And remember when He made you successors after the 'Aad and settled you in the land, [and] you take for yourselves palaces from its plains and carve from the mountains, homes. Then remember the favors of Allah and do not commit abuse on the earth, spreading corruption."
Aur tum yeh halat yaad kero kay Allah Taalaa ney tum ko aad kay baad janasheen banaya aur tum ko zamin per rehney ka thikana diya kay naram zamin per mehal banatay ho aur paharon ko taraash taraash ker unn mein ghar banatay ho so Allah Taalaa ki nematon ko yaad kero aur zamin mein fasaad mat phelao.
और याद करो जबकि अल्लाह ने आद के बाद तुमको जानशीन बनाया और तुमको ज़मीन में ठिकाना दिया, तुम उसके मैदानों में महल बनाते हो और पहाड़ों को तराश कर घर बनाते हो, पस अल्लाह की नेमतों को याद करो और ज़मीन में फ़साद करते न फिरो।
And remember when He made you successors after the 'Aad and settled you in the land, [and] you take for yourselves palaces from its plains and carve from the mountains, homes. Then remember the favors of Allah and do not commit abuse on the earth, spreading corruption."
Aur tum yeh halat yaad kero kay Allah Taalaa ney tum ko aad kay baad janasheen banaya aur tum ko zamin per rehney ka thikana diya kay naram zamin per mehal banatay ho aur paharon ko taraash taraash ker unn mein ghar banatay ho so Allah Taalaa ki nematon ko yaad kero aur zamin mein fasaad mat phelao.
और याद करो जबकि अल्लाह ने आद के बाद तुमको जानशीन बनाया और तुमको ज़मीन में ठिकाना दिया, तुम उसके मैदानों में महल बनाते हो और पहाड़ों को तराश कर घर बनाते हो, पस अल्लाह की नेमतों को याद करो और ज़मीन में फ़साद करते न फिरो।
And to [the people of] Madyan [We sent] their brother Shu'ayb. He said, "O my people, worship Allah ; you have no deity other than Him. There has come to you clear evidence from your Lord. So fulfill the measure and weight and do not deprive people of their due and cause not corruption upon the earth after its reformation. That is better for you, if you should be believers.
Aur hum ney madiyan ki taraf unn kay bhai shoaib ( alh-e-salam ) ko bheja. Unhon ney farmaya aey meri qom! Tum Allah ki ibadat kero iss kay siwa koi tumhara mabood nahi tumharay pass tumharay perwerdigar ki taraf say wazeh daleel aa chuki hai. Pus tum naap aur tol poora poora kiya kero aur logon ko unn ki cheezen kum kerkay mat do aur ruy-e-zamin mein iss kay baad kay iss ki durusti ker di gaee fasaad mat phelao yeh tumharay liye naafay hai agar tum tasdeeq kero.
और मदयन की तरफ़ हमने उनके भाई शुऐब को भेजा, उन्होंने कहा कि ऐ मेरी क़ौम! अल्लाह की इबादत करो जिसके सिवा तुम्हारा कोई माबूद नहीं, तुम्हारे पास तुम्हारे रब की तरफ़ से दलील पहुँच चुकी है पस नाप-तौल पूरा करो और मत घटाकर दो लोगों को उनकी चीज़ें, और फ़साद न मचाओ ज़मीन में उसकी इस्लाह के बाद, यह तुम्हारे हक़ में बेहतर है अगर तुम मोमिन हो।
And the eminent among the people of Pharaoh said," Will you leave Moses and his people to cause corruption in the land and abandon you and your gods?" [Pharaoh] said, "We will kill their sons and keep their women alive; and indeed, we are subjugators over them."
Aur qom-e-fiaon kay sardaron ney kaha kay kiya aap musa ( alh-e-salam ) aur unn ki qom ko yun hi rehney den gay kay woh mulk mein fasaad kertay phiren aur woh aap ko aur aap kay maboodon ko tarak kiye rahen. Firaon ney kaha kay hum abhi inn logon kay beton ko qatal kerna shuroo ker den gay aur aurton ko zinda rehney den gay aur hum ko inn per her tarah ka zor hai.
फ़िरऔन की क़ौम के सरदारों ने कहाः क्या तुम मूसा को और उसकी क़ौम को छोड़ दोगे कि वह मुल्क में फ़साद फैलाएं और तुमको और तुम्हारे माबूदों को छोड़ दें? फ़िरऔन ने कहाः हम उनके बेटों को क़त्ल करेंगे और उनकी औरतों को ज़िंदा रखेंगे, और हम उन पर पूरी तरह ग़ालिब हैं।
They said, "We have been harmed before you came to us and after you have come to us." He said, "Perhaps your Lord will destroy your enemy and grant you succession in the land and see how you will do."
Qom kay log kehney lagay kay hum to hamesha museebat hi mein rahey aap ki tashreef aawari say qabal bhi aur aap ki tashreef aawari kay baad bhi. Musa ( alh-e-salam ) ney farmaya kay boht jald Allah tumharay dushman ko halak ker dey ga aur bajaye unn kay tum ko iss sir zamin ka khalifa bana dey ga phir tumhara tarz-e-amal dekhay ga.
मूसा की क़ौम ने कहाः हम तुम्हारे आने से पहले भी सताए गए और तुम्हारे आने के बाद भी, मूसा (अलै॰) ने कहाः क़रीब है कि तुम्हारा रब तुम्हारे दुश्मन को हलाक कर दे और उनकी जगह तुमको इस सरज़मीन का मालिक बना दे फिर देखे कि तुम कैसा अमल करते हो।
And We caused the people who had been oppressed to inherit the eastern regions of the land and the western ones, which We had blessed. And the good word of your Lord was fulfilled for the Children of Israel because of what they had patiently endured. And We destroyed [all] that Pharaoh and his people were producing and what they had been building.
