atom's weight within the earth or within the heaven or [anything] smaller than that or greater but that it is in a clear register.
Aur aap kissi haal mein hon aur munjmila inn ehwaal kay aap kahin say quran parhtay hon aur jo kaam bhi kertay hon hum ko sab ki khabar rehti hai jab tum uss kaam mein mashghool hotay ho. Aur aap kay rab say koi cheez zarra barabar bhi ghaeeb nahi na zamin mein aur na aasman mein aur na koi cheez uss say choti aur na koi cheez bari magar yeh sab kitab-e-mubin mein hai.
और तुम जिस हाल में भी हो और क़ुरआन में से जो हिस्सा भी सुना रहे हो और तुम लोग जो काम भी करते हो हम तुम्हारे ऊपर गवाह रहते हैं जिस वक़्त तुम उसमें मशग़ूल रहते हो, और आपके रब से ज़र्रा बराबर भी कोई चीज़ ग़ायब नहीं, न ज़मीन में और न आसमान में और न उससे छोटी और न बड़ी, मगर वह एक वाज़ेह किताब में (महफ़ूज़) है।
It is He who made for you the night to rest therein and the day, giving sight. Indeed in that are signs for a people who listen.
Woh aisa hi hai jiss ney tumharay liye raat banaee takay tum iss mein aaram kero aur din bhi iss tor per banaya kay dekhney bhalney ka zariya hai tehqeeq iss mein dalaeel hain unn logon kay liye jo suntay hain.
वह अल्लाह ही है जिसने तुम्हारे लिए रात बनाई ताकि तुम उसमें सुकून हासिल करो और दिन को रौशन बनाया, बेशक इसमें निशानियाँ हैं उन लोगों के लिए जो सुनते हैं।
So if you are in doubt, [O Muhammad], about that which We have revealed to you, then ask those who have been reading the Scripture before you. The truth has certainly come to you from your Lord, so never be among the doubters.
Phir agar aap iss ki taraf say shak mein hon jiss ko hum ney aap kay pass bheja hai to aap unn logon say pooch dekhiye jo aap say pehlay kitabon ko parhtay hain. Be-shak aap kay pass aap kay rab ki taraf say sachi kitab aaee hai. Aap hergiz shak kerney walon mein say no hon.
पस अगर आपको उस चीज़ के बारे में शक है जो हमने आपकी तरफ़ उतारी है तो उन लोगों से पूछ लीजिए जो आप से पहले किताब पढ़ रहे हैं, बेशक यह आप पर हक़ आया है आपके रब की तरफ़ से पस आप शक करने वालों में से न बनें।
Say, [O Muhammad], "O people, if you are in doubt as to my religion - then I do not worship those which you worship besides Allah ; but I worship Allah , who causes your death. And I have been commanded to be of the believers
Aap keh dijiye kay aey logo! Tum meray deen ki taraf say shak mein ho to mein inn maboodon ki ibadat nahi kerta jin ki tum Allah ko chor ker ibadat kertay ho lekin haan uss Allah ki ibadat kerta hun jo tumhari jaan qabz kerta hai. Aur mujh ko yeh hukum hua hai kay mein eman laney walon mein say hun.
कह दीजिए कि ऐ लोगो! अगर तुम मेरे दीन के मुतअल्लिक़ शक में हो तो मैं उनकी इबादत नहीं करता जिनकी इबादत तुम करते हो अल्लाह के सिवा; बल्कि मैं उस अल्लाह की इबादत करता हूँ जो तुमको वफ़ात देता है और मुझको हुक्म मिला है कि मैं ईमान वालों में से रहूँ।