Aur hum ney unn logon ko jo kay bilkul kamzor shumat kiye jatay thay uss sir zamin kay poorab pachim ka maalik bana diya jiss mein hum ney barkat rakhi hai aur aap kay rab kay nek wada bani israeel kay haq mein unn kay sabar ki waja say poora hogaya aur hum ney firaon kay aur uss ki qom kay saakhita per daakhita kaar khanon ko aur jo kuch woh oonchi oonchi emarten banwatay thay sab ko darhum barhum ker diya.
और जो लोग कमज़ोर समझे जाते थे उनको हमने ज़मीन के मशरिक़ और मग़रिब का वारिस बना दिया जिसमें हमने बरकत रखी थी, और बनी-इस्राईल पर आपके रब का नेक वादा पूरा हो गया इस वजह से कि उन्होंने सब्र किया, और हमने फ़िरऔन और उसकी क़ौम का वह सब कुछ बरबाद कर दिया जो वे बनाते थे और जो वे चढ़ाते थे।
I will turn away from My signs those who are arrogant upon the earth without right; and if they should see every sign, they will not believe in it. And if they see the way of consciousness, they will not adopt it as a way; but if they see the way of error, they will adopt it as a way. That is because they have denied Our signs and they were heedless of them.
Mein aisay logon ko apney ehkaam say bar-gashta hi rakhon ga jo duniya mein takabbur kertay hain jiss ka unn ko koi haq hasil nahi aur agar tamam nishaniyan dekh len tab bhi woh inn per eman na layen aur agar hidayat ka raasta dekhen to iss ko apna tareeqa na banayen aur agar gumrahi ka raasta dekh len to iss ko apna tareeq bana len. Yeh iss sabab say hai kay enhon ney humari aayaton ko jhutlaya aur inn say ghafil rahey.
मैं अपनी निशानियों से उन लोगों को फेर दूँगा जो ज़मीन में नाहक़ घमंड करते हैं, और अगर वे हर क़िस्म की निशानियाँ देख लें तब भी उन पर ईमान न लाएं, और अगर वे हिदायत का रास्ता देखें तो उसको न अपनाएंगे, और अगर गुमराही का रास्ता देखें तो उसको अपना लेंगे, यह इस वजह से है कि उन्होंने हमारी निशानियों को झुठलाया और वे उनकी तरफ़ से ग़ाफ़िल रहे।
And We divided them throughout the earth into nations. Of them some were righteous, and of them some were otherwise. And We tested them with good [times] and bad that perhaps they would return [to obedience].
Aur hum ney duniya mein inn ki mukhtalif jamaten ker den. Baaz inn mein nek thay aur baaz inn mein aur tarah thay aur hum inn ko khushaliyon aur bad haliyon say aazmatay rahey kay shayad baaz aajayen.
और हमने उनको गिरोह-गिरोह करके ज़मीन में फैला दिया, उनमें से कुछ नेक हैं और उनमें से कुछ उससे मुख़्तलिफ़, और हमने उनको आज़माया अच्छे हालात से और बुरे हालात से ताकि वे बाज़ आएं।
And if We had willed, we could have elevated him thereby, but he adhered [instead] to the earth and followed his own desire. So his example is like that of the dog: if you chase him, he pants, or if you leave him, he [still] pants. That is the example of the people who denied Our signs. So relate the stories that perhaps they will give thought.
Aur agar hum chahatay to uss ko inn aayaton ki badolat buland martaba ker detay lekin woh to duniya ki taraf maeel hogaya aur apni nafsaani khuwaish ki pairwi kerney laga so uss ki halat kuttay ki si hogaee kay agar tu iss per hamla keray tab bhi haanpay ya uss ko chor dey tab bhi haanpay yehi halat unn logon ki hai jinhon ney humari aayaton ko jhutlaya. So aap iss haal ko biyan ker dijiye shayad woh log kuch sochen.
और अगर हम चाहते तो उसको उन आयतों के ज़रिए से बुलंदी अता करते मगर वह तो ज़मीन का हो रहा और अपनी ख़्वाहिशों की पैरवी करने लगा, पस उसकी मिसाल कुत्ते की सी है कि अगर तुम उस पर बोझ लाद दो तब भी हाँपे और अगर छोड़ दो तब भी हाँपे, यह मिसाल उन लोगों की है जिन्होंने हमारी निशानियों को झुठलाया, पस आप ये वाक़िआत उनको सुनाओ ताकि वे सोचें।
And remember when you were few and oppressed in the land, fearing that people might abduct you, but He sheltered you, supported you with His victory, and provided you with good things - that you might be grateful.
Aur uss halat ko yaad kero! Jab tum zamin mein qaleel thay kamzor shumar kiye jatay thay. Iss andeshay mein rehtay thay kay tum ko log noch khasot na len so Allah ney tum ko rehney ki jagah di aur tum ko apni nusrat say qooat di aur tum ko nafees nafees cheezen ata farmaeen takay tum shukar kero.
और याद करो जबकि तुम थोड़े थे और ज़मीन में कमज़ोर समझे जाते थे, डरते थे कि लोग अचानक तुमको उचक न लें, फिर अल्लाह ने तुमको रहने की जगह दी और अपनी मदद से तुम्हारी ताईद की और तुमको पाकीज़ा रोज़ी दी; ताकि तुम शुक्रगुज़ार बनो।
And brought together their hearts. If you had spent all that is in the earth, you could not have brought their hearts together; but Allah brought them together. Indeed, He is Exalted in Might and Wise.
Inn kay dilon mein bahumi ulfat bhi ussi ney dali hai. Zamin mein jo kuch hai agar sara ka sara bhi kharch ker dalta to bhi inn kay dil aapas mein na mila sakta. Yeh to Allah hi ney inn mein ulfat daal di hai woh ghalib hikmaton wala hai.
और उनके दिलों में इत्तिफ़ाक़ पैदा कर दिया, अगर आप ज़मीन में जो कुछ है सब ख़र्च कर डालते तब भी उनके दिलों में इत्तिफ़ाक़ पैदा न कर सकते, लेकिन अल्लाह ने उनमें इत्तिफ़ाक़ पैदा कर दिया, बेशक वह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
It is not for a prophet to have captives [of war] until he inflicts a massacre [upon Allah 's enemies] in the land. Some Muslims desire the commodities of this world, but Allah desires [for you] the Hereafter. And Allah is Exalted in Might and Wise.
Nabi kay haath mein qaidi nahi chahaiye jabtak kay mulk mein achi khoonrezi ki jang na hojaye. Tum to duniya kay maal chahatay ho aur Allah ka irada aakhirat ka hai aur Allah zor aawar ba hikmat hai.
किसी नबी के लिए लायक़ नहीं कि उसके पास क़ैदी हों जब तक वह ज़मीन में अच्छी तरह ख़ूंरेज़ी न कर ले, तुम दुनिया के असबाब चाहते हो और अल्लाह आख़िरत को चाहता है, और अल्लाह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।
And those who disbelieved are allies of one another. If you do not do so, there will be fitnah on earth and great corruption.
Kafir aapas mein aik doosray kay rafiq hain agar tum ney aisa na kiya to mulk mein fitna hoga aur zabardast fasaad hojayega.
और जो लोग मुनकिर हैं वे एक-दूसरे के दोस्त हैं अगर तुम ऐसा न करोगे तो ज़मीन में फ़ित्ना फैलेगा और बड़ा फ़साद होगा।
So travel freely, [O disbelievers], throughout the land [during] four months but know that you cannot cause failure to Allah and that Allah will disgrace the disbelievers.
Pus ( aey mushriko! ) tum mulk mein char maheenay tak to chal phir lo jaan lo kay tum Allah ko aajiz kerney walay nahi ho aur yeh ( bhi yaad rahey ) kay Allah kafiron ko ruswa kerney wala hai.
पस तुम लोग मुल्क में चार महीने चल-फिर लो और जान लो कि तुम अल्लाह को आजिज़ नहीं कर सकते, और यह कि अल्लाह मुनकिरों को रुसवा करने वाला है।
O you who have believed, what is [the matter] with you that, when you are told to go forth in the cause of Allah , you adhere heavily to the earth? Are you satisfied with the life of this world rather than the Hereafter? But what is the enjoyment of worldly life compared to the Hereafter except a [very] little.
Aey eman walon tumhen kiya hogaya hai kay jab tum say kaha jata hai kay chalo Allah kay raastay mein kooch kero to tum zamin say lagay jatay ho. Kiya tum aakhirat kay ewaz duniya ki zindagani per hi reejh gaye ho. Suno! Duniya ki zindagi to aakhirat kay muqablay mein kuch yun hi si hai.
ऐ ईमान वालो! तुमको क्या हो गया है कि जब तुमसे कहा जाता है कि अल्लाह की राह में निकलो तो तुम ज़मीन से लगे जाते हो, क्या तुम आख़िरत के मुक़ाबले में दुनिया की ज़िंदगी पर राज़ी हो गए, आख़िरत के मुक़ाबले में दुनिया की ज़िंदगी का सामान तो बहुत थोड़ा है।
They swear by Allah that they did not say [anything against the Prophet] while they had said the word of disbelief and disbelieved after their [pretense of] Islam and planned that which they were not to attain. And they were not resentful except [for the fact] that Allah and His Messenger had enriched them of His bounty. So if they repent, it is better for them; but if they turn away, Allah will punish them with a painful punishment in this world and the Hereafter. And there will not be for them on earth any protector or helper.
Yeh Allah ki qasmen kha ker kehtay hain kay enhon ney nahi kaha halankay yaqeenan kufur ka kalma inn ki zaban say nikal chuka aur yeh apney islam kay baad kafir hogaye hain aur enhon ney iss kaam ka qasad bhi kiya jo poora na ker sakay. Yeh sirf issi baat ka intiqam ley rahey hain kay enhen Allah ney apney fazal say aur uss kay rasool ney dolat mand ker diya agar yeh abb bhi toba ker len to yeh inn kay haq mein behtar hai aur agar mun moray rahen to Allah Taalaa enhen duniya-o-aakhirat mein dard naak azab dey ga aur zamin bhar mein inn ka koi himayati aur madadgar na khara hoga.
वे अल्लाह की क़सम खाते हैं कि उन्होंने नहीं कहा; हालाँकि उन्होंने कुफ़्र की बात कही और वे इस्लाम लाने के बाद काफ़िर हो गए और उन्होंने वह चाहा जो उन्हें हासिल न हो सका, और यह सिर्फ़ उसका बदला था कि उनको अल्लाह और उसके रसूल ने अपने फ़ज़्ल से ग़नी कर दिया, अगर वे तौबा करें तो यह उनके हक़ में बेहतर है और अगर वे मुँह फेर लें तो अल्लाह उनको दर्दनाक अज़ाब देगा दुनिया में भी और आख़िरत में भी, और ज़मीन में उनका न कोई हिमायती होगा और न मददगार।
Then We made you successors in the land after them so that We may observe how you will do.
Phir unn kay baad hum ney duniya mein bajaye unn kay tum ko janasheen kiya takay hum dekh len kay tum kiss tarah kaam kertay ho.
फिर हमने उनके बाद तुमको मुल्क में जानशीन बनाया; ताकि हम देखें कि तुम कैसा अमल करते हो।
And they worship other than Allah that which neither harms them nor benefits them, and they say, "These are our intercessors with Allah " Say, "Do you inform Allah of something He does not know in the heavens or on the earth?" Exalted is He and high above what they associate with Him
Aur yeh log Allah kay siwa aisi cheezon ki ibadat kertay hain jo na unn ko zarrar phoncha saken aur na unn ko nafa phoncha saken aur kehtay hain kay yeh Allah kay pass humaray sifarshi hain. Aap keh dijiye kay kiya tum Allah ko aisi cheez ki khabar detay ho jo Allah Taalaa ko maloom nahi na aasmanon mein aur na zamin mein woh pak aur bartar hai inn logon kay shirk say.
और वे अल्लाह के सिवा ऐसी चीज़ों की इबादत करते हैं जो उनको न नुक़सान पहुँचा सकें और ना नफ़ा पहुँचा सकें, और वे कहते हैं कि ये अल्लाह के यहाँ हमारे सिफ़ारशी हैं, कह दीजिए क्या तुम अल्लाह को ऐसी चीज़ों की ख़बर देते हो जो उसको आसमानों और ज़मीन में मालूम नहीं, वे पाक और बरतर है उससे जिसको वे शरीक करते हैं।
But when He saves them, at once they commit injustice upon the earth without right. O mankind, your injustice is only against yourselves, [being merely] the enjoyment of worldly life. Then to Us is your return, and We will inform you of what you used to do.
Phri jab Allah Taalaa unn ko bacha leta hai to foran hi woh zamin mein na haq sirkashi kerney lagtay hain aey logo! Yeh tumhari sirkashi tumharay liye wabaal honey wali hai dunyawi zindagi kay ( chand ) faeeday hain phir humaray pass tum ko aana hai phir hum sab tumhara kiya hua tum ko batla den gay.
फिर जब वह उनको नजात दे देता है तो वे फ़ौरन ही ज़मीन में नाहक़ सरकशी करने लगते हैं, ऐ लोगो! तुम्हारी सरकशी तुम्हारे अपने ही ख़िलाफ़ है, दुनिया की ज़िंदगी का नफ़ा उठा लो फिर तुमको हमारी तरफ़ लौट कर आना है फिर हम तुमको बता देंगे जो कुछ तुम कर रहे थे।
The example of [this] worldly life is but like rain which We have sent down from the sky that the plants of the earth absorb - [those] from which men and livestock eat - until, when the earth has taken on its adornment and is beautified and its people suppose that they have capability over it, there comes to it Our command by night or by day, and We make it as a harvest, as if it had not flourished yesterday. Thus do We explain in detail the signs for a people who give thought.
Pus duniyawi zindagi ki halat to aisi hai jaisay hum ney aasman say pani barsaya phir uss say zamin ki nabataat jin ko aadmi aur chopaye khatay hain khoob gunjaan ho ker nikli. Yahan tak kay jab woh zamin apni ronaq ka poora hissa ley chuki aur uss ki khoob zebaeesh hogaee aur uss kay malikon ney samajh liya kay abb hum iss per bilkul qabiz ho chukay to din mein ya raat mein iss per humari taraf say koi hukum ( azab ) aa para so hum ney uss ko aisa saaf ker diya kay goya kal woh mojood hi na thay hum issi tarah aayat ko saaf saaf biyan kertay hainaisay logon kay liye jo sochtay hain.
दुनिया की ज़िंदगी की मिसाल ऐसी है जैसे पानी कि हमने उसको आसमान से बरसाया तो ज़मीन का सब्ज़ा ख़ूब निकला जिसको आदमी खाते हैं और जिसको जानवर खाते हैं, यहाँ तक कि जब ज़मीन पूरी रौनक़ पर आ गई और संवर उठी और ज़मीन वालों ने गुमान कर लिया कि अब यह हमारे क़ाबू में है तो अचानक उस पर हमारा हुक्म रात को या दिन को आ गया फिर हमने उसको काट कर ढेर कर दिया गोया कल यहाँ कुछ था ही नहीं, इस तरह हम निशानियाँ खोलकर बयान करते हैं उन लोगों के लिए जो ग़ौर करते हैं।
And if each soul that wronged had everything on earth, it would offer it in ransom. And they will confide regret when they see the punishment; and they will be judged in justice, and they will not be wronged
Aur agar her jaan jiss ney zulm ( shirk ) kiya hai kay pass itna ho kay sari zamin bhar jaye tab bhi uss ko dey ker apni jaan bachaney lagay aur jab azab ko dekhen gay tp pasheymani ko posheeda rakhen gay. Aur inn ka faisla insaf kay sath hoga. Aur inn per zulm na hoga.
और अगर हर ज़ालिम के पास वे सब कुछ हो जो ज़मीन में है तो वह उसको फ़िदये में दे देना चाहेगा, और जब वे अज़ाब को देखेंगे तो अपने दिल में पछताएंगे, और उनके दरमियान इंसाफ़ के साथ फ़ैसला कर दिया जाएगा और उन पर ज़ुल्म न होगा।
And, [O Muhammad], you are not [engaged] in any matter or recite any of the Qur'an and you [people] do not do any deed except that We are witness over you when you are involved in it. And not absent from your Lord is any [part] of an atom's weight within the earth or within the heaven or [anything] smaller than that or greater but that it is in a clear register.
Aur aap kissi haal mein hon aur munjmila inn ehwaal kay aap kahin say quran parhtay hon aur jo kaam bhi kertay hon hum ko sab ki khabar rehti hai jab tum uss kaam mein mashghool hotay ho. Aur aap kay rab say koi cheez zarra barabar bhi ghaeeb nahi na zamin mein aur na aasman mein aur na koi cheez uss say choti aur na koi cheez bari magar yeh sab kitab-e-mubin mein hai.
और तुम जिस हाल में भी हो और क़ुरआन में से जो हिस्सा भी सुना रहे हो और तुम लोग जो काम भी करते हो हम तुम्हारे ऊपर गवाह रहते हैं जिस वक़्त तुम उसमें मशग़ूल रहते हो, और आपके रब से ज़र्रा बराबर भी कोई चीज़ ग़ायब नहीं, न ज़मीन में और न आसमान में और न उससे छोटी और न बड़ी, मगर वह एक वाज़ेह किताब में (महफ़ूज़) है।
Unquestionably, to Allah belongs whoever is in the heavens and whoever is on the earth. And those who invoke other than Allah do not [actually] follow [His] "partners." They follow not except assumption, and they are not but falsifying
Yaad rakho kay jitney kuch aasman mein hain aur jitney zamin mein hain yeh sab Allah hi kay hain aur jo log Allah ko chor ker doosray shurka ki ibadat ker rahey hain kiss cheez ki ittabaa ker rahey hain aur mehaz atkalen laga rahey hain.
सुन लो! जो आसमानों में हैं और जो ज़मीन में है सब अल्लाह के हैं, और जो लोग अल्लाह के सिवा शरीकों को पुकारते हैं वे किस चीज़ की पैरवी कर रहे हैं, वे सिर्फ़ गुमान की पैरवी कर रहे हैं और वे महज़ अंदाज़े लगा रहे हैं।
They have said, " Allah has taken a son." Exalted is He; He is the [one] Free of need. To Him belongs whatever is in the heavens and whatever is in the earth. You have no authority for this [claim]. Do you say about Allah that which you do not know?
Woh kehtay hain kay Allah aulad rakhta hai. Subhan Allah ! Who to kissi ka mohtaj nahi ussi ki milkiyat hai jo kuch aasmano mein hai aur jo kuch zamin mein hai. Tumharay pass iss per koi daleel nahi. Kiya Allah kay zimmay aisi baat lagatay ho jiss ka tum ilm nahi rakhtay.
कहते हैं कि अल्लाह ने बेटा बनाया है, वह तो पाक है, बेनियाज़ है, उसी का है जो कुछ आसमानों में है और जो कुछ ज़मीन में है, तुम्हारे पास उसकी कोई दलील नहीं, क्या तुम अल्लाह पर ऐसी बात घड़ते हो जिसका तुम इल्म नहीं रखते।
They said, "Have you come to us to turn us away from that upon which we found our fathers and so that you two may have grandeur in the land? And we are not believers in you."
Woh log kehney lagay kiya tum humaray pass iss liye aaye ho kay hum ko iss tareeqay say hata do jiss per hum ney apney baap dadon ko paya hai aur tum dono ko duniya mein baraee mill jaye aur hum tum dono ko kabhi na manen gay.
उन्होंने कहा कि क्या तुम हमारे पास इसलिए आए हो कि हमको उस रास्ते से फेर दो जिस पर हमने अपने बाप-दादा को पाया है और इस मुल्क में तुम दोनों की बड़ाई क़ायम हो जाए, और हम तुम दोनों की बात कभी मानने वाले नहीं हैं।
But no one believed Moses, except [some] youths among his people, for fear of Pharaoh and his establishment that they would persecute them. And indeed, Pharaoh was haughty within the land, and indeed, he was of the transgressors
Pus musa ( alh-e-salam ) per unn ki qom mein say sirf qadray qaleel aadmi eman laye woh bhi firaon say aur apney hukkaam say dartay dartay kay kahin unn ko takleef phonchaye uss mulk mein firaon tha bhi sirkash aur tha bhi woh insaf ki hadd say guzar janey walon mein.
फिर मूसा (अलै॰) को उसकी क़ौम में से चंद नौजवानों के सिवा किसी ने न माना फ़िरऔन के डर से और ख़ुद अपनी क़ौम के बड़े लोगों के डर से कि कहीं वह उनको किसी फ़ित्ने में न डाल दें, बेशक फ़िरऔन ज़मीन में ग़लबा रखता था और वह उन लोगों में से था जो हद से गुज़र जाते हैं।
And had your Lord willed, those on earth would have believed - all of them entirely. Then, [O Muhammad], would you compel the people in order that they become believers?
Aur agar aap ka rab chahata to tamam roy-e-zamin kay log sab kay sab eman latay to kiya aap logon per zabardasti ker saktay hain yahan tak kay woh momin hi ho jayen.
और अगर आपका रब चाहता तो ज़मीन पर जितने लोग हैं सबके सब ईमान ले आते, फिर क्या आप लोगों को मजबूर करोगे कि वे मोमिन हो जाएं।
And there is no creature on earth but that upon Allah is its provision, and He knows its place of dwelling and place of storage. All is in a clear register.
Zamin per chlaney phirney walay jitney jaandaar hain sab ki roziyan Allah Taalaa per hain wohi unn kay rehney sehney ki jagah ko janta hai aur unn kay sonpay janey ki jagah ko bhi sab kuch wazeh kitab mein mojood hai.
और ज़मीन पर कोई चलने वाला ऐसा नहीं जिसकी रोज़ी अल्लाह के ज़िम्मे न हो, और वह जानता है जहाँ कोई ठहरता है और जहाँ वह सौंपा जाता है, सब कुछ एक खुली किताब में मौजूद है।
Those were not causing failure [to Allah ] on earth, nor did they have besides Allah any protectors. For them the punishment will be multiplied. They were not able to hear, nor did they see.
Na yeh log duniya mein Allah ko hara sakay aur na inn ka koi himayati Allah kay siwa hua inn kay liye azab dugna kiya jayega na yeh sunnay ki taqat rakhtay thay aur na yeh dekhtay hi thay.
वे लोग ज़मीन में अल्लाह को बेबस करने वाले नहीं और न अल्लाह के सिवा उनका कोई मददगार है, उन पर दोगुना अज़ाब होगा, वे न सुन सकते हैं और न देखते हैं।
And to Thamud [We sent] their brother Salih. He said, "O my people, worship Allah ; you have no deity other than Him. He has produced you from the earth and settled you in it, so ask forgiveness of Him and then repent to Him. Indeed, my Lord is near and responsive."
Aur qom-e-samood ki taraf unn kay bhai saleh ko bheja uss ney kaha aey meri qom tum Allah ki ibadat kero uss kay siwa tumahra koi mabood nahi ussi ney tumhen zamin say peda kiya hai aur ussi ney tumhen iss zamin mein basaya hai pus tum uss say moafi talab kero aur uss ki taraf rujoo kero. Be-shak mera rab qarib aur duaon ka qabool kerney wala hai.
और समूद की तरफ़ हमने उनके भाई सालेह (अलै॰) को भेजा, उसने कहाः ऐ मेरी क़ौम! अल्लाह की इबादत करो, उसके सिवा कोई तुम्हारा माबूद नहीं, उसी ने तुमको ज़मीन से बनाया और उसमें तुमको आबाद किया, पस उससे माफ़ी चाहो फिर उसकी तरफ़ रुजूअ़ करो, बेशक मेरा रब क़रीब है, क़बूल करने वाला है।
And O my people, give full measure and weight in justice and do not deprive the people of their due and do not commit abuse on the earth, spreading corruption.
Aey meri qom! Naap tol insaf kay sath poori poori kero logon ko unn ki cheezen kum na do aur zamin main fasad aur kharabi na machao.
और ऐ मेरी क़ौम! नाप-तौल को और वज़न को पूरा करो इंसाफ़ के साथ, और लोगों को उनकी चीज़ें घटाकर न दो, और ज़मीन में फ़साद मचाते न फिरो।
So why were there not among the generations before you those of enduring discrimination forbidding corruption on earth - except a few of those We saved from among them? But those who wronged pursued what luxury they were given therein, and they were criminals.
Pus kiyon na tum say pehlay zamaney kay logon mein say aisay ehal-e-khair log huye jo zamin mein fasad phelaney say roktay siwaye unn chand kay jinhen hum ney unn mein say nijat di thi zalim log to uss cheez kay peechay parr gaye thay jiss mein unhen aasoodgi di gaee thi aur woh gunehgar thay.
पस क्यों न ऐसा हुआ कि तुमसे पहले की क़ौमों में ऐसे अहले-ख़ैर होते जो लोगों को ज़मीन में फ़साद करने से रोकते, ऐसे थोड़े लोग निकले जिनको हमने उनमें से बचा लिया, और ज़ालिम लोग तो उसी ऐश में पड़े रहे जो उन्हें मिला था और वे मुजरिम थे।
And the one from Egypt who bought him said to his wife, "Make his residence comfortable. Perhaps he will benefit us, or we will adopt him as a son." And thus, We established Joseph in the land that We might teach him the interpretation of events. And Allah is predominant over His affair, but most of the people do not know.
Misir walon mein say jiss ney ussay khareeda tha uss ney apni biwi say kaha issay boht izzat-o-ehtram kay sath rakho boht mumkin hai kay yeh humen faeeda phonchaye ya issay hum apna beta hi bana len yun to hum ney misir ki sir zamin yousuf ka qadam jama diya kay hum ussay khuwab ki tabeer ka kuch ilm sikha den. Allah apney iraday per ghalib hai lekin aksar log bey ilm hotay hain.
और अहले-मिस्र में से जिस शख़्स ने उसको ख़रीदा उसने अपनी बीवी से कहा कि उसको अच्छी तरह रखो, उम्मीद है कि वह हमारे लिए मुफ़ीद हो या हम उसको बेटा बना लें, और इस तरह हमने यूसुफ़ (अलै॰) को उस मुल्क में जगह दी और ताकि हम उसको बातों की तावील सिखाएं, और अल्लाह अपने काम पर ग़ालिब रहता है लेकिन अकसर लोग नहीं जानते।
[Joseph] said, "Appoint me over the storehouses of the land. Indeed, I will be a knowing guardian."
( Yousuf ney ) kaha aap mujhay mulk kay khazano per muqarrar ker dijiye mein hifazat kerney wala aur ba khabar hun.
यूसुफ़ (अलै॰) ने कहा कि मुझको मुल्क के ख़ज़ानों पर मुक़र्रर कर दो, मैं निगहबान हूँ और जानने वाला हूँ।
And thus We established Joseph in the land to settle therein wherever he willed. We touch with Our mercy whom We will, and We do not allow to be lost the reward of those who do good.
Issi tarah hum ney yousuf ( alh-e-salam ) ko mulk ka qabza dey diya. Kay woh jahan kahin chahaiye rahey sahey hum jisay chahayen apni rehmat phoncha detay hain. Hum neko kaaron ka sawab zaya nahi kertay.
और इस तरह हमने यूसुफ़ (अलै॰) को मुल्क में बा-इख़्तियार बना दिया, वह उसमें जहाँ चाहे जगह बनाए, हम जिस पर चाहें अपनी इनायत मुतवज्जह कर दें और हम नेकी करने वालों का अज्र ज़ाया नहीं करते।
They said, "By Allah , you have certainly known that we did not come to cause corruption in the land, and we have not been thieves."
Enhon ney kaha Allah ki qasam! Tum ko khoob ilm hai kay hum mulk mein fasad phelaney kay liye nahi aaye aur na hum chor hain.
उन्होंने कहाः अल्लाह की क़सम! तुमको मालूम है कि हम लोग इस मुल्क में फ़साद करने के लिए नहीं आए और न हम कभी चोर थे।
And We sent not before you [as messengers] except men to whom We revealed from among the people of cities. So have they not traveled through the earth and observed how was the end of those before them? And the home of the Hereafter is best for those who fear Allah ; then will you not reason?
Aap say pehlay basti walon mein hum ney jitney rasool bhejay hain sab mard hi thay jinki taraf hum wahee nazil farmatay gaye. Kiya zamin mein chal phir ker enhon ney dekha nahi kay inn say pehlay kay logon ka kaisa kuch anjam hua? Yaqeenan aakhirat ka ghar perhezgaron kay liye boht hi behtar hai kiya phir bhi tum nahi samajhtay.
और हमने आपसे पहले मुख़्तलिफ़ बस्ती वालों में से जितने रसूल भेजे सब आदमी ही थे, हम उनकी तरफ़ वह्य करते थे, क्या ये लोग ज़मीन में चले-फिरे नहीं कि देखते कि उन लोगों का अंजाम क्या हुआ जो उन से पहले थे, और आख़िरत का घर उन लोगों के लिए बेहतर है जो डरते हैं, क्या तुम समझते नहीं।
And within the land are neighboring plots and gardens of grapevines and crops and palm trees, [growing] several from a root or otherwise, watered with one water; but We make some of them exceed others in [quality of] fruit. Indeed in that are signs for a people who reason.
Aur zamin mein mukhtalif tukray aik doosray say lagtay lagatay hain aur angooron kay baghaat hain aur khet hain aur khujooron kay darakht hain shaakh daar aur baaz aisay hain jo bey shaakh hain sab aik hi pani pilaye jatay hain. Phir bhi hum aik ko aik per phalon mein bartari detay hain iss mein aql madon kay liye boht si nishaniyan hain.
और ज़मीन में मुख़्तलिफ़ टुकड़े एक-दूसरे से लगते-लगाते हैं और अंगूरों के बाग़ात हैं और खेत हैं और खजूरों के दरख़्त हैं टहनी वाले हैं और बअज़ ऐसे हैं जो बग़ैर टहनी के हैं, सब एक ही पानी पिलाए जाते हैं फिर भी हम एक को एक पर फलों में बरतरी देते हैं, इसमें अक़्लमंदों के लिए बहुत-सी निशानियाँ हैं।
He sends down from the sky, rain, and valleys flow according to their capacity, and the torrent carries a rising foam. And from that [ore] which they heat in the fire, desiring adornments and utensils, is a foam like it. Thus Allah presents [the example of] truth and falsehood. As for the foam, it vanishes, [being] cast off; but as for that which benefits the people, it remains on the earth. Thus does Allah present examples.
Ussi ney aasman say pani barsaya phir apni apni wusat kay mutabiq nalay beh niklay. Phir pani kay railay ney upper charhay jhaag ko utha liya aur uss cheez mein bhi jiss ko aag mein daal ker tapatay hain zewar ya saaz-o-saman kay liye issi tarah jay jhaag hain issi tarah Allah Taalaa haq-o-batil ki misal biyan farmata hai abb jhaag to nakara hoker chala jata hai lekin jo logon ko nafa denay wali cheez hai woh zamin mein thehri rehti hai Allah Taalaa issi tarah misalen biyan farmata hai.
अल्लाह ने आसमान से पानी उतारा फिर नाले अपनी मिक़दार के मुवाफ़िक़ बह निकले, फिर सैलाब ने उभरते झाग को उठा लिया और उसी तरह का झाग उन चीज़ों में भी उभर आता है जिनको लोग ज़ेवर या सामान बनाने के लिए आग में पिघलाते हैं, इस तरह अल्लाह हक़ और बातिल की मिसाल बयान करता है, पस झाग तो सूख कर रह जाता है और जो चीज़ इंसानों को नफ़ा पहुँचाने वाली है वह ज़मीन में ठहर जाती है, अल्लाह इस तरह मिसालें बयान करता है।
For those who have responded to their Lord is the best [reward], but those who did not respond to Him - if they had all that is in the earth entirely and the like of it with it, they would [attempt to] ransom themselves thereby. Those will have the worst account, and their refuge is Hell, and wretched is the resting place.
Jin logon ney apney rab kay hukum ki baja aawri ki unn kay liye bhalee hai aur jin logon ney uss ki hukum bardari na ki agar unn kay liye zamin mein jo kuch hai sab kuch ho aur issi kay sath wisa hi aur bhi ho to woh sab kuch apney badlay mein dey den. Yehi hain jin kay liye bura hisab hai aur jin ka thikana jahannum hai jo boht buri jagah hai.
जिन लोगों ने अपने रब की पुकार पर लब्बैक कहा उनके लिए भलाई है, और जिन लोगों ने उसकी पुकार को न माना अगर उनके पास वह सब कुछ हो जो ज़मीन में है और उसके बराबर और भी तो वह सब अपनी नजात के लिए दे डालें, उन लोगों का हिसाब सख़्त होगा और उनका ठिकाना जहन्नम होगा, और वह कैसा बुरा ठिकाना है।
But those who break the covenant of Allah after contracting it and sever that which Allah has ordered to be joined and spread corruption on earth - for them is the curse, and they will have the worst home.
Aur jo Allah kay ehad ko uss ki mazbooti kay baad tor detay hain aur jin cheezon kay jorney ka Allah ney hukum diya hai unhen tortay hain aur zamin mein fasad phelatay hain unn ki liye laanaten hain aur unn kay liye bura ghar hai.
और जो लोग अल्लाह के अहद को मज़बूत करने के बाद तोड़ते हैं और उसको काटते हैं जिसको अल्लाह ने जोड़ने का हुक्म दिया है और ज़मीन में फ़साद फैलाते हैं, ऐसे लोगों पर अल्लाह की लानत है और उनके लिए बुरा घर है।
Then is He who is a maintainer of every soul, [knowing] what it has earned, [like any other]? But to Allah they have attributed partners. Say, "Name them. Or do you inform Him of that which He knows not upon the earth or of what is apparent of speech?" Rather, their [own] plan has been made attractive to those who disbelieve, and they have been averted from the way. And whomever Allah leaves astray - there will be for him no guide.
Aaya woh Allah jo nigehbani kerney wala hai her shaks ki uss kay kiye huye aemaal per inn logon ney Allah kay shareek thehraye hain keh dijiye zara unn kay naam to lo kiya tum Allah ko woh baten batatay ho jo woh zamin mein janta hi nahi ya sirf oopri oopri baaten bata rahey ho baat asal yeh hai kay kufur kerney walon kay liye unn kay makar saja diye gaye hain aur woh sahih raah say rok diye gaye hain aur jiss ko Allah gumrah ker dey uss ko raha dikhaney wala koi nahi.
फिर क्या जो हर शख़्स से उसके अमल का हिसाब करने वाला है, और लोगों ने अल्लाह के शरीक बना लिए हैं, कह दीजिए कि उनका नाम लो, क्या तुम अल्लाह को ऐसी चीज़ की ख़बर दे रहे हो जिसको वह ज़मीन में नहीं जानता या तुम ऊपर ही ऊपर बातें कर रहे हो; बल्कि इनकार करने वालों के लिए उनके धोखे ख़ूबसूरत बना दिए गए हैं और वे (सीधे) रास्ते से रोक दिए गए हैं, और अल्लाह जिसको गुमराह कर दे उसको कोई राह बताने वाला नहीं।
Allah , to whom belongs whatever is in the heavens and whatever is on the earth. And woe to the disbelievers from a severe punishment
Jiss Allah ka hai jo kuch aamano aur zamin mein hai.aur kafiron kay liye to sakht azab ki kharabi hai.
उस अल्लाह की तरफ़ कि आसमानों और ज़मीन में जो कुछ है सब उसी का है, और मुनकिरों के लिए एक सख़्त अज़ाब की तबाही है।
And Moses said, "If you should disbelieve, you and whoever is on the earth entirely - indeed, Allah is Free of need and Praiseworthy."
Musa ( alh-e-salam ) ney kaha kay agar tum sab aur ruy-e-zamin kay tamam insan Allah ki na shukri keren to bhi Allah bey niyaz aur tareefon wala hai.
और मूसा (अलै॰) ने कहा कि अगर तुम इनकार करो और ज़मीन के सारे लोग भी मुनकिर हो जाएं तब भी अल्लाह बेनियाज़ है, ख़ूबियों वाला है।
And the example of a bad word is like a bad tree, uprooted from the surface of the earth, not having any stability.
Aur na pak baat ki misal ganday darakht jaisi hai jo zamin kay kuch hi upper say ukhaar liya gaya. Issay kuch sabaat to hai hi nahi.
और कलिमा ख़बीसा की मिसाल एक ख़राब दरख़्त की सी है जो ज़मीन के ऊपर ही से उखाड़ लिया जाए कि उसमें ज़रा भी जमाव न हो।
Our Lord, indeed You know what we conceal and what we declare, and nothing is hidden from Allah on the earth or in the heaven.
Aey humaray perwerdigar! Tu khoob janta hai jo hum chupayen aur jo zahir keren. Zamin-o-aasman ki koi cheez Allah per posheeda nahi.
ऐ हमारे प्यारे रब! आप जानते हैं जो कुछ हम छुपाते हैं और जो कुछ हम ज़ाहिर करते हैं, और अल्लाह से कोई चीज़ छुपी नहीं न ज़मीन में और न आसमान में।
[It will be] on the Day the earth will be replaced by another earth, and the heavens [as well], and all creatures will come out before Allah , the One, the Prevailing.
Jiss din zamin iss zamin kay siwa aur hi badal dijayegi aur aasman bhi aur sab kay sab Allah wahid ghalbay walay kay roo-baroo hongay.
जिस दिन यह ज़मीन दूसरी ज़मीन से बदल जाएगी और आसमान भी और सब एक ज़बरदस्त अल्लाह के सामने पेश होंगे।
[Iblees] said, "My Lord, because You have put me in error, I will surely make [disobedience] attractive to them on earth, and I will mislead them all
( shetan ney ) kaha aey meray rab! Chun kay tu ney mujhay gumraah kiya hai mujhay bhi qasam hai kay mein bhi zamin mein inn kay liye ma’asi ko muzayyan keroon ga aur inn sab ko behkaon ga.
इबलीस ने कहाः ऐ मेरे रब! जैसा तूने मुझको गुमराह किया उसी तरह मैं ज़मीन में उनके लिए मुज़य्यन करूँगा और सबको गुमराह कर दूँगा।
And [He has subjected] whatever He multiplied for you on the earth of varying colors. Indeed in that is a sign for a people who remember.
Aur bhi boht si cheezen tarah tarah kay rang roop ki uss ney tumharay liye zamin per phela rakhi hain. Be-shak naseehat qabool kerney walon kay liye iss mein bari bhari nishani hai.
और ज़मीन में जो चीज़ें मुख़्तलिफ़ क़िस्म की तुम्हारे लिए फैलाईं, बेशक इसमें निशानी है उन लोगों के लिए जो सबक़ हासिल करें।
And He has cast into the earth firmly set mountains, lest it shift with you, and [made] rivers and roads, that you may be guided,
Aur uss ney zamin mein pahar gaar diye hain takay tumhen ley ker hilay na aur nehren aur raahen bana den takay tum manzil-e-maqsood ko phoncho.
और उसने ज़मीन में पहाड़ रख दिए; ताकि वह तुमको लेकर डगमगाने न लगे और उसने नहरें और रास्ते बनाए ताकि तुम राह पाओ।